Veerappan South India ka famous naam tha. Sandalwood yaani ki chandan ki smuggling karne waala Veerappan logon ke beech khauf ka kaaran tha. 18 January 1952 ko paida hua Veerappan ka pura naam Kooj Swamy Veerappan tha. Veerappan maatr 17 saal ki umar se hi haathiyon ka shikaar karne lag gaya tha. Veerappan ko lekar kaha jaata hai ki usne 10 saal ki umar me pehli baar haathi pe goli chalayi thi. lekin haathi ki hatya usne 17 ki umar me ki. Veerappan haathiyon ke sir ke beech me goli maarta tha. Veerapan ko pakadne ke liye raajya sarkaar ne police force ke saath milkar kareeb 20 saal tak search operation ko anjaam diya jisme करोड़ों rupay kharch huye. halanki Veerappan har baar bach nikalta tha.
Veerapan Sandalwood ke alawa haathi ke daanton ki bhi smuggling karta tha. Kaha jaata hai ki ek baar forest incharge “Sri Niwas” ne Veerappan ko pakad liya tha, lekin woh kisi tarike se bhaag nikala. Phir kuch dino baad Veerappan ne Forest incharge Sri Nivas ka sir kaat kar hatya kar di. Veerapan ke nishaane pe jyadatar police officers aur forest incharge hi rahe.
Dashakon tak Veerappan ne Sandalwood aur hathiyon ke daaton ki smuggling ki aur khoob paise kamaye. Ek wakt aisa bhi aaya, jab kaha jaane laga ki Veerappan ne TamilNadu, Kerela aur Karnatak ke jungalon ko apni मूंछो me baandh rakha tha. Veerappan, jaha apne kaarnaamon ki wajah se notorious tha, wahi woh apni मूंछो ki wajah se kaafi famous bhi tha. Wahi Veerappan ke saathi bhi apne boss ki hi tarah khatarnaak the, jo Veerappan ke ishaare pe kisi ki bhi jaan lene se peeche nahi hat’te the. Veerapan pe 5 crore rupayon ka inaam tha. Wahi Tamil Nadu ki Jailalita Sarkaar ne Veerappan ko pakdne ke liye jis task force ko tainaat kiya tha, uspe 100 crore se jyada rupay kharch kiye gaye the. Veerapan ne 1991 me Muthulaxmi naam ki ladki se shaadi ki. Veerappan ki badnaami aur uski मूछ Muthulaxmi ko bahut pasand thi. 1993 me Veerappan ne Tamil Nadu ke jungle me patrolling kar rahe 21 jawaano ko bomb se udaa diya tha. Veerappan se naa sirf Tamil Nadu balki Karnataka ki sarkaar bhi tang aa gayi thi. Veerappan ke paas waise toh bahut paisa tha ,lekin tab bhi uske paas ek purana tape recorder aur Black and white TV hi tha. Veerappan padha likha nahi tha, par uski PR team ki office London or New York me thi. Veerapan ne apne Jeevan me 187 logon ko maara tha, jinme se 97 akele police force se the. Wahi usne 2000 se jyada haathiyon ki hatya ki thi. Waise toh Veerappan ne apne Jeevan me bahut se crime kiye, lekin inn sab se upar raha Kannada actor Rajkumar ki kidnapping, jisne khub popularity batori thi. Veerapan haathiyon ki skin aur daanton ko bech kar jaha paise kamata tha, wahi Sandalwood ko bech jo use paise milte the, usse Veerappan hathiyaar khareedta tha.
Veerappan ka encounter bhi uski zindagi ki tarah hi anokha raha. Asal me hua yeh ki Veerappan ki aankhe kharaab thi, jiske ilaaz ke liye usse jungalon se baahar apne do saathiyon ke saath aana pada. Raaste me hi Veerappan apne saathiyon ke saath ek ambulance me baith gaya, lekin use iss baat ka andaza bhi nahi tha ki jis ambulance me woh baitha hai, woh asal me police ki hai. Asal me police ko pehle hi khabar mil gayi thi ki Veerappan uss ilaake me milega. Halanki chaaron taraf se gherne ke baad Police ne Veerappan aur uske saathiyon ko surrender karne ko kaha, lekin Veerappan ne apne saathiyon ke saath firing shuru kar di. apni jaan ko bachane ke liye police ne bhi firing shuru ki, jiski goli seedhe Veerappan ke sir pe jaakar lagi aur uski mauke pe hi maut ho gayi. Veerappan ka encounter karne waale police officer ka naam IPS Vijay kumar hai.
Toh yeh thi dacoit Veerappan ki kahani. Agar aapko blog pasand aayi toh isse like karna naa bhule dhanyawaad.
Cast:-
Veerappan:- Sandeep Bhardwaj