Tiger 3

THUMBNAIL TITLE: Rabinder ने तोडा rule?

Khud apni jaan museebat mein daalna kise pasand hai? sab aise kaam ya toh paise ke liye karte hain ya gharwaalo ke liye ya kisi majboori ke kaaran. Jaan boojh kar aise khatre mein koi nahi padta lekin kuch hote hain jaanbaaz, jinke liye sapna hota hai aisa hi kuch bada karke dikhana – chahe fir usse unki jaan hi kyun na chali jaaye. aur aise jaanbaaz jo aise kaam kar bhi den aur uske baad kisiko pata hi nah o wo aaj hain kahan, yeh toh bhot kam hi dekhne ko milta. Kya hua? Aap bhi hairaan reh gaye na? ji haan dosto, aur aaj aapke saamne lekar aaye hain ek aise hi jaanbaaz ki kahaani jisne desh ke naam apna poora Jeevan luta diya. ek aisa aadmi jo chahta toh badi aasani se ek aaram Dayak Jeevan bita sakta tha lekin usne apne liye mushkil raasta chuna. Iss jaanbaaz ka naam hai – rabinder singh. Rabinder singh bachpan se hi ek behad hoshiyaan student tha, aankho mein chamakti Roshni aur buland awaaz – uski pehchaan the. School mein sab teachers use sipaahi keh kar bulaate the , kyuki wo humesha kehta tha ki wo bade hokar border par khade sipaahiyo ki tarah desh ki rakhsha karega,yahan tak ki school mein hone waale har natak mein bhi wo sirf tabhi hissa leta tha agar wo natak desh se juda ho aur use usme kuch bada role play karne ka mauka mile. Aur isi deshbhakti ke chalte usne Indian army join ki. Indian army mein Bharti hone ke baad, use kayin saari aisi baatein pata chali jiske baare mein pehle use kuch nahi pata tha. usne jaana ki kaise sirf deshprem hi sab kuch nahi hota balki desh ke liye asal mein kuch karna hai toh sirf army officer bankar aap kuch khaas nahi kar sakte. Wo apne kaam mein behad nipun tha aur kuch hi saalo mein uska promotion ho gaya aur jald hi use major ki post offer ki gayi, wo behad khush tha ki use major banaya jaa raha hai lekin use yeh baat humesha Khalti thi ki wo kabhi asal mein desh ke liye kuch nahi kar paata. Uske anusaar uske neeche kaam karne waale border ke sipaahi usse zada kaam karte the aur wo desh se adhik prem karte the, aur isiliye behad sochne aur jaanch padtaal karne ke baad usne faisla liya ki wo RAW, india ka research and analysis wing join karna chahta tha. jab usne yeh ihccha jatayi toh jahan sabhi desh ke liye behad khush the lekin wahin Indian army mein kayin juniors niraash bhi the, unka manna tha ki rabinder jaisa officer milna mushkil hai, lekin tab bhi rabinder ne kathin raasta chuna aur raw mein Bharti hogaya. Use islam ki chauthi sabse holi jagah, Damascus mein duty di gayi. Research and analysis wing ko kahin se khabar mili thi ki Damascus mein aise kuch documents hain jinme bharat ke baare mein kuch information hai aur wo koi plan bana rahe hain jisse bharat khatre mein pad sakta hai. Damascus Syria ki capital thi isiliye wahan pohachna behad mushkil aur khatarnaak tha lekin fir bhi rabinder ne aisa karne ki thaan li. Wo behad chunautiyon ka saamna karne ke baad, Damascus pohocha aur wahan bina kisi jaan pehchaan ke akele hi kaam par lag gaya, wo din bhar bas yahi dekhta rehta tha ki kahan konse officers jaa rahe hain aur docuements kiske pass ho sakte hain. behad jaanch padtaal karne ke baad, use ek office ke baare mein pata chala aur use yeh bhi gyaat hua ki yahin saare aise legal documents rakhe jaate hain. raat ke andhere mein wo uss office mein gaya aur Khushi ki baat yeh thi ki use wo kaagaz mil bhi gaye lekin jaise hi bunn documents ko office mein hi rakhi, photocopy machine se xerox kar raha tha tabhi wahan counter intelligence officials aagye aur unhone rabinder ko pakad liya, aur aise document s ki copy nikaalna unke desh ke rules ke khilaad tha ,jiske baad use kaid karliya gaya. rabinder ko khoob torture kiya gaya aur use roz jaanch padtaal hoti thi, lekin fir bhi rabinder ne apne mission ke baare mein kabhi kisi se kuch nahi kaha. Kuch dino baad, officials ko rabinder ka phone mil gaya aur uske phone ke saare messages ko track kiya gaya jiske baad use saza sunaayi jaane waali thi lekin uske kuch hi dino baad, yaani ki may 2004 mein ek din wo kaid se gayab ho gaya aur officials ne use dhundne ki bhot koshish ki par wo kisi ko nahi mila. aaj tak koi nahi jaanta ki rabinder kahan hai , kaisa hai, zinda hai bhi yan ahi. Kuch reports kehti hain ki uska ek car accident ho gaya tha jisme uski maut ho gayi lekin iska koi thos saboot nahi hai. rabinder vaakiye mein ek jaanbaaz tha jo paraaye sheher mein bhi officials ki naak ke neeche se bhaag nikla. Desh ke liye agent bankar dusre sheher mein jaate toh bhot hain lekin aisa bhot kam log hi kar paate hain aur rabinder unn kam logo mein se ek tha aur hume garv hona chahiye ki wo humare hi desh ka naagrik tha.

Well dosto jald hi release hone waali salman khan aur katrina kaif ki film tiger part three ki ii tarah raw and spy agents par aadharit series hai. franchise ke pehle part yaani ek tha tiger mein salman aur katrina dono ki alag alag desho ke liye spy agents ka kaam kar rahe the lekin baad mein dono ne pyaar mein padkar ek dusre ka saath chuna aur franchise ke dusre part mein dono ne saath milkar nurso ki jaan bachaayi lekin makers ka manna hai ki aisi self made stories banakar wo ab audience ko bore nahi karna chahte aur ek aisi kahaani dikhana chahte hain jiska sach mein koi arth ho aur isiliye iss baat ki badi possibility hai ki iss baar ki yeh badi film, tiger part three rabinder singh ki iss gazab kahaani par aadharit ho. Iss abar ki movie ki star cast mein imraan Hashmi bhi nazar aane waale hain aur yadi yeh kahaani film mein dikhayi jaati hai toh Hashmi sahab counter intelligence official ka role zaroor ada karenge. Iske saaty hi aapko yeh bhi bata den ki iss baar film mein badi actress revathy bhi nazar aane waali hain. salman aur revathy ne love naam ki ek film mein 90s mein kaam kiya ta jahan unki jodi ko khoob pasand kiya gaya tha. iss film ka ek gaana, “saathiya tune kya kiya” kaafi hit hua tha, aur ab kaafi samay baad firse revathy salman ki co star banti nazar aayengi. Iss movie mein definitely har baar se kaafi different aur khaas starcast involved hai jo ki iss movie ko behad special aur interesting banata hai. ,baat karen tiger three ke gaano ki toh halaanki abhi koi bhi officla gaana toh bahar nahi aaya hai lekin iss baar film mein ek action pakced deshbhakti ka sangeet hone waala hai, aisi khabren khoob viral ho rahin hain aur yeh toh hum sabhi jaante hain ki salman ki film ho aur wo gaano mein apna andaaz na dikhayen, aisa possible nahi hai.

Well dosto aaj ke liye bas itna hi. aapko rabinder singh ki yeh kahaani kaisi lagi aur agar aap tiger three mein konse spy agent ki kahaani dekhna pasand karenge, hume zaroor batayeiga. Saath hi aapko  tiger franchise ka konsa part sab se acha lagta hai?comment section mein likhna na bhoolein. aur aisi hi aur interesting updates aur dilchasp kahaaniyo ke liye jude rahiye humare saath aur subscribe karen humare channel, bollygrad studioz ko. Aur isi ke saath bollygrad studioz se mai , masumi, aapki host aur dost aaj ke liye aap se vida leti hu. aap se jald hi dubara mulaqaat hogi, tab tak ke liye bbye, take care and stay safe.

-MASUMI

DESCRIPTION: AFTER THE SUCCESSFUL RELEASE OF Ek THA TIGER AND TIGER ZINDA HAI, TIGER THREE HAS BEEN IN LINE SINCE A VERY LONG TIME AND NOW THE DIRECTORS HAVE DECIDED TO FINALLY RELEASE IT, BUT THIS TIME THE PLOT OF THE MOVIE IS GOING TO BE VERY DIFFERENT THAN ALWAYS, WHERE ALWAYS THE MOVIE IS SEEN REVOLVING AROUND SALMAN KHAN AND KATRINA KAIF, BUT THIS TIME WE ARE GOING TO HAVE  A REAL LIFE STORY OF A BOY NAMED RABINDER SINGH WHO LEFT HIS JOB INDINA RMY TO DO SOMETHING REAL FOR THE NATION WHICH ACTUALLY MADE HIM HAPPY. HE SEVED THA NTUON ALMOST HIS ENTIRE LIFE BUT NOW NO ONE KNOWS WHERE HE IS. SOME REPORTS SAY HE IS DEAD BUT IT IS NOT YET CLAMIED. GOING IN A SEPARATE COUNTRY, BEING CAPTURED THERE AND THEN SETTING FREE FROM THERE IS SOMETHING ONLY A TRUE WAARRIER CAN DO AND RABINDER SINGH WAS DEFINITELY A WARRIER AND ONE OF A KIND. HADEN’T THE OFFICAOLS CAUGH HIM MAKING A PHOTOCPAY OF THE DOCUEMTNS, HE WOULD HAVE BEEN DEFINITELY SUCCESSFUL IS MAKING A BIGGER IMPACT ON THE COUNTRY AND ACHIEVINF SEVERAL MISSIONS. BUT WHO KNOWS? MAYBE HE IS STILL OUT THERE ACHIEVEING THE IMPOSSIBLE FOR THE COUNTRY.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Kisi ka bhai kisi ki jaan

Kisi Ka Bhai Kisi Ki Jaan

2023 की मोस्ट अवेटेड फिल्म किसी का भाई किसी की जान का सब लोग बेसब्री से इंतजार कर रहे हैं, क्योंकि यह भाईजान की फिल्म

Read More »
Krrish 4

Krrish 4

जब फिल्म की डिमांड बढ़ती है तो फिल्म के साथ लोग या कई सारी ब्रांड अपना नाम जोड़ने के कोशिश में लग जाती है और

Read More »

Operation Khukri

Shah Rukh Khan की upcoming film “operation Khukri”, एक सच्ची घटना पे based है. यह कहानी साल 2000 की है, जब Britain, Ghana, India और

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​