America की sabse खतरनाक double agent!

“The Queen of Quba” …………ye sun kar aap samjhenge ki Quba ke maharani ki bat ho Rahi hai, par ye kisi maharani ya Rani ki nahi balki ek jasoos ka nam hai. Ek aisa jasoos jisane double agent ban kar 17 sal tak apne hi desh ko dhokha dia. Ek aisi jasoos jise America ke itihas me sabse khatarnak jasoos mana jata hai.

Ye kahani hai “Ana Bele Montes” ki. Jo CIA ke liye kam karti thi. CIA America ka sabse charchit intelligence bureau ka khufia sangathan hai, jaise hamare desh me RAW. CIA aur RAW ke bare me agar aam bhasha me kahe to ye sarkar ki vo sakha hai, vo kadi hai jo international level par jasoosi ke mission ko anjam dete hai aur yahi se…..James bond jaise diggaj jasoosi ko training aur khufia jankari muhaiya karae jati hai. Dusre sabdo me jasoosi ki schooling training sab yahi se hoti hai…….agar aap bhi desh ke liye kisi jasoosi mission par Jana chahte hai to aapko in sagathano se judna hoga, inki training puri karni padegi.

Ab aate hai kahani par……kahani hai “The Queen of Quba ki”…………sal 2001 , September ka mahina chal raha tha. Ana bele Montes America ke Defence Intelligence Agency ke liye kam karti thi. Vo ye kam pichle 17 salo se karti aa rahi thi. America me 9/11 ke hamle ke bad defence agency ke office me work load pahle se jyada badh gaya tha. 9/11 ke hamle ke jimmedar, aur uske piche chupe har ek chehre ko khoj nikalne ki jimmedari defence agency ki hi thi, to Lazmi hai ki office ka mahaul shant to nahi hoga. Hamle ke 1 hafte bad hi ek meeting rakhi jati hai, us meeting me ana bele Montes bhi hissa lene wali thi. Rojana ki tarah ana us meeting me hissa lene ke liye office jati hai, desk par apna saman rakhti hai aur meeting room me pahuchati hai. Meeting start hoti hai aur tabhi kuch der bad kuch police officers ana ko pakad kar hathkadi lagate hai aur kahte hai “mr. Ana bele Montes , you are under arrest, you can ask for a Lawyer”

Meeting me baithe sabhi log hairan aur ghabrae hue the, unhe samajh nahi aata ki akhir ye sab ho kya raha hai. Par in sab me ana ke mathe par ek halki si sikanj bhi nahi aati. Aisa lag raha tha jaise mano ana ko pahle se hi andesha tha ki ye sab to hone hi wala hai. Ana pure samay shant rahi, unhone lawyer ko call kia aur unse bat ki…..fir vo police ke sath chalne ke liye taiyar ho gae.

Darasal……ana par double agent ke hone ka ilzaam laga tha, par jab janch hui to ye pata chala ki vo ye kam defence agency me aane se pahle se hi kia karti thi.

Par usane aisa kyu kia ? Use apne desh se hi gaddari kar ke akhir kya mila? Kya use kisi ne bhadkaya tha …..ya fir, use isaki bahut badi rakam mil rahi thi?

Darasal ye America me 1980 ka dasak chal raha tha, America ke bhitar chal rahe cold war ka ant nikat aa raha tha, wahi dusari taraf America communisam virachdhara mitane ke nam par America latin aur Central America me takhatapalt karne me laga hua tha.

Takhtapalat kyu? To aisa isliye taki latin aur Central America me, America ki pasand ki sarkar bane taki ek passive way me vo waha ki sarkar ko control kar sake.

Par ye hal sirf latin aur Central America ka nahi tha balki America ye kam puri dunia me karna chahta tha, aur uske irade bilkul saf the, aam janta is bat se anjan nahi thi, par filhal uska dhyan Quba par tha. Quba par kyu???…..

To aisa isliye kyuki central America me baki sabhi jagaho me America ke man ki sarkar thi par Quba hi aisa desh tha jaha America ke man ki sarkar nahi thi……halaki isase pahle America takhtapalat karwa kar apne pasand ki sarkar bitha chuka tha, par Quba ki janta ne agli bar aisa hone nahi dia, aur waha America ke man ki sarkar nahi bani. Isake bad America ne kae hathkande apnae, kae sajise rachi taki Quba me ek bar fir takhtapalat karwa sake par aisa kabhi hua nahi.

Inhi khufia sajiso ko anjam dene ke piche Lage hue the America ki defence intelligence agency yani DIA aur vo Quba ke in missions ke liye aise logo ko dhundh rahi thi jise Spanish bhasa achhe se bolani aur padhni aati ho. Aur yahi nam aata hai Ana Bele Montes ka.

Doctors ke parivar se taluk rakhne wali Ana Spanish bolane me parangat thi, use ye gun apne parivar se virasat me mili thi. Sath hi Ana padhai me bhi tej thi, vo jald hi koi bhi cheez badi aasani se memorize kar lia karti thi.

Inhi sab khubio ke karan Ana ko DIA me Quba ka desk job mil jata hai. DIA me Ana Quba se sambandhit khufia files ko handle karti thi. Ana ab DIA ke liye ek Agent ban gae thi, ya fir yu kahe double agent?

Kyuki DIA ki naukari se pahle hi Ana ko ek aur sakhsh ne Ana ki kabiliyat aur jajbe ko dekh kar use Agent ke kam ka sujhao dia, vo bhi Quba ke agent ke taur par.

Kaun tha ye aadmi aur kyu Usane Ana ko agent banane ka sujhao dia tha? Darasal FBI ko chanbeen ke dauran pata chalta hai ki Ana college ke dino se America ke is communism ki aad me ho rahe takhtapalat wale se sare khel me bare pata tha aur vo uska khul kar virodh bhi karti thi, yaha tak ki usane rallio me bhi hissa lia tha. Vo America ke is soch ke bilkul khilaf thi aur kattar virodhi thi.

Usi samay America me bhi Quba ke kae sare agents bhi active the, unme se ek ki nazar Ana par raili ke dauran padti hai. Vo ana ki ankho me jajbe aur Quba ke liye sahanubhuti ki bhavna ko bhanp jata hai aur use Quba ke liye agent banane ka prastav rakhta hai. Aur ana bhi isase inkar nahi karti aur vo Quba ke liye agent ban jati hai.

Vo Europe ke through Quba me pahli bar jati hai, waha vo sab kuch apni ankho se zameeni taur par dekh rahi thi, vo dekh pa rahi thi kaise America apni sena ko Quba me jabardasti pahre par baithe hue hai, aur kaise vo Quba par apni vichardhara thopne aur takhtapalat karne ke prachand tarike aajmae ja raha hai. Isi dauran use Quba me agent hone ki training bhi milati hai. Aur isi beech Quba ke liye aur Quba ke logo ke liye sahanubhuti aur bhi jyada badh jati hai, ab Quba use apne ghar jaisa lagne laga tha, vo bar bar waha jane ke mauke dhundha karti thi.

Par itane salo se Ana akhir pakdi kyu nahi gae? To aisa isliye kyuki ana jab bhi Quba jatai to vo sidha Quba jane ki bajae Europe ke kisi dusre desh me jati fir waha se bhesh badalkar vo Fir Quba jati thi.

Aur vo kabhi bhi koi bhi papers ya documents apne sath nahi lati thi balki use memorize kar lia karti thi. Aur yaha se bhi vo msg ek khufia transmitting device ke through code ke roop me bhejati thi.

Par Ana jab itane samay se pakdi nahi gae to akhir fir itane salo bad vo kaise pakdi gae?

DIA me kuch samay se ye bat dabi aawaj me charcha me thi ki DIA me koi Quba ka double agent hai. Ana jo Quba ke desk ko sambhalti thi, office me Queen of Quba ke nam se famous thi kyuki use Quba ke bare me har ek bat pata thi aur Quba se ralated har jankari uske fingertips par rahte the. Uska Quba ke liye chupa pyar ab DIA ke agents ke nazro par chadh chuka tha.

Vo kahte hai na “ishq aur mushq, chupae nahi chupate” kuch yahi hal yaha par bhi hua. Intelligence team me Ana par nazar rakhni shuru kar di, unhe koi document ya paper ya koi sandigdh cheez to nahi mili, par Ana ke itihas ko thoda aur tatolane par intelligence team ko Ana ka America ke khilaf virachdhara aur America ka Quba ko lekar planning ke khilaf virodh karne ki bat ka pata chal chuka tha, unhe Ana ke college ke samay ke un railio me bhag lene wali bat pata chal chuki thi, jo America ke khilaf the aur Quba ke favour me the.

Intelligence team ab Ana par aur bhi jyada kadi nazar rakhne lagi. Par fir bhi Ana nahi pakdi jati. DIA Ana ke sahare uska pucha karke uske boss ko aur Quba ke agents aur double agents ko pakadna chahti thi, par tabhi 9/11 ka hadsa hua aur Ana ko giraftar karna pada.

Aisa isliye kyuki 9/11 ke bad DIA ke upar damordar aur bhi jyada badh gaya tha, aur DIA ko dar tha ki Ana ab kahi ISIS ke mission ke bhi secret Quba ko na pahucha de ya ISIS se na ja mile. Isase pahle aur isliye 9/11 ke 1 hafte bad hi Ana ko arrest kar lia gaya.

Ana ke is desh droh ki saja fansi hoti hai par ana ne sarkari wakeelo se batcheet kar apna gunah sarkar ke samne qubool kia aur apni fansi ki saja unra kaid me tabdeel karwa Li.

Ana ko double agent banane ke liye koi bhi moti rakam nahi mili thi, na hi vo Quba ke agent hone ke liye paise leti thi, vo to aisa bas apni vichardhara ke karan karti aa rahi thi.

Ana ne ye bhi kaha ki use kisi bat ka afsos nahi, use apne desh ke dhokha dene ka koi dukh nahi, kyuki usane jo bhi kia vo sahi kia, Quba ke liye kia aur Quba ke masoom logo ke liye kia jo kabhi jung me shamil hona hi nahi chahte the, na hi vo kabhi takhtapalat aur politics jaise bato me ulajhana chahte the. Usane jo bhi kia vo sirf madad karne aur ek war hone se bachane ke liye kia.

Aur kuch aisi hi kahani hai war 2 ki, jaha war jaise situation ko difuse karne aur intelligence bureau team ke sath milkar kaise hamare heroes world peace ko wapas se established karte hai। Aise Indian spy ki kahani ko lekar aa rahe bade parde par jald hi. Is film par kam hona ho gaya hai shuru aur kahbre hai ki agle sal ye film yani ki war 2 bade parde par aaega nazar. Comments me batae kaisi lagi aapko Aaj ki kahani ?

 

 

 

Jaya Bhardwaj

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Hera Pheri 3 , Paresh Rawa and Sunil Shetty, Bollygrad Studioz,bollygradstudioz.com

Hera Pheri 3

इतिहास की best female fraudsters!   बेर्था हेमैन (Bertha Heyman) 19th century की एक American criminal थी, जिसे “Big Bertha” या “Confidence Queen” के नाम

Read More »
Singham 3, Ajay Devgn Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Singham 3

बचपन में ही अनाथ हो जाने से बड़ा दुख कोई नहीं. लेकिन अगर आपके मन में कुछ कर गुज़रने का ज़ज़्बा हो तो इतने बड़े

Read More »
mission impossible

Mission Impossible: Dead Reckoning Part One

Hollywood icon Tom Cruise अपनी फिल्म मिशन इंपॉसिबल 7 को लेकर काफी ज्यादा एक्साइटेड है,‌ जिसका असली नाम Mission: Impossible – Dead Reckoning Part One

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​