Dhoom-4

Pichli blog me humne padha ki kaise ek chor Louvre museum se Monalisa ki famous painting chura kar, sansani faila deta hai. Chori ke baad Police ka pehla shak famous poet Guillaume(गीउमे) aur Spanish painter Pablo Picasso pe jaata hai, lekin jald hi pata chal jaata hai ki unka iss maamle se koi lena-dena nahi hai. Jaise-jaise din mahine me badalte gaye, waise-waise Monalisa ki painting ko lekar logon me charcha aur badhne lagi. Sab ko jaan’na tha ki aakhir uss painting ko kisne itni asaani se, museum se chori karne ki himaat dikhayi hai. New York Times ne likha “kayi log shaukiya Sherlock Holmes ban kar painting ki chori ka rahasya suljhaane ki koshish kar rahe hai. Sab apne-apne andaaz pe theories bhi dene lag gaye. Kisi ne kaha American Financer J.P Morgan ne hi apne art museum ko mazboot banane ke liye, Monalisa ki painting ki chori karwayi. Kisi dusre ne kaha ki France ko apmaanit karne ke liye Germans ne painting ki chori karwayi hai. Russia, Brazil aur Japan jaise door-daraaz deshon ko bhi shak ke ghere me rakha gaya.
Painting ko chori huye ab 2 saal se jyada wakt ho gaya tha,lekin naa hi painting haath lagi aur naa hi woh chor, jisne iss badi chori ko akele anjaam diya tha. Kuch log yeh bhi maan’ne lag gaye ki shaayad Leonardo Da Vinci(लेओनार्डो द विन्ची)ki 400 saal purani yeh painting humesha ke liye kho gayi hai. Lekin logon ko yeh nahi pata tha ki Monalisa ki painting ab bhi France me hi hai.
Asal me jis din yeh painting chori hui, ussi din se Monalisa Paris ke baahari illake me stith, 1bhk apartment me maujood thi. Painting ko chori karne waale ka naam Vincenzo Peruggia( विनचेन्ज़ो पेरुज्जिअ) tha. Vincenzo Italian tha, jisne ek wakt pe Louvre me सहायक ke taur pe kaam kiya tha. Yaha tak ki usne Monalisa ki protective glass frame ko banwane me bhi madad ki thi. 29 saal ke iss chor ne August 1911 me Monalisa ko chura lene ke baad, ise ek wooden box me chupa diya tha. Khaas baat yeh thi, ki iss box me painting rakhne ke baad, chor ne upar se ek wooden slab rakh kar box ka nakli bottom part bana diya. Upar se dekhne pe aisa hi lag raha tha, jaise woh box asal me khaali ho. Lekin jab koi uss ladki ke slab ko hatayega toh uske neeche se Monalisa ki churayi gayi painting milegi.
Kyunki chor Louvre ka employee reh chuka tha, issi kaaran police ne ek-do baar usse puch-taach ki, lekin unka kabhi bhi pura shak Vincenzo pe nahi gaya ki wahi asali chor hai. Iss wakya se mujhe ek kahawat yaad aa rahi hai “Bagal me chora aur sehar bhar me dhindhora.” Dekha jaaye toh yaha pe sirf sehar nahi, balki puri duniya bhar me sansani fail gayi thi. Lekin kise pata tha ki chor Paris se painting ko chura kar ussi sehar me maujood hoga. Jab police ne Vincenzo se pucha ki aakhir tumne iss painting ko kyun churya, toh ispe chor Vincenzo ka jawaab kaafi alag tha, jise sun acche-acche ke hosh udd gaye. Aap jaan’na nahi chahenge ki aakhir uss chor ne kya kaha?
Vincenzo ne Monalisa ke baare me batya ki “Mai uski muskaan ka aadi ban gaya tha aur har subah use dekh kar apni aakhon ko sukoon deta tha. Mai usse pyaar karne laga tha.” Vincenzo ke mutaabik usne apne box me painting ko do saal tak chupaye rakha, jabtak ki painting ko lekar duniya bhar me charcha kam nahi ho jaati. Lekin jaise-jaise din beet raha tha, waise-waise Monalisa ko log bhulne ke badle uske baare me aur charcha karne lag gaye the.
Isse pehle Monalisa kabhi itni famous nahi hui thi, jitna ki uss chor ne iss painting ko bana diya tha. Lekin saal 1913 me Vincenzo ke do saal tak painting ko chupaye rakhne ke baad, usne finally uss painting ko bechne ka faisla kiya. Vincenzo jaanta tha ki painting ko lekar duniya bhar me anticipation kaafi tez hai aur log jitna chahe utna paisa iss painting ke liye dene ko taiyaar honge. Vincenzo ne apna उपनाम “Leonard” ka istemaal karte huye, Florence ke art dealer Alfredo Geri (अल्फ्रेड जेरी) se iss baare me baat ki. Vincenzo ne Alfred se kaha ki usne Monalisa ki painting chura li hai aur ab woh iss painting ko apne desh Italy ko dena chahta hai. Alfred ne iss baare me Uffizi Art Gallery ke director Giovanni(जियोवानी) ko iss baare me batya. Director se baat kar lene ke baad Alfred ne Vincenzo aka Leonard ko Italy ke Florence bulwaya, kyunki Alfred uss painting ko apni aakhon se dekhna chahte the. Jald hi 3 log Vincenzo ke ek hotel room me jama huye, jiske bed pe Red Silk ke kapde se covered painting rakhi hui thi. Jab Silk ke kapde ko painting se hatya gaya toh use dekh sabki aakhein झूम uthi. Alfred ke mutabik unhe vishwaas nahi ho raha tha ki woh Monalisa painting ko dekh rahe the, jo kaafi jyada khubsurat thi. Alfred aur uske dono saathiyon ne faisla kiya ki unhe jald hi painting ko Italy ke Uffizi Gallery tak pahuchana hoga. Iske liye saare intezaam kiye gaye aur Vincenzo ko 500,000 Euro as a sell price dene ki baat tai hui, lekin Alfred aur unke saathiyon ko asal me Monalisa painting khreedne me koi interestlkabhi thi hi nahi. Iske badle jab Monalisa ki painting ko dekh Alfred ko yakin ho gaya ki painting asli hai, toh unhone turant chor Vincenzo ki khabar police ko de di. 1913 ke December 11 ke shaam ko police ne Vincenzo ke Florence sith uske hotel room se use arrest kar liya aur issi ke saath Monalisa ki painting ka asli chor bhi duniya ke saamne aa gaya aur logon ko uske chori karne ke peeche ka iraada bhi pata chal gaya. Leonardo Da Vinci ke homeland Italy se ek choti yaatra kar unki Monalisa ki painting 1914 ke January ko, waapas Paris stith Louvre museum aa gayi. Tabtak Vincenzo Italy me hi maujood tha aur uspe police dwara trial session chalayi jaa rahi thi. Apne diye gaye गवाही me Vincenzo ne bataya ki ‘apne desh ke prati jhukaav ne hi use iss loot ke liye uksaya tha.’ Vincenzo ka kehna tha ki Monalisa ki painting ko Italian painter Leonardo Da Vinci ne banaya tha aur yeh Italy ki sampatti thi, jise France ne Napoleonic Era ke dauran uske native desh se loot liya tha. Halanki Vincenzo iss maamle me galat tha. Asal me Leonardo khud Monalisa ki painting ko lekar France gaye the, jise dekhte hi waha ke raaja Francis-1 ne ise khareedne ka man bana liya. King Francis-1 ne painting ko legally Leonardo se 15th century me khareeda tha. Wahi bhale hi Vincenzo ko puri baat nahi pata ho aur woh Monalisa ko Italy se churayi gayi sampatti maan raha ho, lekin uske “desh prem” ko dekh Italy ke kayi log uske fan gaye.
Vincenzo ke kaahilaaf iss baat ke poore saboot the ki woh painting ko jyda paison ki laalach me kisi art dealer ko bechne waala tha, par tab bhi Italians use National hero hi maan rahe the. Vincenzo ko iss apraadh ke liye 1 saal aur 15 din ki saza di gayi, lekin Vincenzo ne sirf 7 mahine hi jail me guzaare aur uske baad appeal pe use jurm se mukt kar diya gaya. Vincenzo ke jail se riha hone ke kuch saalon baad, usne Italian Army me, World War-1 ke dauran apni seva di. Uske baad Vincenzo waapas France laut gaya, jaha 8 October 1925 me uski maut ho gayi. Ajeeb baat yeh rahi ki jis din Vincenzo mara ussi din uska 44th birthday bhi tha.
Bhale hi Vincenzo ko logon ne bhula diya ho, lekin uski chori ne Monalisa ko aur bhi jyada famous bana diya. Jab Monalisa waapas Louvre museum lauti toh sirf do dino ke andar kareeb 1 lakh se upar log uss painting ko dekhne, museum pahuche. Kayi Art critics Monalisa painting ki mysterious smile ke peeche ka rahasya jaan’ne ki koshish karte rahe. Aage chal kar kayi advertisement, music video, aur magazines me bhi iss painting ka reference diya gaya. Aaj duniya ki sabse famous painting Monalisa, Louvre museum me ek climate control box me maujood hai, jise bulletproof glass frame, painting ko upar se protect kar rahi hai. Yeh painting har saal akele 8 million visitors ko attract karti hai.
Toh yeh thi famous painting Monalisa ki chori ki kahani. Jis tarah se ek chor ne iss painting ko chori kar duniya bhar me sansani faila di, kuch ussi tarah Dhoom ka main kirdaar bhi itni badi heist ko anjaam dekar har taraf sansani faila sakta hai.
The End.
Part-2

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Ganpath , Tiger Shroff, Kriti Sanon , Amitabh Bachchan ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Ganapath

Finally अपनी घिसी पिटी एक्शन सीन और अपनी ओवरएक्टिंग की दुनिया से बाहर निकल कर कुछ नया और अच्छा करने जा रहे हैं एक्टर टाइगर

Read More »

Sultan 2

फिल्म के अंदर सुल्तान एक blood bank खोलने के लिए पैसे इकट्ठा कर रहा होता है। जब वह अपनी अलमारी खोलता है, वहां पर उसने

Read More »
Rambo, Neera Arya, Bollygrad Studioz,bollygradstudioz.com

Rambo

Aaj kai aise famous army officers hai jo spy agent bankar apne desh ki sewa kar chuke hai bahuto ko hum jaante hai aur bahuto

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​