Singham 3

Log inhe Singham naam se bulaate hai or Inka naam hai Annamalai Kuppuswamy. Annamalaike ka janam 4 June saal 1984 mein Tamil Nadu ke karur gaaon mein hua. Inke pita ji ka naam Kuppuswamy hai jo ki ek kisaan hai or inke Maa ka naam Parameshwari hai. Annamalai ko bachpan se hi desh ki sewa karne ka shauk tha wo hamesha se chahte thy ki wo logo ke sath unke paas rahe. Saal 2007 mein inhone apni degree in bachelor of engineering ke PSG College of technology Coimbatore, Tamil Nadu mein complete ki. Annamalai ko padhne ka bahut shauk tha toh unhone saal 2010 mein PGDM in business jo ki Indian institute of management Lucknow mein hai waha se complete ki. Jab wo college mein thy tab unhone PSG College of technology mein samvedi society aur uske management ke liye aache se kaam kiya. Jab wo post graduation kar rahe thy ab unhone apne college ke taraf se coordinator ke roop mein wo college ka character or personality club bhi chala rahe thy.
Saal 2011 mein jab India ke mashoor taj hotel mein hamla hua ussi saal September mein Annamalai ki officer training chaar mahiney ke liye LBSNA mussoorie uttaranchal mein chal rahi thi. Saal 2011 se 2013 ke bich Annamalai ko Sardar Vallabhbhai Patel National Police Academy mein as officer trainee rakha gaya tha. Phir September saal 2013 mein unko assistant police officer banaya gaya wo bhi Karnataka ke karkala gaaon mein. Saal 2015 mein unko supritendent of police bana diya gaya Udupi ka. Annamalai ne Akila naam ki ladki se shaadi ki jo khud ek company ki manager hai or Inka ek beta bhi hai. Annamalai ko NGO mein bhi kaafi dilchaspi thi or ek organization ke bhi founder hai jiska naam Core talent and leadership Pvt Ltd hai jo ki saal 2019 mein inhone banai thi or waha ye as a director bhi kaam karte hain. Unhone bahut saari campaign bhi chalayi drug abuse, tobacco or illegal liquor ke khilaaf, log inhe piyar se Anna bulaane lage. Ek baar jab Annamalai ek seminar attend krne gaye toh unhone ek box waha rakhwaya jisme unhone students ko bola ki wo tips de illegal liquor ko lekar.
Ek baar ki baat hai jab ek shop par Annamalai gaye or unhone waha ke shopkeeper se cigarette, gutka or bidi maangi toh jaise hi shopkeeper ne unko diya Annamalai ne usse ek jor daar thapad maar diya aur 30,000 ki fine bhi laga di . Kuch mahino baad inhone decide Kiya religion ke baare mein padhne ka , wo Kuran or Hadith ki padai ki or unke philosophy ko samjhne ki koshish ki . Jab wo saal 2019 mein Bengaluru South mein aa deputy commissioner thy tab unhone decide Kiya resign krne ka or resign krte waqt unhone bolo ki mai ye faisla achanak nhi le raha hu. Maine ye pahele se soch rakha tha jab mai Kailash mansarovar ki trip par gaya tha, or ye khayal mujhe mere senior ke death jo saal 2018 me hui thi or uske baad aaya or ye chiz mujhe purey andar tak jhakjhor deti hai.
Aakhir kaar 8 saal desh ki sewa karne ke baad unhone socha ki wo ab jitna ho sake utna logo ke sath or unke bich mein rahenge. Aur 2019 mein unhone resign kar diya police ke post se or pura time aam logo ko dene laage. Saal 2020 mein inhone ek or organisation established kiya We the leaders Foundation naam se, jaha ke wo mentor bane. Inki ye company organic farming or modern agriculture ke techniques ko bhi full support krte hai. Annamalai batate hai ki jab unhone resignation announce kiya toh unke colleague or bahut se senior iss decision se khus huye or unhe unke iss decision ke liye ek aacha or agayakaari officer hai or itna boltey hi unke colleague sab unke sath selfie lene ke liye unke paas bhag te huye aaye. Tab Annamalai ko abhaas hua ki wo kitne jada influence krte hai aapne kaam se logo ko .

Saal 2020 mein ips ki post ko chor Kar unhone politics join ki wo bhi Bhartiya Janta party mein or unko Bhartiya Janta party Tamil Nadu ka unko president bana diya gaya. Ek interview mein Annamalai batate hai ki unko bahut saare party se offer aaya tha but unhone bhartiya janta party ko hi chuna kiu ki wo Shri Narendra Modi ji ko apna mentor maante hai or unki kaam ki tarif bhi karte hain or follow bhi. Ussi dauran aai corona mein bhi unhone badh chad kar apne logo ka sath diya. Tamil Nadu ke logo ki wo har jaruratey puri ki jo ek raajneta ko krni chahiye thi . Inke kahani par ek kitaab bhi chapi hai jiska title khakhi rakha gaya.
July 23 , saal 2022 mein jab hamare desh ke president ki farewell party jo Narendra Modi ne host ki thi usme bhi Tamil Nadu se sirf Annamalai ko hi invite kiya gaya tha. Ye hai Tamil Nadu ke asli Singham jo logo ke dil mein base hai, toh aane waali movie Singham 3 ki ye bhi story ho sakhti hai. Aapko ye story kaisi lagi comments karke batayiye ga tab ke liye apna dhiyan rakhiye or hamesha muskurate rahiye….

 

By Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Dunki

Dunki

India mein har ek teenage ka sapna hota hai ki wo foreign mein jaa kar kaam kare, wahan ki lifestyle, work environment Indian Teenagers ko

Read More »
Munna Bhai

Munna Bhai Series

कुछ फ़िल्में success फ़िल्मों की लिस्ट में होती है, तो कुछ फ़िल्मों को ख़ूबसूरत फ़िल्म का दर्जा दिया जाता है, तो वही कुछ फ़िल्में ऐसी

Read More »
Pawan Putra Bhaijaan , Salman Khan, By Jaya Shree bollygradstudioz.com

Pawan Putra Bhaijaan

Director Kabir khan Or Bhaijaan mil kar ek baar phir se saal 2015 ki film ‘Bajrangi Bhaijaan’ ke sequel par kaam karne ja rahe hain,

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​