KGF 3

Mukhtar Ansari Inka janam 30 june saal 1963 mein Uttar Pradesh ke Yusufpur sehar mein hua tha. Inke dada ji Indian National Congress ke president bhi reh chuke thy toh inko bachpan se si politics mein jada ruchi thi. Inke pita ji ka naam Shubhanuallah Ansari or Maa Begum Raabiya tha or inki Maa ki dehant saal 2018 mein hi ho gaya tha. Mukhtar ne politics ki life Ghazipur ke college mein student president ki election se ki . Inhone saal 1984 mein apni B.A ki degree haasil ki or wahi par apni padhai puri karne ke baat ye ek majbut personality ban kar aapne college se nikle or poorvanchal mein bhi ye puri tarah se mashur ho gaye thy. Mukhtar Ansari ne 16 October 1989 ko Afsaa Ansari se shaadi kar li or phir inke do bete bhi hai Abbash Ansari or Umar Ansari.

1970 ke waqt government ne poorvanchal mein kai saari vikash pariyojana shuru ki or iska anjaam ye hua ki kai saare gangster mein ab ladai honi lagi wo bhi theke ko hadapne ke liye. Uss waqt mukhtar , Makoon Singh ke gang ke liye kaam kiya krta tha. 1980 mein apni darr ko dur dur tak failaane ke liye mukhtar ka gang dusre gang Sahib Singh ke sath bheed gaya jiske wajah se bahut maar pit hui, danga fashad hua , baad mein Sahib Singh ke gang ka ek gangster Brijesh Singh alag ho gaya or ab apni ek alag hi gang usne banai . Saal 1989 mein mukhtar ka naam crime ki duniya mein paheli baar aaya or iss baar mandi ke theke daari ko lekar local theka daar Sachidanand Rai ki murder ke maamle mein Mukhtar ka naam samne aaya, iss duran tribhuvan Singh ke bhai Rajendra Singh jo ki ek constable hai unki murder banaras mein kar di gayi thi or aisa hua ki uss murder mein bhi mukhtaar ka naam saamne aaya. Ab 1990 aate aate usne apni dushmano mein ek or naam jod liya wo tha Brijesh Singh ka, jo purey theke ko apne naam kar baitha tha. Ab mukhtar ko lagne laga ki usse apna naam failana hoga toh usse jo 100 crore ka contract mila tha jisme coal mining, railway construction, scrap disposal, public works or sharaab ki business ko control krne mein lag gaya tha, or uska gang sirf iss se nhi balki protection money ke naam par goonda tax leta tha or sath sath kidnapping mein bhi unka haanth rehta tha taki ki unka dar har jagah rahe.

Saal 1991 mein Chandoli mein paheli baar mukhtar police ki pakad mein aaya lekin uss par ye aarop laga tha ki wo waha se bhi do police waalo ko goli maar kar bhaag gaya tha. Uske baad kiya tha wo chip chip kar sarkaari theka, sharab ka theka, koyla ke kaale kaarobaar ko bahar se hi chala raha tha bina kisi darrr ke. Mukhtar ne saal 1995 ke aas paas banaras Hindu University ke student community ke jariye politics mein aaye or saal 1996 mein vidhayak bane or brijesh singhe ka satta ko hilaane lage or dono ek dusre ke competitor bann gaye thy poorvanchal mein . Saal 2002 mein Brijesh Singh ne apne gang ke sath mil kar Mukhtar ke gang ke upar hamla kiya or issme Mukhtar ke 3 aadmio ko goli lag gayi or wo maare gaye. Iss hamle mein Brijesh Singh bhi ghayal ho gaye or brijesh ko ye sab kaam ab kuch dino ke liye chorna pada. Ab brijesh ke hatne ke baad poorvanchal mein Mukhtar saare gang ka leader bann gaya. Haalaki brijesh uss waqt bhi mukhtar ko maar na chahta tha lekin abhi wo bebas tha isliye uss ne mukhtar ki satta palatne ke kiye Bhajpa neta Krishnanand Rai ke chunav abhiyan ka support kiya. Saal 2002 mein hui vidhan sabha chunav mein Rai ne mukhtar Ansari ke bhai ko Mohammadabaad se 5 baar ke vidhayak Afzal Ansari ko haraya tha . Baad mein ye pata chala tha ki brijesh ne apne saare gang ko theka dilaane ke liye politics ka istemaal kiya tha or ab dono ek dusre ko khatm karne ki yojana bana rahe thy. Mukhtar ne Ghazipur- Mau ke chunav ke waqt khud ko jitane ke liye muslim voters ka istemaal kiya or wo jeet bhi gaya. Ab jahir si baat hai jab log aprad, politics or dharm ko mila dete hai toh kai aisi ghatnaye uttpan hoti hai jo kabhi rukti nhi hai. Lekin uss waqt mukhtar ke logo ko police ne hinsa bhadkaane ke liye giraftaar bhi kiya tha, lekin iss maamle par court ne unhe bari kar diya tha. Jab Mukhtar jail mein band tha tab Krishnanand Rai ko mukhtar ke 6 logo ne milar kar sabke saamne goli maar kar hatya kar di thi. Jinhone hamla kiya tha unn sab ke paas AK-47 se 400 se bhi jada goliya chalayi gayi thi. Iske gawah Shashikant Rai bhi 2006 mein mrit paaye gaye jab chaan bin hui toh pata chala ki unhone aatmahatya ki thi jisse jaan kar police waalo ne iss maamle ko khariz kar diya tha. Rai ki hatya ke baad ab Brijesh Ghazipur se bhag gaya tha jisse 2008 mein odisha se giraftaar kiya gaya or baad mein phir wo wapas aaya pragatisheel Manav samaj party ke roop mein .

Mukhtar Ansari or unke bhai Afzal ne 2007 mein Bahujan Samaj party mein samil ho gaye, party mein unhe andar jaane diya gaya jab unhone logo ko ye yakin dilaya ki unn logo ke sath jo ho raha hai uske liye wo ladenge or unhe insaaf dilwaayenge. Mayawati ne Mukhtar ko Robin hood naam se bulaya or unko logo ka masiha bhi bataya. Mukhtar saal 2099 mein lok sabha election ke liye jail mein rehte huye chunav ko lada or mukhtaar wo chunav jeet bhi gaya.

Mukhtar Ansari or uske do logo par April 2009 mein Kapil dev singh ki hatya ke liye charge shit kiya gaya tha, jispar police ne yeh bhi paya ki usne August 2009 mein ek theke daar Ajay Prakash Singh ki murder ka aadesh bhi diya tha. Ye khabar aate hi dono bhaiyon ko Baspa party se nikaal diya gaya tha, party ko jaise hi pata chala ki dono bhai gangster hai toh unhone uss fauran apne party se bahar ka rasta dikha diya tha. Jab Ghazipur ke jail mein chappa pada toh pata chala ki Mukhtar ek shandaar zindagi jee raha tha uske cell se air cooler or khana banane ka saaman mila tha jiske baad usse turant mathura jail transfer kar diya gaya tha. Jab tino bhaiyo ko Bahujan Samaj party se nikal diya gaya tha or unko koi bhi party nhi le raha tha toh dono bhaiyon ne milkar ek khud ki party banayi jiska naam unhone Quami Ekta Dal rakha wo bhi saal 2010 mein. Saal 2012 mein mukhtar ne apni party ke sath samjhauta kiya or Bahujan Samaj party se jud gaye, 2014 mein lok sabha election mein ye Narendra Modi ke khilaf khade huye thy lekin usme bhi haar gaye thy aakhir kaar saal 2017 mein inko murder case se bari karke rihah kar diya gaya.

Gangster se vidhayak ban ne baad mukhtar Ansari ke khilaaf Ghazipur Jilla police thane mein inke khilaaf 38 maamle darj hai, sirf yahi nhi ye kai baar jail ki hawa kha chuke hai phir bhi inko baat samjh nhi aati hai. Mukhtar jab Punjab ke jail mein thy tab unhe jabarjasti mei wasuli ki saja sunai gayi thi lekin 90 ki awdhi khatm hone ke baad default jamanat diye jaane ke waibjud mukhtar ne uss maamle mein jamanat lena jaruri nhi samjha. Jab ki Uttar Pradesh ki police ne bhi mukhtar ke khilaaf case darj ki jisme unhone dawa kiya tha ki wo 31 March 2020 mein rupnagar jail mohali court mein mukhtar ko ek jagah se dusre jagah le jaani waali ambulance ko chalane ke liye nakli licence issue kiya gaya tha iss wajah se police ki talash hai mukhtar ki. Abhi filhaal saal 2022 mei mukhtar Ansari ko money laundering ke maamle mein ED (Enforcement Directorate) ne giraftaar kiya hai.

Mukhtar ko filhaal Uttar Pradesh ke banda ki jail mei raha gaya hai, jab mukhtar ko 28 December ko court mein pesh kiya gaya tha tab wo muskurate huye gaye thy andar or aate waqt unhone media ke saamne ek shayri kahi or wo thi ” Toofan kar raha tha mere azm ka tawaaf, duniya samjh rahi thi kasti bhawar mein hai” iss se mukhtar ye kehna cha rahe thy ki abhi unka bura waqt hai or unki astitva ko pahele bhi mitaya ja raha hai or aaj bhi mitane ki koshish hai lekin wo aisa nhi honey denge. Unhone aapne baaton se Chief minister ko ye challenge diya hai ki usse or uske naam ko mita kar dikha de, itna kehte hi unhe fauran jail mein daal diya gaya.

Yeh kahani ho sakhti hai KGF 3 ki movie ki jisme ek gangster kai baar jail jaane ke baad bhi khud ki satta or darr kaayam rakhta hai. Aapko kaisi lagi comments karke jarur bataiyega or tab tak ke liye apne dhiyan rakhiye or hamesha muskurate rahiye……..

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

PUSHPA 2

Pushpa 2

फिल्म पुष्पा 2 को लेकर मेकर्स ने ये कन्फर्म कर दिया है कि, फिल्म में अगर कोई सबसे बड़ा विलन होगा तो वो एक्टर विजय

Read More »
Pushpa The Rule - Part 2: Directed by Sukumar. With Allu Arjun, Fahadh Faasil, Mohanlal, Rashmika Mandanna, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Pushpa 2

वैसे international smugglers की अगर लिस्ट बनाई जाए तो उस में Arcot bhai‌ का नाम सबसे ऊपर आता है। अब इसका खानदान तो स्मगलिंग की

Read More »

KGF 3

KGF 2 के promotions के दौरान यश ने कहा था की देखने वाली सारी ऑडियंस अपनी प्रोब्लेम्स भूल कर KGF के वर्ल्ड में खो जायेगे

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​