Hera Pheri 3

Professor ki maut ki khabar police ko dene ke baad Raju, Shyam aur Babu bhaiya naksha lekar apne ghar ki taraf jaane lagte hai. Lekin jab ye teeno us professor se baat kar rahe the, tab cobra gang ke ek aadmi ne professor aur un teeno ke beech hui saari baatein sun li thi. Isliye jab ye teeno apne ghar ki taraf jaa rahe hote hai, to Cobra gang ka vo aadmi apne boss DK ko in teeno ke baare mein bata deta hai. Isse pehle ki Raju, Shyam aur Babu bhaiya apne ghar pahunch paate, DK unke ghar par apne aadmiyon ke saath pahunch jaata hai. Jab ye teeno chawl pahunchte hai, to Babu bhaiya neeche se dekhte hai ki unke ghar ka darwaza khula hua hai. Babu bhaiya kehte hai “ye ghar ka darwaza kisne khola” , Shyam kehta hai “aree Babu bhaiya jaldi jaldi mein app darwaaja band karna bhool gaye hoge”. Babu bhaiya kehte hai “aree Deva kahin kisi ne ghar se kuch chura na liya ho” , Raju taunt maarte huye kehte hai “haan ghar mein to jaise khajana rakha hua hai na, ghar mein aapki ek dhoti ke alawa kuch nhi hai or usme bhi 2 ched ho rakhe hai, mene khud gine hai”.

Babu bhaiya jaldi se seedhiyan chadkar apne ghar ki taraf jaate hai, Babu bhaiya dekhte hai ki ghar mein pehle se hi ek aadmi baitha hua hai or uske aaspaas 2-3 aadmi mojood hai. Babu bhaiya chillate huye us aadmi se poochte hai ki “tu kaun hai or humare ghar mein kaise ghusa”. Babu bhaiya ko chillata hua dekh Raju aur Shyam bhi jaldi se apne ghar mein jaate hai, Babu bhaiya Raju se kehte hai “ ae Raju dekh ye aadmi humaare ghar mein ghus aaya hai, kahin isne ghar se kuch chura bura na liya ho mein abhi check karta hu”. Babu bhaiya neeche jhuk kar samaan check karne lagte hai, to Raju Babu bhaiya se dheere se kehta hai “seedhe khade rahe na yrr aap”. DK fir unhe apna introduction dene lagta hai, vo kehta hai ki vo cobra gang ka leader hai. DK kehta hai ki “tum teeno ke pass meri ek cheej hai, mein use vaapas lene aaya hu”. Babu bhaiya taunt maarte huye kehte hai “tera baap yahan chodkar gaya tha ki Teri maa”, Raju aur Shyam Babu bhaiya se kehte hai “Babu bhaiya aap chup khade raho na”. DK Babu bhaiya ki baat ko hass kar taal deta hai, or kehta hai ki mein us nakshe ki baat kar raha hu jo tumne us professor se liya tha. Raju aur Shyam samajh jaate hai ki ye vahi gang hai jisne us professor ko maara tha, Shyam DK se kehta hai “bhaisaab aapko koii galatfehmi hui hai humare pass koi naksha nhi hai”. DK ka ek aadmi apni gun dikhaate huye Shyam se kehta hai ki “kyun be chasmish, jyada Shana ban Raha hai kya ? Abhi Teri saari shaanpatti yahi par nikaal dunga”.

Raju dheere se Shyam ke kaan mein kehta hai ki yahan se bhaagne mein hi bhalaai hai, varna ye humara game Baja dega. Babu bhaiya bade pyaar se DK se kehte hai ki “aapko se koii mistake Hui hai, humaare pass koii naksha nhi hai. Humein to kisi khajaane ke baare mein bhi nhi pata hai re baba”, itni der mein Raju aur Shyam chupke se Babu bhaiya ke peeche se nikal jaate hai or Babu bhaiya vahin par reh jaate hai. Babu bhaiya apni baat continue karte huye kehte hai “ agar humaare pass koi khajaana vajaana hota to kya hum iss chawl mein rehte”, Babu bhaiya Raju aur Shyam ki taraf ishaara karte huye kehte hai ki tum dono ise samjhao re. Ishaara karte time Babu bhaiya dekhte hai ki Raju aur Shyam yahan se pehle hi bhaag Gaye hote hai, ab Babu bhaiya DK ke saamne ko awkward si smile dene lagte hai. DK apne ek aadmi se Babu bhaiya ko pakadne ke liye kehta hai, Babu bhaiya apni dhoti uthakar bhaagte hai. Babu bhaiya na aage dekhte hai or na hi peeche, vo “ Jai Maharashtra” bolte huye seedhe balcony se chalaang laga dete hai. Babu bhaiya ki dhoti balcony ki ek keel mein fas jaati hai, Jiske vajah se unki dhoti khul jaati hai or vo nange ho jaate hai. Babu bhaiya balcony se chalaang lagakar seedhe neeche khade huye amrood ke thele par girte hai.

Aage kya hoga, Kya Babu bhaiya pakde jaayenge ? Jaanenge iss blog ke agle part mein.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2

Gadar 2

अगर आप अपनी फिल्म को प्रमोट करना चाहते हैं तो बेसक करो, लेकिन अगर आप अपनी फिल्म को बिग बॉस पर प्रमोट करने जाते हैं

Read More »
MUNNA BHAI

Munna Bhai Series

हम सब जानते हैं कि किसी भी अभिनेता या अभिनेत्री की जिंदगी आसान नहीं होती है यहां तक ​​की जब बॉलीवुड में आपको अपनी पहचान

Read More »
Ganpath , Tiger Shroff, Kriti Sanon , Amitabh Bachchan ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Ganapath

Hawa Singh ka janam azaadi se pehle 1937 me Haryana me hua tha. Hawa Singh ne maatr 19 saal ki umar me hi Army join

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​