Hera Pheri 3

Hera Pheri 3 Bollywood ki upcoming comedy film hone wali hai. Ye film comedy franchise Hera Pheri ka 3rd part hone wali hai. Iss franchise ka pehla part “Hera Pheri” year 2000 mein release hua tha, vahi doosra part “Phir Hera Pheri” year 2006 mein release hua tha. Ab film ka third part aane wala hai. Iss film ki lead cast mein humein Paresh Rawal as Babu bhaiya or Sunil Shetty as Shyam dekhne ko milenge. Khabron ke mutaabik Kartik Aaryan bhi iss film ka hissa banne jaa rahe hai. Vahi Hera Pheri 3 ke direction ki kamaan, Dream Girl jaise film direct kar chuke writer and director Raj Sandilya ko di gyi hai.

Kahani ki shuruaat mein hum ek ghabraaye huye professor ko uske office mein dekhte hai, jahan vo jaldi jaldi apna samaan or kuch papers pack kar raha hota hai. Tabhi usko ek car ke aane ki awaaj sunai padti hai, khidki se us car ko dekhne ke baad vo apna samaan uthakar peeche ke gate se bhaagne lagta hai. Tabhi car mein se do aadmi utarte hai or us office ko check karne ke baad car mein baithe apne boss ko batate hai ki office mein koi bhi nhi hai or saraa samaan bikhara hua pda hai. Unka boss kehta hai ki humne aane mein der kardi, vo samaan lekar bhaag chuka hai. Scene shift hota hai ek chawl mein jahan hum Babu bhaiya ( Paresh Rawal ) ko dekhte hai, jo seedhiyan chadkar apne room ko taraf jaa rahe hote hai. Tabhi vo dekhte hai ki unke room se bartan girne ki awaaje aa rhi hoti hai, Babu bhaiya hath main dhoti pakadkar jaldi jaldi seedhiyan chadkar apne room ke darwaje par pahunchte hai. Vo dekhte hai ki Raju ( Akshay Kumar ) aur Shyam ( Sunil Shetty ) ke beech ladai ho rhi hoti hai, Shyam Raju ko bartan fenk kar maar raha hota hai. Hum dekhte hai ki Shyam ek pateela uthakar Raju ki taraf fenkta hai, lekin Raju neeche jhuk jaata hai or vo pateela jaakar Babu bhaiya ke sir par lag jaata hai. Babu bhaiya “Aree Deva” kehte huye floor par gir jaate hai, Babu bhaiya pne sir par haath rakhte hai or un dono ko gaaliyan dene lagte hai.

Shyam kehne lagta hai ki ye sab Raju ki vajah se huya hai, vo hi mujhe pareshan kar Raha tha. Raju kehta hai ki “mene kya pareshan kiya ?”, to To Shyam Babu bhaiya ko batata hai ki “Ye mujhse keh raha tha ki mein apna khi or jugaad karlu, kharcha bohot badh raha hai”. Babu bhaiya apna face banate huye Raju se kehte hai ki “ ae tu chup baith re, agar tune us din phone utha liya hota to abhi araam se mast jindigi jee rahe hote or agar iss ghar se koii jaayega to vo tu hoga”. Babu bhaiya ki ye baat sunkar humein samajh aata hai ki Phir Hera Pheri ke end mein Raju ne saari guns samandar mein fenk di thi. Itna kehne ke baad Babu Bhaiya floor se khade hote hai, kehte hai ki vo mandir Jaa rahe hai. Doosri taraf, hum us professor ko dekhte hai, jo ki bhaagte bhaagte ek mandir mein chala jaata hai. Itni der mein Babu bhaiya bhi mandir mein aa jaate hai, or bhagwan se ameer hone ki prarthana karte hai. Jab Babu bhaiya Prasad lene jaa rahe hote hai to vo us professor se takra jaate hai, or us professor ke pass se ek paper neeche gir jaata hai. Babu bhaiya us paper ko uthate hai, or us professor ko lautaane ke liye awaaj dete hai lekin vo professor jaldi mein vahan se nikal jaata hai.

Babu bhaiya fir Prasad lene chale jaate hai, kuch or na hone ki vajah se Babu bhaiya usi paper par Prasad le lete hai or Ghar le aa jaate hai. Ghar aakar vo us Prasad ko aapas mein baant lete hai, or Babu bhaiya us paper ko ball banakar vahin par fenk dete hai. Prasad khaane ke baad Raju Shyam ko Anuradha yaani Vipasha Basu ke naam se pareshan kar Raha hota hai, tab Shyam Rajun ko vhi paper ball fenk kar maarta tha. Raju haste haste us paper ball ko ese hi khokar dekhne lagta hai, paper ko dhyaan se dekhne ke baad Raju Babu bhaiya se poochta hai ki aapko ye paper kahan se Mila. Babu bhaiya use jawaab dete hai “mandir mein”, Shyam poochta hai “kyun, kya hai iss paper mein ?”. Raju ek khurafati smile dete huye kehta hai ki ye koi esa vesa paper nhi balki ek naksha hai.

Kya iss Raju pta laga paayega khajaane ka ? Jaanenge iss blog ke agle part mein.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Rambo, tiger shroff,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Rambo

किस soldier का nickname था ‘ Bull’?   ये कहानी है कर्नल नरेंद्र कुमार की, जिसने भारत के लिए Siachen Glacier को कैसे secure किया।

Read More »
Ghajini

Ghajini 2

साल 2008 में रिलीज हुई आमिर खान की हिंदी रिमेक फिल्म गजनी देखने के बाद सबके सिर चकरा गए। वैसे फिल्म में आमिर खान का

Read More »
Dabangg 4

Dabangg 4

सलमान खान की फिल्म हो और उस फिल्म में कोई controversy ना हो ऐसा हो ही नहीं सकता। दबंग 3 फिल्म की शूटिंग तो बिना

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​