कौन है sakshi Malik?

http://Dangal 2 Part 2 कौन है sakshi Malik? Yeh kahani Haryana ke rohtak jile ki Sakshi malik ki hai. Aur apne pahalwaan dada se prerit ho kar kushti ki dunia mein kadam rakh deti hai. Parivaar ka saath milne se voh jam kar training karti hai. Aur desh ke liye kuch kar gujrne ka sapna dekhti hai. Jiske baad Sakshi ne din raat ek karke Olympic ka sapna dekhna shuru kar diya ..pehle chote chote khel se Sakshi ne shuruaat kari aur dhere dhere voh unn sabhi muqablo ko jitti gayi.. sakshi ki lagan aur trainers ki mehnat rang laai aur Sakshi bhagrat ki aur se Olympic mein khushti ka medal jitne vali pehli mahila khilaadi ban gayi… Dekhte hi dekhte Sakshi ne kushiti mein jitne ko aona passion bana lia…Sakshi ki safalta ki dekhte hue uss samay Uttar Pradesh ke mukhya mantri akhilesh yadav ne Use raani laxmi bai purskaar dene ki ghosna ki…yeh Uttar Pradesh mein mahila khilaadio ko dia jane vala sarvoch purushkaar hai. Jiske tahat 3 lakh 11 hazar rupee ka purskaar diya jata hai… Olympic mein Rajat padak jitne par Sakshi par charo aur se purskaaro ki varsha hone lagi… ab tak Hariyana sarkaar ne use 2.5 crore rupee, delhi sarkaar ne 1 crore, relve ne 50 lakh rupee, bhartiya Olympic Sangh ne 20 lakh rupee, jsw ne 15 lakh aur salman khan dwara 1 lakh 1 hazarr rupee dene ki ghosna ki ja chuki hai… Pahalwaani ke akhade mein shakshi ki zindgai bhut achi beet rahi thi aur isi bich uski mulaqat hoti hai, satyavrat kadiyan se. Sakshi ki tarah satyavrat ko bhi kushti mein maharat hasil hai. Satyavrat ko kushti virasat mein mili thi. grasgo rastra mandal khel ke dauraan dono kushti ke akhade mein milte hai. Aur dono mein dosti hoti hai. Vahan bhartiya khilaadi acha pradarshan kar rhe the. Sakshi aur satyavrat dono ne hi silver medal jita. Lekin gold na mil paane ki wajh se Sakshi udaas ho jati hai aur satyavrat bade hi pyaar se use samjhata hai, ki hamari har haar hume kuch na kuch sikhati hai. Aur hmara lakshy rastra mandal khel nahi balki Olympic hai… yeh sun kar Sakshi utsaah se bhar jati hai… iske baad dono ki mulaqate badhne lgti hai. Aur samany si jaan pehchaan achi dosti mein badal gayi. Fhir dono international maidaan mein saath saath jane lage aur ek doosre ko support karne lage. Aur dekhte hi dekhte dono ko ek doosre se pyaar ho gaya aur dono ne ek doosre se shadi karne ka faisla kia.. lekin abhi bhi unka lakshy Rio Olympic hi tha.. Kaafi mehnat ke Baad dono Rio Olympic bhi pahuche…lekin vaha unka saath nahi likha tha. Mehaz 1 second se satyavrat chook gaya aur uska selection nahi ho paya. Lekin satyavrat ne Sakshi ka saath nahi chora.. Jiske baad dono satyavrat ne Sakshi ka poora sath diya aur Rio Olympic 2016 Mein Sakshi Malik Bharat ki pahli mahila pahalvan bani thi jinhone Olympic Mein Desh ke Liye padak hasil kiya tha….. desh ke liye medal laane ke baad Sakshi ne 2 April 2017 ko satyavrat ke sath shadi kar li….aur dono khushi khsuhi rehne lage…. Toh ab aap hume bataiye ki aapko yeh kahani kesi lagi…hume comment box mein apna answer dena na bhooliyega… THE END. _NEHA MISHRA. Cast. Sakshi malik- Sonakshi Sinha. Satyavrat – Karan Kundra.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Karan Arjun 2 , Salman Khan , Shahrukh Khan ,by Tannu bollygradstudioz.com

Karan Arjun 2

Karan Arjun 2 की हमारी कहानी जिसमें Karan, Rajnath Thakur का bodyguard होता है। और उसके बचपन के अनाथालय मे मिले दो दोस्त पूजा और

Read More »

Mission Raniganj

India के‌ sorry, sorry …”भारत” के honourable प्राइम मिनिस्टर नरेंद्र मोदी जी की‌ एक खास लाइन है “अच्छे दिन आएंगे”,‌जिसे बॉलीवुड के लिए हम थोड़ा

Read More »
Krrish 4 ,Hrithik Roshan , Priyanka Chopra , By Kiran Yadav bollygradstudioz.com

Krrish-4

Astrophysicist Ron Mallet ek aise scientists hai, jo saalon se time travel machine pe kaam kar rahe hai. Ron ki maane toh e adult life

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​