Koi bhi movie banne se pahele kai muskil raste se gujarti hai phir wo chahe sahi actors ko dhundhne ki ho ya sahi script ki, koi bhi movie sirf script ya actors par nhi chalti kabhi kabhi dubti movie ko uske songs uski naiya paar lagwa dete hai aur jiss movie ki script, cast, songs saare ke saare chize aachi ho toh maano chaar chand lag jata hai, thik aisi hi movie thi saal 1990 mein aai Aashiqui jisne aisi piyar ki lehar laayi ki uss waqt har couple ke mu par ya toh Anu Agarwal banne ki icha hoti ya Rahul Roy ki. Aashiqui movie ka diwana kon nhi tha uss waqt uske script,cast, songs se lekar puri film ready hone tak issme kitne logo ki mehnat thi. Iss movie ke director the Mahesh bhatt, inko kon nhi jaanta ye unn directors mein se hai jo kai saare hit films dete aaye hai. Lekin kehte hai na sab aaram se mil jaayega toh life ka maja kaha se aayega. Script toh taiyar thi lekin jo sabse badi muskil thi uss waqt wo thi cast sahi nhi mil paani ki, kaafi mehnat karne ke baad ek din Mahesh bhatt aur Anu Agarwal ek hi hotel mein lunch krte huye ek dusre se miltey hai jispar Bhatt ji Anu se kehte hai ki tum toh ek star ho , itna sunte hi Anu hans deti hai aur bolti hai kiya iss universe ki? Bhatt ji ne baat ko ansuna karke Anu se pucha ki tum filmo mein kaam kiu nhi krti ho, iss par Anu ne jawab diya ki usse filmo mein kaam krna pasand nhi itna kehte hi dono apne apne raste ki aur chale gaye. Lekin ye kaha jaante the ki inn dono ki manjil or kismat inhe sath lakar khadi kar degi. Bhatt ji ne bhi thaan li thi ki agar Aashiqui banaunga toh Anu ke sath warna iss script par aage koi kaam nhi hogi. Anu ab apne show ke assignment mein busy ho gayi jiske kaaran unhe India ke bahar bhi travel karna padta tha. Jab wo wapas India aai toh unhone faisla liya ki wo ab Mumbai chor dengi aur jaise hi wo apna saamaan lekar nikalne waali thi tabhi unke paas Mahesh bhatt ka call aaya unhone Anu ko clear bol diya ki agar Anu iss script par kaam nhi karengi toh wo iss movie ko kabhi nhi banayenge, Bhatt ji jis tarah Anu par bharosa dikha rahe the ussi bharose ko dekh kar Anu ne film ke liye haan bol diya aur script padhne ke baad Anu ko pata chala ki uska role ek anath ladki ka hai jisse ek ladke se piyar ho jata hai ye sab padhne ke baad Anu ne kuch shartein rakhi aur uski lambi chaudi list Bhatt ji ko dedi gayi, usme jo shart likhe the unmein se kuch aise the ki wo apne chehre par koi gora dikhne wala cream nhi use karengi, na hi unhe koi item girl wala look diya jaayegaa or na hi koi aisa scene karwaya jaayega jisme kisi ladki ki feelings hurt ho, bhatt ji ne saari ki saari shartein padte hi furan maan gaye aur shooting shuru hui.
Jab shooting ho rahi thi toh uss film ke producers ne kai sawal uthaaye ki kya movie mein new cast ko lena jaruri hai kyuki agar ye audience ko nhi pasand aaye toh film flop ho jaayegi or bahut buri tarah se pit jaayegi. Ussi mein se kisi ek ne bhatt ji se pucha ki unhone kiu apni beti Pooja Bhatt ko cast nhi kiya iss movie ke liye , iss par bhatt ji ne bola ki unhone ye baat Pooja se puchi thi lekin Pooja ne iss movie ke liye saaf inkaar kar diya aur iske baad ye movie Anu ko mili. Jaise hi film realese hui maano ek sailaab sa aa gaya tha threaters mein log Anu aur Rahul ko dekhne ke liye unke ghar ke nichey khade rah kar intezaar krte ki ab unko dekhne ka mauka miley. Jab saare log bhatt ji ko mana kar rahe the Anu ko cast nhi krne ke liye ab wahi log bhatt ji taarif krte nhi ruk rahe the. Aashiqui movie mein fame paane ke baad ab saare directors ki pehli pasand Anu or Rahul ban gaye the. Aashiqui ke baad Anu last baar Return of Jewel Thief mein najar aai uske baad unhone koi filmo mein kaam nhi kiya maano unko kisi ki najar lag gayi aur unki kahani kisi movie ki script jaisi ban gayi. Anu ne decide kiya tha ki wo ab filmo se dur rahengi aur apni zindagi ek sanyasini ke roop mein bitaaiyengi , lekin sayad unke kismat mein kuch aur hi likha tha saal 1999 mein Anu ek jaan lewa durghatna ka shikaar hogai jiske wajah se unki chehre ki saari khubsurati chali gayi sath hi sath wo 29 dino tak coma mein rahi. Anu jab hosh mein aai toh unhone bataya ki kitna mushkil tha unka hosh mein aana aur ab toh unke paas wo khubsurat chehra bhi nhi raha. Uss haadse ki wajah se Anu ki yaadash par bhi gehra asar pada tha lekin Anu ne bhi ye thaan li thi ki unko thik hona hai aur aachi si zindagi ko jeena hai. Apni Zindagi se prerit hokar unhone khud ke upar ek kitaab likhi jiska naam unhone “Unusual” rakha. Iss book ko padhte hi Mahesh bhatt ne Anu ki khub taarif ki aur kaha ki kitne himaat se ye maut ke mu se bahar aayi aur apne itne muskilo se bhari zindagi ko ek aacha mod diya.
Thik aisi hi Rahul Roy ki zindagi bhi controversies se bhari rahi phir chahe wo movies ko lekar ho ya love life ko lekar. Jab film release hui toh uske baad Rahul sabke crush ban gaye thy aur isme khud Mahesh bhatt ki beti Pooja Bhatt bhi khud ko nhi rok paai aur ye dono ek dusre ko date krne lage. Dono ne sath mein kai movie mein kaam bhi kiya tha jaise Janam, Junun aur Phir Teri Kahani yaad Aai jaise filmo mein aur iske kaaran hi dono ek dusre ke aur karib aate gaye. Haalaki dono ko apni career mein aage badhna tha toh busy schedule hone ke wajah se dono ek dusre se baad mein alag ho gaye the or logo ke puchne par wo ek dusre ko ke aacha dost hi batate the aur uss se jada kuch bhi nhi. Inke pahele movie ke baad Rahul ko takriban 8 mahino ke liye koi bhi movie nhi mil paayi thi aur Rahul ka sabar ka baan tut chuka tha phir achanak ek din Rahul ko ek sath 60 filmo ka offer aaya time jada nhi honey ke kaaran Rahul ne sirf 47 filmo ko hi sign kar paaye, or rahi baat Inke love life toh usme inke piyar mein padne se Manisha Koirala bhi khud ko nhi rok saki , jab wo Rahul ke sath Achanak aur Majdhar jaisi filmo mein kaam karte waqt Manisha ne Rahul ko apna dil de baithi thi lekin uss waqt bhi Rahul ke liye unka career hi unki paheli mohabbat thi. Rahul ke sath kai naamo ko joda gaya tha lekin Rahul ne apna naam apni paheli patni RajyaLaxmi ke sath joda lekin sayad ye inke liye inki sahi jeevan sangani nhi thi toh 6 mahine ke andar hi inhone divorce ke liya. Saal 2016 mein Rahul, Sadhana Singh jo ki ek model hai unn se miley or dono ek dusre ko date krne lage phir finally Rahul ko ye aihsas hua ki yahi unki asli jeevan sangani hai aur dono ne Shaadi kar li, abhi Rahul filmo ki duniya se alag apne pariwaar ke sath jada time spend kar rahe hai.
Rahi baat Aashiqui 3 movie ki toh makers ne pahele hi apna lead male cast chuu liya hai jo ki Kartik Aaryan hai. Kartik Aaryan abhi saare directors ki paheli pasand hai kyu ki haal hi mein realese hui Bhool Bhulaya 2 ke makers ko darr tha ki kahi Akshay Kumar ko replace karne ke wajah se movie flop na ho jaaye lekin film ko hit karne ka jimaa akele Kartik Aaryan ne uthaya tha aur kartik ne film ko hit karke bhi dhika diya tha. Isliye Aashiqui 3 ke makers ne male lead role ke liye Kartik ko pahele hi sign kar liya hai, script bhi ready hi hai lag bhag ab inhe talash hai toh lead female cast ki uske milne ke turant baad makers movie ki shooting start kar denge. Ab toh bas intezaar hai ki makers ko jald hi lead female role ke liye koi mil jaaye or shooting start ho kyuki Aashiqui ne hame apne tarike se piyar ki matlb ko samjhane ki koshish ki toh wahi Aashiqui 2 ne bhi piyar ke sath-sath khud ke liye bhi jeena shikhaya tha.
Toh kaisi lagi aapko hamare chahite Anu Agarwal or Rahul roy ke life ke baare mein jaankar. Comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye or hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit