Punjab ke Moga district ke Bambiha gaon me janme Davinder Bambiha ka asli naam, Davinder Singh Sidhu tha. Davinder ka janam 21 August 1990 ko hua tha. Davinder crime ki duniya me aane se pehle apne ilaake ka popular Kabaddi player tha. Bachpan se hi padhai me tej Davinder ka janam, Punjab ke ek Kisan pariwaar me hua tha. Saal 2010 me jab Davinder apni graduation ki padhai kar raha tha tabhi uska naam ek murder case me saamne aaya. Yeh hatya, Davinder ke gaaon me hue do group ke beech ki ladai ke dauran hui thi. Issi case me Davinder ko police ne arrest kar liya aur use jail bhej diya, jaha jaakar Davinder dusre gangsters ke contact me aa gaya. Issi ke baad Davinder khatarnaak sharp shooter ban gaya. Davinder ke pariwaar waalon ne kabhi nahi socha tha ki unka beta ek din criminal ban jaayega. Davinder padhai me kaafi accha tha, issi kaaran uski aage ki padhai ke liye Davinder ke maata-pita ne uska admission, Punjab ke DAV college me karwa diya, jaha pe reh kar Davinder Kabaddi bhi khelne laga. Kabaddi ke hi kaaran Davinder apne college ka sabse popular student ban gaya. Davinder ki physique bhi bilkul kisi sportsman ki tarah slim aur agile(चुस्त) thi. Davinder waise toh aam student ki hi tarah tha. Aisa nahi tha ki use criminal duniya ya crime me koi interest tha. Woh toh ek din Davinder apne college ke doston ke saath kisi normal fight me shaamil hone gaya tha, jaha do groups ke beech huye clash me kisi ki hatya ho gayi. Yahi se Davinder jail pahucha aur phir criminal duniya me. Issi case ke baad “Davinder Singh” apna naam badal kar “Davinder Bambiha wala” ban gaya. 2011 me Davinder jail se faraar ho gaya aur usne apni ek alag gang banayi. Davinder ne apne gang ka naam “Bambiha group” rakha, jiske baad woh chori aur dusre criminal activities ko anjaam dene laga. Davinder ko saal 2016 me, sirf 26 saal ki umar me Punjab police ne encounter me maar giraya. Bhale hi Davinder maara gaya ho, lekin uske dost aaj bhi “Davinder Bambiha” ke naam se ek criminal gang operate karte hai. Bambiha gang dobara limelight me 2022 me aayi, jab iss gang ne popular Punjabi Singer Mankirat Aulakh ko jaan se maarne ki dhamki di thi. Shaayad issiliye kyunki Mankirat ki dosti Lawrence Bishnoi se hai. Asal me Bambiha aur Bishnoi gang ke beech rivalry hai. Jab Bishnoi gang ne Siddhu Moosewala ki hatya ki zimmedaari li thi, tab Bambiha gang ne bhi ek Facebook post kar kaha tha ki woh Bishnoi gang se badla lekar rahega. Yahi kaaran hai ki Bambiha ab Mankirat Aulakh ko apna target bana rahe hai, kyunki Bishnoi ne Sidhu Mossewala ko apna target banaya tha. Davinder ki baat kare toh woh 2011 me jail se bhaagne ke baad khatarnaak gangster ban gaya tha. Punjab me Davinder ka khauf, 2011 se 2015 ke beech kaafi tej tha. Jail se bhaagne ke baad Davinder ki crime rate lagataar badhti chali gayi, jo Punjab Police ke liye problem create kar rahi thi. Issi beech Davinder pe kayi tarah ke murder cases file huye. Social media pe Davinder kaafi popular tha, jaha woh apne dwara kiye gaye crimes ke baare me lagataar update karta tha. Maana gaya hai ki 2009 se lekar 2014 ke beech Davinder youth ke beech kaafi popular hua, jis kaaran woh most followed gangster bhi ban gaya. Bambiha group ne “Vicky Middukhera” ki 2021 me hui hatya ki zimmedaari li thi. Asal me Vicky, Lawrence Bishnoi gang aur Goldy Brar ka accha dost, aur Youth Akali Dal ka leader tha. Goldy Brar apne bhai Gurlal Brar aur Vicky Middukhera ki hatya se kaafi gussa tha. Yahi kaaran tha ki Goldy ne Bishnoi gang ke sang milkar Siddhu Moosewala ki hatya karwayi, kyunki Bishnoi gang ke mutabik, Siddhu Moosewala ke secretary ka naam Middukhera ki hatya me saamne aaya tha. Davinder ke jaane ke bawajood Bambiha Gang ka aatank kam hone ka naam nahi le raha. Lawrence Bishnoi se rivalry rakhne waali iss gang ko lekar police bhi kaafi pareshaan hai. Davinder ke baad Gaurav Patial ne Bambiha gang ki kamaan sambhali. Gaurav Punjab ka Bara gangster hai, jiske khilaaf vasooli, hatya ka pryaas aur hatya ki charges file ki gayi hai. Inhi aaropon ke baad Gaurav ko jail me daal diya gaya, jaha se bhaag kar Gaurav Armenia chala gaya. Gaurav kayi saalon se Armenia me baith kar apne gang ko operate kar raha hai. Punjab Police Gaurav ko waapas Bharat laane ki kaafi koshish kar rahi hai, lekin unke abtak ki koshish fail hi gayi hai.
Toh yeh thi aaj ki kahani, jo Punjab based gangster Davinder Bambiha pe thi. Aise gangster ka kirdaar naa sirf Mirzapur me action create karega, balki kahani ko aur interesting aur suspense se bhara bhi banayega.
The End
Fighter
फाइटर फिल्म में अक्षय ओबेरॉय भी audience को फ्लाइट उड़ाते हुए नजर आएं,गे लेकिन क्या आप जानते हैं कि, अक्षय के लिए फाइटर फिल्म में