नंदागिरी में सोए न्यूक्लियर मिसाइल की कहानी

Sal 1965, Feb ke mahine ke kuch din pahle mohansingh kohali ke pas ek aadmi aata hai aur kahta hai ki use “mount Everest ki taiyari chhod, vo uske sath kanchanjangha ki chadhai karne chale” vo aadmi koi aur nahi balki ek mashoor parbatarohi Barry bishop hota hai, jo national geographic channel ke liye filhal photography ka kam karta hai, uske sambandh CIA se bhi jude hue hai. Kohali Baary bishop se wakif tha, par Barry bishop ki is achanak se hui mulakat aur is ajeeb si request ko kohali samjh nahi pa. Rahe the. Salo se Mount Everest par chadhne ki taiyari ki thi, to vo bhala kanchanjangha kyu chadhe? Kohali ne jab ye sawal Barry bishop se pucha to uska koi jawab nahi mila. Kanchanjangha ki chadhai kyu karni hai? Koi jawab nahi mila.

Aur Barry bishop bina kohali ke bato ka jawab diye waha se chale jate hai. Barry bishop ke bare me mohansingh kohali Indian IB yani ki intelligence bureau ko ek likhate hai.

Khat me vo likhate hai ki “ mashoor parbatarohi, Barry bishop unse milane aae the, aur vo mount Everest ki chadhai chhod unke sath kanchanjangha ki in pahadio par chhadhai ki bat kar rahe the, jo ki Nepal aur Sikkim ke border par hai, unhe Barry bishop ki bato se kisi sajis ki boo aa rahi hai, jo bhi hai ……. Intelligence bearu ko is bat ki tahsil se janch karni chahiye”

Mohansingh kohali mallik ko tar bhej kar nischint ho jata hai, par use ye nahi pata tha ki Barry bishop ko bhejane wala insan koi aur nahi balki khud mallik hi tha.

Parbatarohan se bhala Intelligence bearu ka kya lena dena? Kya tha Barry bishop ka maksad? Kya CIA ke tar intelligence bearu se jude the? Kya ye sach me kisi khufia sajis ki shuruaat thi? Aur kya mohansingh iska Mohra?

June 1965 mohansingh kohali aur uske sathi mount Everest par chadhai shuru kar dete hai aur vo is mission me kamyab bhi ho jate hai. Jab vo apne mission se wapas lautate hai to desh bhar ke neta aur adhikari unka samman dene aur badhai dene ke liye unke pas aate hai. Mohansingh kohali pahle Navy ke officer hua karte the, to unse milane navy samet aur bhibkae officers aate hai.

Unme se hi ek officer jo ki mohansingh kohali ke senior officers me se ek the unke pas aate hai aur unse kahte hai ki unse base ke pas aa kar akele me mile. Mohansingh kohali apne us senior ke sath base ke piche jate hai. Aur fir Sara mamla khul kar samne aata hai.

Darasal mohansingh kohali se milane waha IB yani intelligence bearu ke director R.N kao yani Rameshwar nath kao aaye hue the. Unhe dekh kar mohansingh behad hairan the ki intelligence bureau ke itane bade officer bhala unse kyu milane aaye hai? …….R.N. Kao ko Indian spymaster bhi kaha jata tha, jasoosi ke field unka kafi nam tha, unhone india ke liye kae khufia missions ko anjam dia tha aur Indian spy history me unhe Indian intelligence bureau ka pita bhi kaha tha.

Mohansingh kohali R.N. kao ko apne samne dekh kar kafi hairan the. R.N.Kao unse kahte hai ki “Tumhe America jana hoga”

Mohansingh kohali ke liye ye koi request nahi balki ek order tha, ek sipahi ko dia gaya order jise vo mana nahi kar sakte the, vo sirf aur sirf use pura kar sakte the.

Fir bhi mohansingh unse kahte hai ki unke pas passport nhai hai. R.N.Kao kahte hai “passport taiyar ho jaega”

Tab mohan singh kahte hai ki unhe sadan me nimantrit kia gaya hai aur unhe agle din p.m aur rastrapati se bhi milna hai.

Tab kuch soch kar R.N.Kao mohansingh se kahte hai ki “theek hai tum ek do din ke lo aur 2 din bad hi Jana”

Agle 2 din bad kohali pahuch jate hai America jaha unhe 3 aur parbatarohio aur America sena ke jawano ke sath milkar ek mission ko anjam dena tha.

Aur is mission ko lead kar rahe the Barry Bishop. Mohansingh samjh jate hai ki unse Barry bishop isiliye milane aaye the.

Darasal Barry bishop us samay ke Ameriki fauj ke chief of staff general Kurtus Lemay ke sath kam karte the aur unke khas the. Kurtus Lemay ko amriki itihas ka sabse kroor general bhi mana jata tha, vo kurtus Lemay hi tha jisane Japan par nuclear weapons barsaya tha aur usane hi ye kaha tha ki “America apne dushmano ko harane ke liye Third World war bhi karne se piche nahi hatega”

Aur us samay Uski nigah thi China ke upar Jo nuclear weapons banane ki hod me laga hua tha. Par us samay satellite ki koi bhi vyavastha nahi thi jiske karan Barry Bishop ne hi Lemay ko ye taika bataya ki unhe kanchanjangha ki pahadio par listening device lagana chahiye jisase ki unhe china ki har khabar milati rahe.

Vo aisa pakistan ki pahadio par se bhi kar sakte the par unhe pakistan par bharosa nahi tha. Aur 1 sal pahle hi Bharat China ki mar jhel chuka tha, aur kahte hai na Dushman ka Dushman dost hota hai……..fir kya tha, wahi se is mission ki planning start ho gae. Indian aur American sena ke Mel se ye mission complete hona tha.

Mohansingh kohli ko America se mission ke baki logo ke sath Alaska ke American force ke base par le jaya gaya, jaha unki training honi thi.

Mohansingh kohli aur baki sabhi parbatarohi taiyar the apne is mission ke liye, par kohali is mission ki success ko lekar kafi chintit the, ye mission 7 phases me hona tha.

Aur in sab me se sabse mushkil tha us 57 kg ke device ko choti tak dhokar le kar Jana, aur mountain climbing ka season bhi kuch hi dino tak rahta hai aur isliye unhone ye bat apne seniors tak pahuchae ki kahi aisa na ho ki unhe mission adhi duri par hi chhodna pade aur wapas laut kar aana pade, itane bhari wajan ke devices lekar parbatarohan karna aur vo bhi 7 bar possible nahi hai.

Mohansingh kohli ki bat samjhate hue unke seniors ne ye bat R.N.kao ko batane ki sochi, halaki vo ye bakhubi jante the ki R.N.Kao ko na sunana pasand nahi hai.

Aur isliye vo ye mission kabhi bhi cancel nahi karenge, aur tab unhe ek idea aata hai aur vo kanchanjangha ke badle ab nandagiri parvat ko chunate hai.

Kanchanjangha ke mukabale nandagiri parbat par chadhai karna aasan tha aur uski uchai bhi is mission ko pura karne ke liye kafi thi.

Ab kanchanjangha se mission ko hata kar nandagiri par shift kia jata hai. Mohansingh kohli aur Barry bishop apni team ke sath September ke mahine me parbatarohan start karte hai.

Nandagiri parbat tak listening device ko successfully pahucha dia jata hai. Par ab jaroorat thi us listening device ko chalane ke liye ek power supply ki.

America ne iske liye SNAP ka ijad kia tha ek thermo neclear device, jisase us listening device ko power milti. Par gaur karne wali bat ye hai ki ye Thermo nuclear device thi yani energy generate karne ke liye nuclear power istemal karti thi.

Vo nuclear power jisase radioactive energy emit hoti thi. Aur jiske sampark me rahne matra se aap us radioactive energy ke dusprabhav me aa sakte hai.

Isliye unhe ye kam bahut hi sambhal kar karna tha, taki us radioactive energy unhe koi adverse effect na jhelna pade.

Aur vo thermo nuclear device bhi kareeb 57 kg bhari tha. Oct ke dusre hafte me hi parbatarohi us device ko lekar chadhna start kar dete hai. Par tabhi unke sath ek unhone ho jati hai. Anhoni ye ki waha avalanche aa jata hai, mohansingh aur uski team kisi tarah apni jan bacha kar waha se bhagte hai, par in sab me vo device kahi gum ho jata hai.

Lakh kosiso ke bad bhi mohansingh kohli aur unki team ko vo device nahi mil pata. Mission fail ho jata hai aur ye khabar R.N.kao tak pahuchati hai. Aur R.N.kao ke dwara ye bat rakshamantralay yani grih mantri ke pas pahuchati hai, unka ye mission ab unke liye bahut bada khatra ban chuka tha.

Khatra ye ki vo device 100 sal active rah sakta tha, agar usase nikalne wali radioactive energy nandagiri se nikalne wali dhara ke sath ganga me ja mili to Bharat ki janta ke liye ek bahut bade khatre ki bat hogi, ganga ke pani ke sath radioactive waste bhi pani ke dwara aam logo ko effect karegi. Mountain climbing ka season bhi ab tak ja chuka tha, America ka China par jasoosi karne ka mission fail ho chuka tha.

Par agle sal fir se ameriki sena uar bhartiya sena is mission ke liye taiyar the, vo puri kosis karte hai ki vo us device ko khoj nikale par us device ka kahi koi ata pata nahi tha, fir vo decide karte hai ki vo dusri thermo nuclear device ko waha fit karenge, aur is bar unka mission complete ho jata hai.

America ka mission complete ho jata hai par india ke liye ek sir dard de jata hai. Ab jab bhi Himalayan region me koi bhi bhuskhalan hoti hai ya koi earthquake aata hai to sarkar aur intelligence bureau ko yahi dar satata hai ki kahi vo nuclear device active to nahi ho gaya? kahi vo ganga tak jane wahi dhara se to kisi tarah nahi mil gae?

Aur kuch aisi hi kahani hai war 2 ki, jaha war jaise situation ko difuse karne aur intelligence bureau team ke sath milkar kaise hamare heroes world peace ko wapas se established karte hai। Aise Indian spy ki kahani ko lekar aa rahe bade parde par jald hi. Is film par kam hona ho gaya hai shuru aur kahbre hai ki agle sal ye film yani ki war 2 bade parde par aaega nazar. Comments me batae kya aap bhi Banna chahte hai jasoos ? Kya aapko bhi pasand hai jasoosi filme?

 

 

 

 

 

Jaya Bharadwaj

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

DHOOM 4 , Facts,Shahrukh Khan,Salman Khan ,Katrina Kaif ,Abhishek Bachchan Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Dhoom 4

Kai aise chor hotey hai jo ya toh unpadh hotey hai ya sirf khud ki shauk ko purey karne ke liye chori karte hai. Lekin

Read More »
Singham 3 ,Directed by Rohit Shetty. , Ajay Devgn, Akshay Kumar, Deepika Padukone,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Singham 3

Police alag alag tarike se gunhegaaron se confession lene ki koshish karti hai. Aisa hi kiya tha 2007 mein People v. Smith ke case mein.

Read More »
Gadar 2: The Katha Continues is an upcoming Indian Hindi-language romantic period action drama film directed by Anil Sharma. It is a direct sequel to the 2001 film, Gadar.

Gadar 2

Pakistani लडकी से love at first sight!   North India के रामपुर शहर में बड़े होने के नाते, मोहम्मद जावेद ने कभी नहीं सोचा था

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​