Pawan Putra Bhaijaan

kahani mai Pawan or Chaand Nawab miss call wale number par call try karte hain. Jiske baad unhe iss baat ka andaaza lag jata hai ki Munni dusre mulk mai kisi badi musibat mai hai. Sabhi mil kar police Station pahuchte hain. Jahan senior inspector Akbar unse kehta hai, “Are aap log phir aa gaye? Dekhiye humne kaha na ki hum chaanbeen kar rahe hain.” Pawan kehta hai, “ Nahi sir humare pass munni ka message aaya hai. Chaand bhai dikhaiye toh.” Chaand Nawab message dikhata hai. Jiske baad Pawan kehta hai, “Mere pass ek plan hai. Agle scene mai Pawan railway station par khade hokar kisi ke aane ka intzaar karta hai. Chaand Nawab kehta hai, “Are Bhaijaan, bataiye toh kiska intzaar kar rahe hain.” Tabhi vahan Rasika aati hai or Pawan se kehti hai, “kya baat hai Pawan? Itni jaldi aise kyu bulaya? Visa milne mai mushkil hoti hai tumhe pata hai na.” Pawan kehta hai, “Aap chaliye Rasika ji, hum aapko puri baat batate hain.” Agle scene mai Pawan chaand Nawab, Rasika, Rasia or Rauf Munni ke ghar mai baithe hain. Rasika kehti hai, “Lekin in sab mai main kya madad kar sakti hu?” Pawan uski or dekh kar muskurane lagta hai. Agle scene mai Faizi Agency ke Maalik Qadir se milta hai. Or dono market pahuch kar apne agency ka shutter kholte hain. Andar aate huye Qadir kehta hai, “Are miyaan hum toh thak gaye.” Tabhi agency ke andar maujood Akbar kehta hai, “Zyda thakaan aa gayi hai toh hum door kar dete hai. Aapki thakaan ko.” Or Use ek thappad maar deta hai. Agle scene mai Pawan chaand Nawab, Rasika, Rasia or Rauf or Akbar Qadir ko gher kar baithe hain. Qadir kehta hai, “Sir, ye meri agency nahi hai. Sehar ke bahut bade politician iske asli maalik hain.” Akbar kehta hai, “Kya hota hai yahan?” Qadir darte huye kehta hai, “Hum Insaani hisson jaise liver, kidney in sabka dhandha karte hain. Sehar ke logo se unke baccho ko shadi karane ka jhoota natak karke baccho ko dusre mulk le jakar bech dete hain. Jiske baad vahan unke Jism se sabhi zaruri hisson ko nikaal liya jata hai.” Rasia ye sun kar rone lagti hai. Akbar use maarte huye Munni ki photo dikhata hai or kehta hai, “Iss bacchi ka nikaah jisase karwaya tha, usko bol ki kaam ke liye nayi ladki aayi hai.” Qadir kehta hai, “Vo toh Saudi Arabia mai hai. Lekin uska ek or sathi hai.”

  • Agle din Faizaan Qadir ke agency par pahuchta hai. “Are miyaan kya ho gaya aapne itni jaldi hume kyu bulaya?” Qadir kehta hai, “Bhaijaan ek bahut badhiya party hai. Apni ladki ke liye Ladka dekh rahi hai. Ladki nabaalig toh nahi lekin khoobsurat bahut hai.” Faizaan poochta hai, “Aapne Sahab se baat ki?” Qadir kehta hai, “Are unse kya baat karna? Unhe sirf rokde se matlb hai.” Faizaan kehta hai, “Theek hai phir, kal aate hain hum apne bete ko lekar.” Aisa keh kar Faizaan hasne lagta hai or uth kar vahan se chala jata hai. Agle din Faizaan, apne sathi Farukh or Reshma ke sath ek ghar ke saamne khade hokar ghanti bajate hain. Darwaaza khulta hai, toh saamne chaand Nawab ek buddhe aadmi ka huliya liye unka swaagat karta hai. Andar se Kamil ek aurat ke huliya badal kar chai le aata hai. Faizaan ladki dekhne ki baat kehta hai toh saamne se Rasika aati hai. Chaand Nawab budhi aawaz mai kehta hai, “Ye hai humari beti. Hume toh ye rishta manzoor hai. aap apna bata dijiye.” Faizaan Rasika ko dekhta reh jata hai. Or kehta hai, “Hume bhi bhaijaan, aapki ladki bahut pasand hai.” Agle scene mai Farukh or Rasika ka Jhoota Nikaah ho jata hai. Vo log Rasika ko dusre mulk le jane ki taiyaari karte hain. Aeroplane mai baithi huyi Rasika Bhagwan se bas Pawan ke aane ki dua maangti rehti hai. Tabhi ek aadmi Rasika ko thokar maar deta hai. Rasika use dekhti hai toh pata chalta hai ki Vo aadmi Pawan hi hai. Plane land hota hai. Farukh Rasika ko lekar ek hotel mai pahuchta hai. Pawan, Chaand Nawab or Akbar bhi piche se usi hotel mai pahuch jate hai. Room mai pahuch kar Pawan Rasika ko phone karta hai. Rasika ke hath mai ek Kangan hai jo beep beep ki aawaz karne lagta hai. Jisme ek chip laga huya hai. Pawan Rasika kehta hai, “Rasika ji chinta mat kariyega. Iss chip ke sahare hum aapse jude rahenge.”

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Singham 3

Singham Again

Mumbai ke Andheri ilaake mein kuch din pehle ek bus mein lagi thi aag. Hua yun ki yeh ek local bus thi jis mein 30

Read More »
Khalnayak 2 ,Sanjay Dutt, Jackie Shroff, Tiger Shroff, Madhuri Dixit,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Khalnayak 2

Amritlal के डाकू बनने की कहानी शुरू होती है 1916 से। 1916 में Gwalior रियासत के गणेश खेरा गांव मे किसान के यहां जन्म हुआ

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​