Neeraj (Salman Khan) ke college ka pehela din hota hai. wo apne college life aur saath hi saath apni aage aane waali life ke liye thoda excited bhi hota hai aur saath mein thoda nervous bhi hota hai. nervous isliye hota hai kyuki uske ye kuch saal uske career ke liye crucial hai, Mushkil hai kyuki is college se placement milna bahut mushkil hai, lekin agar mil gayi toh us insaan ki life set ho jaati hai.
Yehi sochte sochte Neeraj apne hostel ke room mein jaa raha hota hai. wo jese hi room mein enter karta hai, uski mulakaat hoti hai, Nishanth (Venkatesh) se jo ki uska roommate hota hai. Neeraj waqt ke saath dhal raha hota hai aur ab usne kayi acche dost bhi bana liye hote hai. Iske saath wo apne academics mein bhi dhayan deta hai. Dosto ke saath masti aur majak ke saath uski zindagi acchi kat rahi thi. Wahin ab waqt kab beet gaya ye pata hi nhi chala aur first year se final year kab aaya, pata hi nhi chala.
Vese Neeraj ki zindagi ka ek ahem exam aa raha tha, jise clear karte hi use achi placement mil sakti thi aur wo apne career mein aage badh sakta tha. Apne exam ke liye Neeraj, nishant aur sabhi log jee tod mehnat krte hai.
Aur aakhir kaar wo din aata hai jab unki exam hoti hai. Exam ke stress mein Neeraj jaldi kaam karne lagta hai. Neeraj bathroom mein jese hi jata hai, uska achanak se pair fisal jata hai aur wo gir jata hai, Jiski wajah se uske naak aur muh par chot lagti hai aur khoon behne ki wajah se wo behosh hota hai.
Wahin dusri taraf Nishant ko bhi nahana tha aur use late ho raha tha. wo Neeraj ko bulata hai, Lekin Neeraj ka koi response nhi aata Pehele toh Nishant ne wait kiya lekin uske baad usne jor se darwaje ko dhaka diya.
Darwaja kholne ke baad wo dekhta hai ki, Neeraj jamin pe gira hota hai aur ye dekhte hi hostel ke baaki bacche bhi aa jaate hai. wahin Neeraj ko ab thoda thoda hosh aane lagta hai, lekin wo use itni chot lagi hoti hai ki wo kuch bol ya kar nhi sakta tha.
Wahi ab sawaal ye tha ki Neeraj ko hospital kaun le jayega kyuki ye exam miss kiya toh itne saal ki mehnat barbad ho jayegi. Wahi sabhi bacche thoda hichkicha rahe the ki, ab kya kare.
Wahin bina waqt gavaye Nishant taiyaar hota hai aur keheta hai,” health jyada important hai exam se”. wahin wo Neeraj ko leke hospital jata hai, jahan
Neeraj ke dil ko ye baat chu(छू) jaati hai, ki Nishant ne use jaruri samjha aur uska khayal rakha.
Lekin kismat bhi inke saath hoti hai aur dono ka hi exam miss nhi hota. Ye hospital se jaldi nikalte hai aur time pe examination hall pahoch jaate hai, jahan examiner ko ye inke late aane ka karan batate hai aur examiner unhe allow karta hai exam dene ke liye. dono hi exam de ke bahar nikalte hai.
Jab wo iss college se bahar nikalte hai, tab Neeraj na sirf college ki degree balki saath mein ek naa tutne waala dosti ka rishta apne saath le jaa raha hota hai.
Neeraj ne aaj tak nishant se thank you nhi bola tha us din ke liye. wo use thank you ke badle uska ek aisa dost bana chahta tha jo uske liye humesha haazir rahega. Dosti ka matlab hume Nishant ne sikhaya.