War-2

Pichle blog me humne dekha ki kaise Flight-305 ka Hijacker Dan Cooper, 10,000 dollars mil jaane ke baad apne bhaagne ki taiyaari me tha. Dan ne crew members ko pehle hi nirdesh de diye the ki aakhir unhe kis speed pe plane ko udaana hai aur kitne degree tak plane ke wing flaps ko rakhna hai. Dan yeh saari jaankaari dene ke baad Parachute ke saath Plane se kudne ke liye bilkul taiyaar tha, ki tabhi First officer William J. Rataczak (विलियम। जे रताकज़क)ne Cooper se kaha ki ‘uske dwara diye gaye nirdesh, plane ki capacity ko lagbhag 1600 km tak seemit kar denge, jisse unhe Mexico me enter karne se pehle, flight ko dobaara refuel karna hoga.’ Cooper aur crew members ne iss maamle me charcha kiya aur Nevada, USA ke Reno-Tahoe (रेनो ताहो) International Airport pe, refueling karne ke liye apni sehmati jatayi. Cooper ne peeche ke exit door ko khula rakhne aur uske air stair ko extend rakhte huye, flight ko takeoff karne ka nirdesh diya. Airlines company “Northwest” ke office incharge ne Cooper ke iss nirdesh pe apni आपत्ति jataayi. Unhone kaha ki flight ke takeoff ke dauran staircase ko khula chodna safe nahi hai. Lekin Cooper ke anusaar yeh procedure puri tarah se safe tha. Cooper ne kaha “Aisa ho sakta hai..tum karo”. Halanki Cooper ne yeh bhi kaha ki ek baar flight Hawa me udne lagegi toh woh सीढ़ी ko band kar dega. Iske baad Cooper ne kaha ki operation me madad ke liye, Macklow ko flight me hi rakha jaaye. Lagbhag shaam ke 7:40 baje flight ne udaan bhadi, jisme sirf Dan Cooper, Tina Macklow, Captain Scott, first officer William aur flight engineer Harold Anderson sawaar the. Air force ki do ladaaku vimaan bhi Flight-305 ke peeche gayi. Air force ki team ne iss tarah se flight-305 ka peecha kiya, jisse Cooper ki nazar unpe naa pad paaye. Jaise hi flight ne udaan bhadi Cooper ne Macklow se kaha ki “सीढ़ी ko band kardo”. Ispe Macklow ne Cooper aur crew members se kaha ki ‘usse aisa karte wakt flight se gidne ka darr hai.’ Ispe crew members ne Macklow ko sujhaav diya ki woh cockpit me aaye aur waha pe rakhe emergency rassi ko lekar, ek seat se khud ko baandh le. Isse woh सीढ़ी ko neeche karte wakt gidegi nahi. Lekin Cooper ne crew member ke iss suggestion ko nakaar diya. Cooper nahi chahta tha ki Macklow cockpit me jaaye ya waha ke crew members andar, cabin me aaye. Macklow ne apne darr ko tab bhi Cooper ke saamne rakha. Macklow ne Cooper se kaha ki “aap apne parachutes me se, ek parachute ke chords ko kaat kar mere liye safety line taiyaar kariye, taaki mai seedhiyon ko band kar saku.” Cooper ne tab Macklow se kaha ki woh khud hi staircase ko band kar dega. Iske baad Cooper ne Macklow se kaha ki woh Cockpit ke andar jaaye aur Cockpit aur first class ke beech ke parde ko draw karde aur waapas andar naa aaye. Macklow ne Cockpit me jaate huye bas yahi kaha ki “Please… aap apne saath bomb ko bhi le jaaye.”Cooper ne ispe kaha ki yaa toh woh bomb ko disarm kar dega, yaa phir usse apne saath hi le jaayega. Macklow jab cockpit me jaakar parde ko draw kar rahi thi, tabhi uski nazar Cooper pe padi, jo paison ki bag ko apne waist se baandh raha tha. Macklow aakhiri insaan thi jisne Cooper ko dekha tha. Iske baad Reno pahuchne tak Macklow cockpit me hi rahi. Kareeb 8 baje cockpit me ek warning light chamki, jdarsha rahi thi ki air-stairs ko activate kar diya gaya hai. Pilot ne cabin me lage mic se Cooper se puchne ka prayaas kiya ki “kya usse assistance ki jarurat hai?” Jispe Cooper ne apna aakhiri, sirf 1 shabd ka jawaab diya aur who tha “Nahi”. Tabhi achaanak crew ke kaan khade ho gaye. Cabin ka air pressure achaanak kam ho gaya kyunki air-stairs khula tha. Lagbhag 8:13 baje vimaan ka tail section, achaanak upar ki yod “pitch” hua, jiska matlab tha plane achaanak se up and down axis me ghumne laga. Iss wajah se majburan pilot ko trim kar dobara plane ko neechle satah ki udaan pe laana pada. Jab airstairs ko khola gaya tha, tab tak crew members plane pe hi the lekin unhe iss baat ka andaza nahi tha ki Cooper plane pe hai bhi ya nahi. Macklow ne cabin me lage mic ka istemaal yeh batane ke liye kiya ‘woh Reno pahuchne waale hai. iss wajah se unhe airstairs ko band karna hoga taaki safe landing ho sake.’ Lekin cabin se koi jawaab nahi aaya. Macklow ne dobara Cooper se request kiya ki woh airstairs ko band karde lekin crew members ko Cooper ki taraf se koi jawaab nahi mila. 11:02 baje the, abhi bhi flight ki airstairs khuli hui thi. Pilot ne Flight ko Reno-Tahoe international Airport pe land karwaya. FBI ke agents, rajya ke sainik, sheriff ke deputies aur Reno police ne plane ko chaaro yod se gher liya. Lekin Hijacker aur uske saath bomb ke hone ke darr se woh log plane ke andar nahi ghuse. Iske baad Captain Scott ne flight ke cabin me chaaron yod dekha, lekin unhe Cooper kahi nahi dikha. Scott ne Cooper ke plane pe naa hone ki jaankaari sabhi ko di. Iske baad FBI ke bomb squad ne 30 min tak plane ke cabin me chaan-been ki, jiske baad squad ne cabin ko safe ghoshit kar diya. Yaani ki jab airstairs deployed hua tha, tabhi Dan Cooper parachute ki madad se Plane se कूद chuka tha. Iske baad investigation shuru hua jisme

Dan ke jaane ke kuch wakt baad Investigation shuru hua, jisme uss dauran flight se 66 fingerprints mile the. Iske alawa FBI agents ko Cooper ki tie pe lagi black clip bhi mili aur iske alawa unn 4 me se do parachutes bhi mile, jo Cooper ko diye gaye the. FBI agents ne Portland, Seattle aur Reno ke eyewitnesses ke interview darj kiye aur ussi ke basis pe Cooper ki ek sketch taiyaar ki gayi. Yaani ki kisi ke paas Cooper ki tasveer bhi nahi maujood hai. sab usse sketches ki madad se hi jaante aaye hai. FBI agents iske turant baad unn logon se sawaal karne lagi, jinka naam D.B Cooper tha. Kyunki agents ka yeh maan’na tha ki ho sakta hai ki Dan Cooper ne ya toh apne asli naam ka istemaal kiya tha, ya toh yeh iska उपनाम hai, jise usne shaayad pehle bhi kisi crime me istemaal kiya hoga. Portland police ne ek Portland ke hi rehne waale aadmi se iss maamle ke baare me puch-taach ki, kyunki uss aadmi ka bhi naam D.B Cooper tha.

Toh darshakon aage aakhir kis tarah se FBI iss case ke teh tak gayi aur kis tarah se D.B Cooper FBI ke history me shaamil hua, yeh hum aapko aane waale blog me batayenge tabtak ke liye bane rahiye humare saath iss blog pe, jiska naam hai Bollygrad studioz.

TO BE CONTINUED…PART-3

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

War 2 Hrithik Roshan & Tiger Shroff , bollygradstudioz.com

War 2

Thumbnail: बचपन के trauma ने बनाया murderer। Iss Kahani me abhi suspense aur twist ki entry hone wali hai. Par isse pehle Jan lete hai

Read More »
Dabangg 4

Dabangg 4

सलमान खान अपनी दबंग 3 फिल्म से इस बार audience को अच्छी तरह से entertain नहीं कर पाए खासकर अपने रोमांटिक अंदाज में। फिल्म के

Read More »

Jawan

                    Jawan   26 जनवरी 1982 दक्षिण sikkim  की तहसील मे एक मां एक  बब्बर शेर को जन्म देती है जिसे नाम मिलता है Sanjog Chhetri

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​