Jailer

South filmo ke superstar Rajnikant sir apni film ‘Jailer’ lekar aane wale hain. Kahani mai action Or comedy dono ka tadka lagega. Iss film mai Rajini Sir ke alwa Aishwarya Rai Bachchan, Priyanka Mohan, Shiv Rajkumar, Ramya Krishnan jaise kalakaar shamil hain. Jaisa ki humne aapko bataya ki kahani mai Naye inspector Shiva yani Shiv Rajkumaar ki entry hoti hai. Shiva Jai yani Rajnikant ko ek psychiatric ke clinic se nikalte huye dekhta hai. Jiske baad vo Jai ke ghar pahuch jata hai. Jahan Jai use batata hai ki uski Patni ghar par nahi hai. Agle scene mai Shiva jaise hi Jai ke ghar se jane ke liye uthta hai, vo notice karta hai ki pure ghar mai dhoopbatti ki mehak aa rahi hai. Shiva kehta hai, “Iss dhoopbatti ki mehak bahut achi hai Jailer sahab. Kahan se li hai aapne?” Jai kehta hai, “Oh ye? Ye toh meri patni lekar aati hai. Main usase pooch kar aapko bata dunga.” Shiva vahan se chala jata hai. Shiva ke jate hi Jai ek bori lekar aata hai. Or usme se dhoopbatti nikaal kar jalane lagta hai. Dhoopbatti jala kar Jai apne bedroom mai jata hai. Jahan uski biwi Urmila yani Ramya Krishnan leti huyi hai. Shiva bahar khade hokar khidki se ye sab dekhta rehta hai. Vo khud se poochta hai, “Iski biwi toh ghar mai hai. Phir isne mujhse jhoot kyu bola?” Shiva dekhta hai ki Jai apni biwi ke liye soup bana raha hai. Or kuch deir baad Jai uss soup ko Sink mai daal deta hai. Itna dekhte hi Shiva vahan se chala jata hai.

Agle din Shiva police station pahuchta hai. Jahan inspector Rama yani Vasanath Ravi or Halwdaar Punnu yani Yogi Babu maujood hain. Shiva kehta hai, “Rama, Jai ko phone Lagao or poocho ki vo kahan hai?” Rama use phone lagata hai, “Acha acha, nahi nahi koi kaam nahi hai.” Phone rakhte huye Rama kehta hai, “Sir, vo to jail mai hi hain.” Itna sunte hi Shiva police station se nikal jata hai. Agle scene mai Shiva ki jeep usi psychiatrist ke clinic par jakar rukti hai Jahan usne Jai ko dekha tha. Shiva andar jakar Doctor se milta hai. Jahan doctor use ye batata hai ki Jai apni biwi nahi balki apna khud ka ilaaz kara raha hai. or usko ye problem pichle 5 saalo se hai. Shiva bahar aata hai or sochte huye kehta hai, “Ho na ho, ye jailer ek bahut badi mystery hai.” Idhar Jai apne Jail se nikalta hai. Or Samira yani Aishwarya Rai Bachchan ke office pahuch jata hai. Office ka peon Samira se kehta hai, “Madam, aapse koi milne aaya hai.” Samira bahar aakar dekhti hai toh saamne Jai khada hai. Samira use pehchan jati hai or kehti hai, “Aap yahan?” Jai kehta hai, “Darasal meri wife piche 10 din se laapata hai. Mujhe uski gumshudagi ka ishtehaar( इश्तेहार) dena hai.” Samira use batati hai ki ye kaam uske office mai nahi hota hai. Jai office ke bahar aata hai. Tabhi use mehsoos hota hai ki ek aadmi uska picha kar raha hai. Jai gaadi chalate chalate ek sunsaan jagah par pahuchta hai. Jahan uska picha karte huye vo aadmi bhi aa jata hai. Mauka paate hi Jai uss aadmi ko goli maar deta hai or muskurane lagta hai. Idhar Shiva ke phone ki ghanti ki bajti hai, “Kya? Vo mar gaya?” Phone cut karte huye Shiva Kehta hai, “Ye jailer ab ek puzzle bante ja raja hai. I like it.”

Agle scene mai Jail mai ek or kaidi ki entry hoti hai. Jai uss se poochta hai, “Aee, tumhara naam kya hai?” Kaidi yani Sriman kehta hai, “Raghu.” Or itna keh kar rone lagta hai. Jai poochta hai, “Are, tum ro kyu rahe ho?” Raghu kehta hai, “Main ek ladki ko bahut pasand karta tha. Usne mujhe reject kar diya. Or jab main use impress karne ke liye gunda bana toh jail mai aa gaya.” Jai hasne lagta hai or kehta hai “Oo toh tum iss liye ro rahe ho.” Raghu kehta hai, “Haa, use apne khoobsurati par bahut ghamand tha. Or mujhe vahi pasand thi.” Achanak hi Jai ke haav bhaav badal jate hain. Raat ka andhera hai or ek parchayi Raghu par padti hai or kehti hai, “Utho, aaj tum uss ladki se apna badla loge.”

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Rambo

कौन है Paratrooper Sanjog Chettri?   एक लडका जो एक ऐसे area में रहता है, जो developed नही है और जँहा future के लिए कोई

Read More »

Khalnayak 2

  वैसे संजय दत्त की किसी फिल्म के साथ रणबीर कपूर का नाम जोड़ा जाए तो हैरानी नहीं होगी क्योंकि संजय की बायोपिक में रणबीर

Read More »
Krrish

Krrish-4

Rakesh Roshan ने Hollywood फिल्मों के famous characters को ध्यान में रखते हुए Krrish बनाया है, यह बात तो सब जानते है, लेकिन तब भी

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​