Jab hum India ke kai jurm ki baat karte hai toh lagta hai kitna easy hai kisi ko ya kisi ke sath kuch bhi karo aur foreign bhaag jaao kyu kyuki waha thodi koi pakadne aayega ya waha aapko koi thodi jaata hai toh chipne ka mauka bhi aache se mil jaata hai. Lekin hum usse kiya kahenge jo hai bharat ka kaam foreign mein karta hai aur usne jurm foreign mein karke khud lapatta hai, jisse dhundhne mein waha ke police waalo ke bhi pasiney tak chutt gaye. Log jab kisi shaadi shuda couple ko dekhte hai toh lagta hai ki inke bich kitna piyar hai kitna sab aacha hai lekin inke bich chal kiya raha hai wo sirf wo dono hi jaante hai, aisa hi kuch tha Bhadreshkumar Chetan bhai Patel aur uski patni Palak ke bich. Palak ne kabhi nhi socha hoga ki usko itna piyar karne waala uska pati ek din usse hi maarne ki sajish karega aur usse apne haantho se maut ke ghaat utaar dega.
Bhadreshkumar Chetan bhai Patel ka janam 15 May saal 1990 ko viramgam, gujarat mein hua tha. Usne aachi khaasi padhai bhi ki thi taaki India se bahar jakar wo apni ek aachi bhawishya bana sakhe lekin saal 2015 mein uski Palak naam ki ladki se shaadi ho gayi aur kismat aachi thi ki wo bhi foreign mein jakar apna bhawishya ko apne pati Bhadreshkumar Chetan bhai Patel ke sath aacha better banana chahti thi lekin usse kiya pata tha ki uske sath kiya hone waala hai. Jab dono ne ek dusre se shaadi ki tab Patel 24 saal ka tha aur Palak 21 saal ki , dono ne decide kiya ki wo America jaayenge waha pahele wo apne rishtedaaro se milenge aur phir apne ghar chale jaayenge. Wo dono waha pahuch gaye aur aache se waha set bhi ho gaye the lekin saal 2015, 12 April ki raat ko Patel aur Palak Maryland ke Hannover mein ek Dunkin Donuts mein raat ki party mein kaam rahe the aur uss dukan ka maalik Patel ka ek rishtedar tha jiss se Patel aur Palak milne bhi aaye the. Jab Chann bin hui thi toh police ne bataya tha ki uss raat karib 9:30 baje Palak aur Patel ki ek sath kitchen taraf tahelte huye ja rahe the aur rack ke pichey se kuch gayab hotey huye dekha tha lekin uske kuch der baad Patel akele hi kitchen se bahar aaya aur bahar aate hi usne pahele waha ki oven band ki aur phir wo store se chala gaya. Dunkin Donuts store mein maujud customer ne dekha ki koi bhi staff unko serve karne ke liye nhi toh wo darr gaye ki store khula hai lekin koi staff nhi hai toh usne paas ke police station mein jakar uss chiz ke baare mein batayi tab tak ek staff ne jaise hi kitchen ke andhar pairr rakha usne jor se chilla diya tha jiske baad waha logo ki bheed jama ho gayi aur jaise hi police waale waha aayi toh unhone dekha ki Palak ki dead body hai jisse pit pitkar kar maar diya gaya tha aur wahi ke kitchen ke chaku se usse kai baar waar bhi kiya gaya tha. Police waalo ne bataya tha ki Palak ki murder hone se pahele Patel aur Palak ke bich behas hui thi jisme palak India wapas aana chahti thi toh wahi Patel America mein hi rehna chahta tha . Jaise hi police ko pata chala ki Palak ka murder ho chuka hai iske pichey iske pati ka hanth hai tab tak bahut deri ho chuki thi kyuki tab tak patel ko waha se bhaagne ka mauka mil gaya tha.
Police waalo ke mutabik palak ko maarne ke baad Patel sabse pahele apne ghar gaya aur kuch personal saamaan liya aur new jersey ke New York rawana ho gaya usse New York ke ek airport ke paass ek hotel ke liye taxi li aur waha se chala gaya lekin jab police waalo ne uss taxi driver se puch taacheki toh usne bataya ki puri journey mein Patel ek dum shant tha. Usne New York ke ek hotel mein check in kiya aur kamre mei payment karte huye dekha gaya tha.Logo ka kehna tha ki police ko waha bahut saara din lag gaya tha usse dhundne mein aur wo desh chor kar bhaag chuka tha jispar America ke police waalo ne kuch dino baad iss baad ko bhula diya tha aur isko dhundne ku inaam bhi rakha gaya tha. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit