Singham 3

Thumbnail question

26/11 attack में शहीद की जांबाज़ कहानी।

Singham 3 by Lavanya Chaudhary

Misal pao, bhelpuri , vada pao ya phir pav bhaji naam sunte hi muh mai Pani ajata hai. Is chakachaundh wale seher ko dur ses dekh kar sab chahte hai ki wo yaha rahe lekin jab wo ate hai na tab is chamak dhamak ke piche ka sach pta chlta hai. Ye seher bade bade film stars or apne anokhe political carrier ke liye famous hai, bohot se beaches jinke kinare beth kar bhutta khane ka maza alg hi hai or Mausam esa ki samjh hi na aae kab barish hogi ya kab dhoop rahegi. Is seher mai peda hua ek janbaz sipahi year 1954 mai jiska naam rakha gya Hemant Karkare . Bete ko dekh kar itne khush the sab ke sab ki unhone soch lia tha isko kuch bnae na bnae lekin ek acha insan zarur banaenge. Jese jese Hemant bada hua usko ye sikhaya gya ki padhai islye zaruri hai kyunki usse insan ko pta chlta hai ki kis situation mai kya karna chahiye sath hi ek acha insan tabhi banta hai jab wo padha likha hota hai. Schooli padhai puri hone ke baad aab Hemant ko jana tha college jiske liye unko Nagpur jana pada or waha ek engineering college mai unhone admission le lia or chalu kardi apni nayi journey . Lekin na jane kya hua ki engineering chodh kar hemant ka man sirf or sirf desh ke prati lagne laga uska sapna ban gya ki usko aab police force join karni hai lag gya phir Hemant puri taiyaari ke sath. Usne police exam pass kia or phir alag alag jagah par jab usko posting hui toh usne jhande gadh diye. Gunde, chor se lekar atankwadi Tak sab hemant ke naam se kapte the. Phir Hemant ko mauka mila jane ka narcotics department mai. Waha Hemant ka ek karnama hai jo bohot hi mashhur hai. Asal mai hua ye tha ki ek drug dealers ki gang thi jisko pakadna pure department ke liye mushkil ho raha tha jaha se khabar milti wahi par police force teams bnake bhej deti lekin hath kuch bhi nahi lagta. Ese hi mahine bit gye aab Hemant Karkare is baat ko hazam nahi kar paa raha tha kyunki Us giroh ki bohot si complaints din raat ati jaa rahi thi or har 4 din baat tip milti ki wo waha mil sakte hai or jab waha teams pahuchti toh waha koi nahi hota. Ek time toh esa tak agya tha ki department ke kai officers ne toh umeed hi chodh di thi aab wo gang pakada jaega lekin Hemant ne apni ek alag duniya mai ek bohot bada plan bna lia tha. Us plan ke according ke din Hemant ne sabko bulaya or unhe bola ki aaj hum sare tolls par pehra denge lekin civil dress mai jab waha par humko lagega ki koi yato bohot Dara hua yato bohot zyda hi befikar hai toh hum uska picha karenge or phir waha se safe niklane ke baad wo thoda dur jakar mal ko check karenge tab unhe pakad lia jaega. Hemant ne har gadi mai 4 logo ke hisab se bohot sari teams taiyaar ki or phir lag gye apne mission par hafta bhar bit gya or koi safalta hath nahi lagi. Team ke sab log har man chuke the lekin Hemant nhi, agle hi din plan ke mutabik chize hui 4 ese trucks the Jin par shaq tha lekin unme se 2 ese nikle jinhone hubahu wahi kia jo Hemant ne kaha tha. Aab wo pakade gye or Hemant ki waha bhi wah wafi hone lagi. Phir Hemant ko 2006 mai ek bomb dhamake ki janch karne ke liye bhej dia wo esa explosion tha jisne malegaon ke logo ko hila kar rakh dia tha or kaha ye bhi jata hai ki waha kuch logo ke parivarwalo ke toh kankal Tak nahi mile. Malegaon mai hemant ne puri mehnat se janch ki or sarkar ne Hemant ko waha appoint hi islye kia tha kyunki unhe pata tha ki wo puri mehnat ko immandari se is kam ko karenge or agar inki jagah kisi or ko rakha gya toh ekbar toh ho sakta hai ki unhe chinta lagi rahe. Lekin phir hua kuch esa jiske bare mai socha bhi nahi tha, is mamle hai aropiyon ne sara ilzam Hemant par laga dia ki wo or unki team un sabko mar rahi hai or sath hi unlogo ke ghar mai RDX bhi Hemant ki team ne rakhwaya tha jisse unhe Phasaya Jaa sake lekin is baat ka koi sr pair nahi tha islye is baat par zyda gaur nhi kia gya. Uske baad aya changing point jaha se puri ki puri zindagi badal gyi Hemant ki wo tha 26/11/2008 mai ek atankwadiyon ka hamla hua jisme Hemant ko khabar mili ki ek bank ke pass kuch atankwadi log lal gadi mai aae hai or kuch bada plan kar rahe hai. Pehle toh Hemant ne apni team ko ikhatta karke ye sab btaya zahir si baat hai log dar toh gyae the lekin desh ki suraksha apne dar se kai zyda thi. Hemant or uski team waha pahuchi. Atankwadi pehle se hi positions le chuke the jeseki unhe kisine btadia ho ki police ki team aa rahi hai wha pahuchte hi Hemant or uski team par khub firing hui . Team ke kuch logo ko goliya lagi or kuch toh dar kar waha se bhag gye lekin Hemant ne ajtak har kabhi mani hi nahi thi. Hemant ne apni team ko ikhatta kia or unhe position dedi sath hi unhe angles tak ka barik gya bhi dekar Hemant ne apna plan pkka kar lia tha. Bohot der firing chali or Hemant ne ek atankwadi ko goli mar kar use dher kar diya wo koi or nahi balki Kasab tha. Kasab ke dher hote hi atankwadi thode seham gye lekin unke dimag mai baas kese bhi is hamle ki anjam dena tha uske liye chahe jo jae unhe pareshani nahi thi. Jab Hemant thoda sa bahar nikla toh kuch atankwadiyon ne use 3 goli mari, kyunki ye koi film nhi hai islye 3 goli mai Hemant ki maut hogyi or use bachana namumkin tha . Hospital le jaya gya lekin tabtak Hemant Shahid ho gye the. Unke sath unki team ke kai officers ne bhi yaha shadat prapt ki . Aab unka pura parivar unpar bohot naaz karta hai. Singham 3 ki kahani bhi kuch esi ho sakti hai.

By Lavanya Chaudhary

Bye

Description:Fans of Rohit Shetty and Ajay Devgn, be prepared to be blown away as Singham 3 is in the pipeline. The filmmaker confirmed in an interview with indianexpress.com that the cop drama is set to start its third instalment. Singham 3 is going to be a massive one and all our forces are working on it right now.

Bye

 

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Karan Arjun 2

Sara और heba दोनो बहने है और जब सारा छोटी थी, तब उसने अपनी बडी बहन heba से उसके dresser पर लगे फोटो के बारे

Read More »
Jawan, Shah Rukh Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Jawan

धीरज ,उत्तर प्रदेश के अलीगढ़ का रहने वाला था। वो अपने भैया भाभी के साथ रहता था । जब छोटा था तब accident मे उसके

Read More »
Brahmastra 2

Brahmastra 2

बिना अवॉर्ड के लगता है एक्टर्स की कोई वजूद ही नहीं है, शायद इसलिए हर एक्टर अपनी जिंदगी में बेस्ट एक्टर का अवॉर्ड पाना चाहता

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​