Jaise hi ghuspethiyon ki boat surveillance team ke saamne aati hai to vo ghuspethiyon par apni Light Machine Gun fire karne ki permission maangte hai. Lekin Colonel Upadhyay ( Sunny Deol ) unhe mna kar dete hai or kehte hai ki unhe thoda or pass aane do. Thodi hi der mein saare ke saare aatankwadi Kishen Ganga nadi ko paar kar lete hai, or Lt. Navdeep Singh aur Naib Subedar Ganpati ( Mukesh Tiwari ) ki direction mein aage badhne lagte hai. Lt. Navdeep aur Naib Subedar Ganpati ki team ke beech mein 25 meters ki doori thi, or ye aatankwadi isi doori ki taraf badh rahe hote hai. Udhar surveillance team iss operation ki live update Rana base mein baithe Colonel Upadhyay ko de rahi hoti hai. Colonel Upadhyay Lt. Navdeep aur Naib Subedar Ganpati se kehte hai ki “un aatankwadiyon ko or pass aane do or jaise hi vo tum dono ki positions ke beech mein aa jaaye to unpar firing shuru kar dena”. Colonel Upadhyay ke itna kehne ke thodi der baad hi vo aatanki Naib Subedar Ganpati aur Lt. Navdeep ke beech mein aa jaate hai. Ye aatankwadi ek single line banakar chal rahe the or inki guns ready to fire mode mein thi. Lt. Navdeep radio par Naib Subedar Ganpati se kehte hai ki abhi koi bhi fire nhi karega, unhe abhi thoda or pass aane do.
Jaise hi aatankwadi Lt. Navdeep se sirf 5 meters ki doori par hote hai, vo jor se chillate huye kehte hai fire. Jiske baad Lt. Navdeep aur Naib Subedar Ganpati ki teams un aatankiyon par dono taraf se tabadtod firing karna shuru kar deti hai. Aatankwadiyon ko apne pass aane Dene ka Lt. Navdeep ka decision ek sahi saabit hota hai, dono teams ke dwara ki gayi shuruaati firing mein hi 8 aatankwadi maare jaate hai. Thodi hi door par mojood ek or team ka sniper apni sniper rifle se teen or aatankwadiyon ko maar girata hai. Tabhi surveillance team dekhti hai ki teen aatanki vaapas Line Of Control ki taraf bhaagna shuru kar dete hai. Jabki ek aatanki ho Lt. Navdeep aur Naib Subedar Ganpati ki teams ke beech mein fansa hua tha vo firing se bachne ke liye ek badi si chattan ke peeche chup jaata hai. Ye aatankwadi chattan ke peeche ese jagah chupa hua tha ki kisi bhi team ki goli iss atankwadi tak nhi pahunch paa rahi thi. Tabhi vo aatanki ek grenade nikalta hai or uski pin kheench kar Lt. Navdeep ki taraf fenk deta hai. Grenade se bachne ke liye Lt. Navdeep aur unka saathi Sipahi Vijay jump karte hai, lekin grenade ka ek tukda Sipahi Vijay ke shoulder mein ghus jaata hai. Lt. Navdeep jaldi se apne ek haath se firing karte huye Sipahi Vijay ki taraf jaate hai, or use kheenchte huye surakshit jagah par le jaate hai.
Lt. Navdeep Sipahi Vijay ko neeche baithe rehne ke liye kehte hai, or khud upar uthkar us aatanki ki taraf firing karne lagte hai. Lekin tabhi doosri chattan Ke peeche se aakar ek goli seedhe Lt. Navdeep ko lagti hai or vo neeche gir jaate hai. Darasal, grenade ke dhamaake ka fayda uthakar us aatanki ne apni position change kar li thi, jiske baare me Lt. Navdeep ko nhi pata tha. Sipahi Vijay radio par chillata hai Navdeep sahab ko goli lag gayi hai. Colonel Upadhyay ke poochne par Vijay batata hai ki Lt. Navdeep ko goli sir mein lagi hai. Colonel Upadhyay turant kuch troops ko Lt. Navdeep ko vahan se nikaalne ke liye bhej dete hai, vo troops 15 minutes ke andar Lt. Navdeep ko Rana base le aate hai. Base par jab doctor Lt. Navdeep ko check karte hai to vo unhe saheed ghosit kar dete hai. Baad mein us bache huye ek aatanki ko bhi maut ke ghar utaar diya jaata hai. Baad mein humein pta chalta hai ki veergati ko prapt hone se pehle Lt. Navdeep ne 4 aatankwadiyon ko maar giraya tha. Veergati ko prapt hone ke kuch ghanto baad Lt. Navdeep ke parthiv shareer ko do senior army officers ke saath unke ghar Gurdaspur bhej diya jaata hai, jahan par unka antim sanskaar hota hai. Lt. Navdeep ko unke adamya sahas or veerta ke liye marnoprant Ashok Chakra se sammanit kiya jaata hai.