Khalnayak film toh hum sabhi ne dekha hoga. Us film ka famous gana bhi suna hoga nayak nhi khalnayak hu mein. Aur aise khalnayak ki kahani jaanege hum aaj.
Is kahani ki shuruat hoti hai Vicky (Tiger) aur Vikram (John Abraham) ye dono ki mulakat ek college mein hoti hai. aur saath rehete rehete ye acche dost ban jaate hai.
Wahin jahan Vicky thoda gusel kisam ka insaan tha. Toh Vikram bhi kuch kam nhi tha, wo logo pareshan ko karne mein jada intrested the. Ye dono hi college mein sabko pareshan karke, apna din bitaya karte the.
Ye dono ne apne liye apne kuch life ke goal bhi rakhe the lekin kuch aisa hone waala tha jo inke life goals ko puri tarah se change karne waala tha. Wahin saal 2000 chal raha tha, Inspector Lokesh (Sanjay Dutt) roj ki tarah apne kaam ke liye police station aa jaate hai. aur unhe ek call aata hai, “Sir, Yehan kachre mein ek dead body mili hai”
Ye sunte hi Lokesh turant hi crime scene pe pahochta hai aur talash karke use pata chalta hai, ki body ka sar missing hai. aur body ko forensic lab mein bheja jata hai. Lokesh tab tak crime scene mein aur chanbin karta hai, jahan use ek aisa suraag milta hai, jo usse culprit tak siddhe pahocha sakte the.
Lokesh crime scene se aane ke baad police station mein body ke postmorten report ka wait karta hai. jiske ke saath ye saaf ho jaata hai ki murder jiska hua hai uska naam Vikram hai aur wo ek college student hai.
Lokesh ko itna pata lagne ke baad wo Vikram ki family aur baaki sabhi localide logo se bhi Vikram ke baare mein puchtach karta hai. jab use pata chalata hai ki Vikram ka ek dost uske saath reheta hai, wo kaafi time se missing hai.
Aur ab wo Vicky ko dundhne ke liye nikal jata hai. jahan use aakhir kaar Vicky apne ghar mein chupa hua mil hi jata hai. jahan Lokesh Vikram
se sawaal puchta hai, “aakhir usne murder kyu kiya”?
Aur Vicky batata hai “ek uski aur vikaram ki behas hogyi, jiske baad vikaram use kuch aisi baate bolta hai, jo Vicky se sehan nhi hoti hai aur gusse mein.
Wo Vikram ke sar pe hamla kar deta hai, jiske wajah se Vikram ki jagah pe hi maut ho jaati hai aur thodi der baad jise hi Vicky dekhte hai ki vikaram ki maut hogyi thi. Wo sochta hai ki wo body ko pieces mein cut karke saare part ko alag alag jagah mein dipose kar dega.
Aur iski shuruat usne body ke sar se ki lekin wo aage thak gaya aur fir usne socha ki body ke sar ko alag jagah dispose kar dega aur baaki ke part ko kachre mein fek dega. Lekin uska ye plan kamyab nhi hua.
Lokesh ne use dhundh liya aur fir Vicky ko is baat ki saja milti hai. aur ek aam se insaan se wo ek khalnayak ban jata hai.