Dabbang 4

Thumbnail: पूरा हुआ Mukesh का बदला।

Iss Kahani me aage ek bahut bada khulasa hone wala hai. Par usse pahle yeh jante hai ki, kahani ke aage ke hisse me aur kya kya hua hai.

Aab Mukesh, un teeno yani ki Rashmi, Priyanka or duplicate Avinash ko apna plan btata hai kyunki uska plan kafi risky hai isi liye inko har ek chiz mai savdhani rakhni hogi. Plan ye tha ki nalki duplicate kal subh apne boss ke pass jaega or bolega ki usko akele dar lag raha hai or pichli raat uski jaan bohot mushkil se bachi hai kyunki Mukesh ne uska ghar dhundh lia tha. Tab uska boss use apne sath rakhne ko taiyaar hojaega or jab sab ratko so jaenge tab Nakli Avinash bahar se fuse ko hata dega. Jisse Priyanka or Mukesh ko ghusne mai asani hogi. Aab har koi us gate ko nahi khol sakta jaha par asli Avinash hai toh uske liye ek card ka hona zaruri hai jo us boss ke pass hai aab nakli Avinash ka yahi kam hai ki wo us card ko waha se laa kar Mukesh or Priyanka ki madad kare asli Avinash ko bachane mai. Ye plan jitna asan sunai de raha hai utna hai nhi. Kyunki sab chize ekbar ko asan ho sakti hai lekin card Lana or phir use lgakar wo gate kholna Kyunki agar galat card lag gya toh alarms baj jaenge or wo log ek cage ke andar band hojaenge jinhone unsuccessful attempt kia hai. Nakli Avinash wahi karta hai jo usko kaha gya hai uska boss man jata hai or wo raat hone ka itnezar kar raha hai. Raat hoti hai or nakli Avinash aab fuse hata deta hai or Mukesh or Priyanka ke liye rasta saaf kardeta hai. Mukesh or Priyanka andar toh aa gaye hai aab bari hai card ko lane ki jo apni jaan ke risk par lene gya hai nakli Avinash. Use kafi der ho jati hai or Priyanka sochti hai ki kahi wo pakda toh nahi gya or Mukesh ke uski madad karne ke liye bolti hai lekin Mukesh mana kardeta hai or kehta hai , “agar esa hi hota toh abtak hum yaha khade nahi hote balki pakde jate”. Priyanka samj jati hai tabhi nakli Avinash aa jata hai or wo aab Mukesh or Priyanka ko asli Avinash ke pass le jata hai. Jesehi wo card lgata hai toh gate khul jata hai or waha samne Avinash hota hai joki bohot kharab halat mai hai. Mukesh Nakli Avinash or Priyanka se use bahar le jane ko bolta hai or 5 minute baad khud bhi bahar aa jata hai. Jab Mukesh bahar ata hai or ye log gadi mai bethte hai tabhi us gharme ek blast hota hai. Jise dekh kar sab chauk jate hai. Tab Mukesh kehta hai ki “tumhare sath jisne galat kia uski saza sirf maut hai”. Ye kehkar wo Priyanka ko gale laga leta hai or bahar bethi Rashmi bhi apne pati Avinash ko dekh kar bohot khush hojati hai. Phir Mukesh apne dost Avinash ko le kar hospital jata hai or doctor btate hai ki starvation ki wajah se weakness hai 3 din tak under observation or nutrition dene ke baad Avinash bilkul thik ho jaega.

By Lavanya Chaudhary

Description: Touted to be an action comedy film or the “Baap of all films,” the film is directed by filmmaker Vivek Chauhan, who has also worked as an assistant director in the Randeep Hooda and Alia Bhatt starrer romantic drama film Highway (2014). The story of the film is penned by Om: The Battle Within writer Raj Suluja with co-writers Niket Pandey and JoJo Khan, and it is backed by filmmaker Ahmed Khan in association with Zee Studios.

Bye

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Jawan, Shah Rukh Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Jawan

Jawan Major Gopal Mitra , Kashmir में रहने वाले उन कई जवानों में से एक हैं जिन्होंने मां भारती के लिए अपने प्राणों की भी

Read More »
DHOOM 4 , Facts,Shahrukh Khan,Salman Khan ,Katrina Kaif ,Abhishek Bachchan Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Dhoom-4

Pichli blog me humne dekha ki kaise John Dillinger ko pakadne aaye officer Rufus aur Henry, Dillinger ke aadmi Homer ke shikaar ban jaate hai.

Read More »
MUNNA BHAI

Munna Bhai Series

लगे रहो मुन्ना भाई को बनाते वक्त मेकर्स को ज्यादा दिक्कत नहीं हुई थी कास्टिंग के लिए, मेकर्स ने संजय दत्त को लीड रोल के

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​