Singham 3

Ashok Kumar ka janam saal 1964 mein 9 November ko haryana ke panipat jiley ke kurana gaaon mein late Rambhaj Garg aur Late Savitri Devi ke yaha hua tha. Wo bachapan se hi padhai or khel khud mein tej thy . Unhone aapne shuruaati education aapne gaaon ke hi government college se ki . Uske baad inhone IIT Delhi se, B. Tech or M. Tech ki padhai bhi wahi se puri ki . Ashok Kumar ko bachpan se hi badminton khelne ka bahut shauk hua karta tha or wo isme mahir bhi thy. Wo apna future sports mein hi dekhte thy.

Kumar ko hamesha se tha ki wo kabhi apne desh ke liye bhi badminton khele or unhone Kai badminton tournament bhi kheli or jeeti bhi. Wo pahele akhil bhartiya police badminton championship mein open category mein 2st runner up bhi reh chuke hai. Unhe long tennis se bahut piyar hai or unhone khud kai aise tournament hai jo khud organise bhi kiye hai. Kumar dehradun marathon ke himaat hai jis se waha kam se kam 20,000 log hai jo iss marathon mein hissa lete hai.
Kumar hamesha se ek sportsman bann na chahte thy lekin unke andar ki desh bhakti ne unhe aapni taraf aakarshit kiya or wo IPS ki taiyaari mein lag gaye. Unka kehna tha ki khel toh zindagi bhar khel te hi rehna hai lekin maatarbhumi ke liye sirf ek baar mauka milta hai or kumar wo mauka nhi gawana chahte. Aakhir kaar wo IPS bann hi gaye or wo apne rajya ke IPS bane. Aur lag bhag wo teen dashk tak kisi na kisi post par wo tainaat rahe.
Unhone Uttrakhand ke hi Roorkee college ke dean se shaadi ki jinka naam Dr. Alaknanda hai . Ashok kumar ke do bache bhi hai ek unki beti Kuhu jo ek bhartiya badminton ki player hai. Unhone international championship or asia championship mein bhartiya badminton ko 4 gold medal dilwaaye hai or 13 international padak bhi dilwaaye hai. Aur kumar ji ka dusra bacha yaani unka beta Shashwat jo ki inke hi rah par chal raha hai wo abhi delhi se hi engineering kar raha hai. Ashok Kumar ko kitaabe likhne ka bhi bahut shauk hai unhone kai kitaabe likhi bhi hai jismein sabse jada mashur unki do kitaabe hui hai Challenges To Internal Security or Man in khakee jo ki bahut hi jada prasidh hui.

Ashok Kumar 1989 mein uttar pradesh mein Indian Police Service ke cadre mein saamil huye or unhone bahut se aise pado par kaam kiya jo bahut hi muskil or chunauti se bhare pade thy. Shuruaati posting unki saal 1991 se 1993 tak prayagraj or aligarh mein ssp ke roop mein hui thi. Yaha tak hi ayodhya mein Babri masjid ko lekar jo 10 din hungama hua tha usko handle karne ke liye wo bina soye aapne kartavya ko pura kar rahe thy. Unhone bahut saare aatankwaadio ko bhi maar giraya jo uttrakhand mein aapni network failana chah rahe thy.

IPS Ashok Kumar ke naam bahut saare aise important kaam rahe hai ki jisme unki jitni taarif ki jaaye kam hai . Unhone 90 ke dasak mein Taraai ka apradh khatm karne mein unki badi bhumika rahi. Unhone Uttar Pradesh ke sahanjahanpur , rudrapur Nainitaal jaise kai saare gajah par rehte huye unn saare badmaasho ka encounter kiya . Or abhi agar dekha jaaye toh inn jagah par pahele ke mutabik ab waha apradh kam ho gaye hai. Aur toh or jab Rudrapur district office hua karta tha tab nainitaal ke talhaati mein ek gaaon ke paas gaanane ke khet mein kuch badmass ke chipe honey ki khabar mili toh unhone apne force ke sath wo morcha sambhala. Uss waqt waha dono taraf se takriban 3000 goliya chali thi jisme Hira Singh ke gang ke do log maare gaye thy. Uss encounter mein Kumar ko 2 AK 47 or kai saare weapons bhi miley.

Yeh baat 1994 ki jab Ashok Kumar Chamoli ke SP thy or uss waqt uttrakhand andolan aapne charan par tha lag bhag saare jagah par andolan kaari shaheed ho rahe thy lekin chamoli hi ek aisi jagah thi jagah koi bhi andolan kaari shaheed nhi ho rahe thy or aisa sirf or sirf kumar ke wajah se tha. Wo saare badmaasho ko mu tod jawab de rahe thy .
Thik uttrakhand ke bante hi unhone police waalo ke liye mil rahe lacked infrastructure par diyan diya or usse thik karwaane mein lag gaye. Unn hone waha wo har chize banwai jo police waalo ko chahiye thi ki jaise ki Police headquarters, Police Line, Provincial Armed Constabulary, Police training center or Police station.
Ashok ne haridwar mein lage mele ko bhi bakhubi sambhal jaha khabar aayi thi kuch bam baari hone ki. Unn hone bahut hi aache tareke se saal 2004 ka kumb mela ko niyam or kanoon ko dhiyan mein rakhte huye sambhal.
Ashok Kumar sirf or sirf inn chizo mein hi nhi balki corruption or drugs jaise maamlo mein bhi saab se aage hi hai unhone corruption bhi band karwai or takriban 50 logo ko iske liye jail bhi bheja aur wo Punjab mein post kiye gaye toh unhone ek anti- drug naam se ek operation chalaya jisme wo kaamyaab bhi huye or kaafi logo ko jail ki hawa bhi khilaayi. Saal 2001 mein cosovo mein aache kaam krne ke liye inko UNA mission ka award bhi fdiya gaya tha. Phir 2006 mein lambi or aachi seva krne ke liye president of India se bhi inko aache IPS hone ka bhi award Mila tha. Ashok Kumar ka kehna hai ” Police ki wardi mein hotey huye bhi insaan bane rehna koi muskil baat nhi”.

Jab saal 2020 mein corona mahamari aai toh yaha hi wo apna yog daan dene se pichey nhi rahe unhone unn har ghayal logo ki madad ki jo inn ke paas umeed lekar aate thy. Kanoon or waiwastha ke roop mein unhone aapne duty ke dauraan unhone aapradhik maamlo ko khaas kar ke, apna kaam krne par diyan kiya jo aage chal kar piditoh ke bahut kaam aaya.Iss chiz ko lekar unhe kai puruskaro se swaja bhi gaya or unki himaat or jazbe ko salami bhi di gayi .
Aur toh or abhi haal hi mein Ashok Kumar ko Uttrakhand ke DGP banaye gaye hai or way apne rajya ke 11th DGP baane hai. Aapko ye story kaisi lagi jo Singham 3 ho sakhti hai hume comments karke jarur batayiye ga. Tab Tak ke liye aapna dhiyan rakhiye or kahani padhte rahiye or hamesha muskurate rahiye….

 

 

By Chandan Pandit

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Bade Miyan Chote Miyan 2

Bade Miyan Chote Miyan 2

बात है 1911 की जब Italy से train चलती है। जब Saturn नाम की एक company ने पहले trail के लिए train चलाई। कुछ दूरी

Read More »
Bhool Bhulaiya 3, Kartik Aaryan,Bollygrad Studioz ,bollygradstudioz.com

Bhool Bhulaiyaa 3

महराष्ट्र राज्य के नांदेड़ गाँव के पास रायपुर इलाके में आज भी खून की प्यासी डायनों का बसेरा है। वहा पर रहने वाले लोगो का

Read More »
FIGHTER

Fighter

    कमाल राशिद खान को आज कौन नहीं जानता, ये वो है जो हर फिल्म पर अपनी review देना जरूरी समझता है, लेकिन इसने

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​