Salaar

Kahani mai Raghu bada hokar apne maalik ke Bandargaah par Jahaajon ki rakhwali karne lagta hai. Ek din Sabhi jahaaj shaam hone se pehle hi Bandargaah par pahuch jate hain. Raja unki ginti shuru karta hai toh use pata chalta hai ki ek jahaaj abhi gayab hai. Raja ek aadmi se kehta hai, “Zara doorbeen(दूरबीन) dena toh.” Doorbeen se Raja apne uss Jahaaj ko beech samudra mai fasa huya dekhta hai. Uski nazar dhalte Suraj par padti hai. Raja jaldi se rassi or kuch zaruri saamaan lekar नाव par baithne lagta hai. Tabhi ek aadmi poochta hai, “are sahab, aap kahan ja rahe hain?” Raja kehta hai, “Humara ek Jahaaj beech mai fasa huya hai.” Vo aadmi kehta hai, “Shaam hone wali hai, mat jaiye sahab.” Lekin Raja uski baat ko nazar andaaz karke vahan se chala jata hai. Beech samudra mai pahuch kar Raja dekhta hai ki uska Jahaaj ek bade Jahaaj se bandha huya hai. Raja sochta hai, “Ye kiska jahaaj hai? Kahin koi…?” Raja uss bade jahaaj par pahuch kar apne Jahaaj ki rassi nikaal hi raha hota hai ki uss par piche se ek hamla hota hai. Raja mud kar dekhta hai ki ek aadmi ajeeb se kapde pehn kar use maarne ke liye aa raha hai. Raja ke pass humesha hi ek bandook maujood rahti hai, jo use maalik ne di thi. Raja apni jeb se bandook nikalta hai or uss aadmi ko goli maar deta hai. Uski nazar phir ek baar dhalte Suraj par padti hai. Vo jaldi jaldi apna jahaaj chuda(छुड़ा) kar jane lagta hai. Tabhi use kai saare logo ki cheekhne chillane ki aawaze aati hai. Use aisa mehsoos hota hai jaise Samudra ke andar koi kaam chal raha ho. Raja ise waham samjh kar apni Jahaaj ke sath vahan se chala jata hai.

Agle din Raja Subah Bandargaah par pahuchta hai. Vahan kai logo ki bheed jama hai. Raja aage aakar dekhta hai ki uske maalik ko kisi ne bahut berahmi se maara diya hai. Raja maalik ko God mai uthate huye poochta hai, “Ye kisne kiya? Batao mujhe kisne kiya?” Ek aadmi kehta hai, “Raat ke andhere mai Samudri Lootere aaye the. Kisi ne unke ek aadmi ko jaan se maar diya tha. Unhe laga ki unke aadmi ko maalik ne maara hai, toh unhone maalik ko hi…” Aisa keh kar vo aadmi Rone lagta hai. Apne maalik ki haalat dekh kar Raja samjh jata hai ki vo Lootere use maarne aaye the. Antim sanskaar ke baad sabhi log mil kar Raja ko Bandargaah ka naya maalik bana dete hain. Waqt ke sath sath Samudra mai Looteron ka aatank badhta ja raha hai. Ek din Raja apne ek jahaaj ka intzaar karta rehta hai. Jahaaj par kaam karne wala Aadmi kehta hai, “Maalik khana kha lijiye.” Raja kehta hai, “Nahi, tum jao main kha lunga.” Raja ki nazar apne jahaaj par padti hai jo theek samudra ke beech mai ghoom raha hai. Tabhi ek zordaar dhamaka hota hai. Raja ye dekh kar khush hone lagta hai. Raja kehta hai, “Ab ye log kabhi wapas nahi aa payenge.” Agle din Raja apne ghar aaram se sota rehta hai, tabhi vahan Rajesh aata hai. Rajesh Bandargaah par kaam karne wala hai ek aadmi hai. Rajesh Darwaaze par hath maarte huye kehta hai, “Jaldi Kholo Raja, jaldi Kholo.” Raja jaldi se darwaaza kholta hai. Rajesh kehta hai, “Tum abhi ke abhi ye sehar chhod kar Mumbai chale jao. Tumhe kya laga ki tum bomb se sabhi Looteron ko maar doge? Are un jaise hazaaron aadmi hain unke pass. Or ab vo tumhe maarne ke liye khoj rahe hain.” Raja kehta hai, “Lekin main kiske pass Mumbai jaunga ?” Rajesh kehta hai, “Ye lo, ye maalik ke ek dost ka pata hai jo vahin rahte hain. Tum unse milna.” Rajesh Raja ko vahan se bhaga deta hai. Raja ko jate dekh Rajesh zor zor se hasne lagta hai. Rajesh kehta hai, “Sala, meri jagah ye maalik banne chala tha. Huh! Ab yahan sirf mera Raaz chalega.”

Agle scene mai Raja Mumbai mai apne maalik ke dost or Politician Surya ke ghar pahuchta hai. Raja dekhta hai ki Har darwaaze par ek aadmi haath mai bandook liye pehra de raha hai. Raja Andar aata hai or Surya ko puri baat batata hai. Surya kehta hai, “Oh! jaan kar dukh huya. Theek hai. Aaj se tum mere sath rahoge. Vaise tumhare maalik ke muh se maine tumhari kaafi taareefe suni hai. Bachapan se daring ho. Or mujhe daring log pasand hain. Sharaab pioge?” Raja kehta hai, “Nahi, main nahi pita.” Surya uski baate sun kar hasne lagta hai, or kehta hai, “Theek hai yahan ye bhi sikh jaoge.” Tabhi Raja ke pass ek phone aata hai, “Hello, haa Rajesh ne samudri looteron se haath mila liya hai. Or tumhe vahan isliye bheja taki khud maalik ban sake.” Aise kehte hi phone cut ho jata hai.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Kabir Singh 2,Kiara Advani and Shahid Kapoor,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Kabir Singh 2

  यह 2010 में एक कपल की कहानी है, राहुल नाम का एक आदमी जिसकी मैडिकल एजेंसी थी, अपनी पत्नी प्रिया के साथ यूपी के

Read More »
Rowdy Rathore 2,Akshay Kumar,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Rowdy Rathore 2

इसी तरह शासन को कई तरह की सूचनाएं भी एसपी सिटी दफ्तर से लगातार भेजी जाती हैं, उन्हें संकलित करना और समय पर भेजना आरके

Read More »
Brahmastra 2

Brahmastra 2

फिल्म ब्रह्मास्त्र क्या रिलीज हुई सभी फिल्म लवर्स को एक topic मिल गया है discussion करने का और वह topic है देव। सभी को ये

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​