Aaj Russia aur khaas kar Japan mein Richard Sorge ko kon nhi jaanta hai , sorge wo hai jinhone saal 1940 aur saal 1941 mein Japan mein apni kaamo ke liye sabse jada famous huye the jab unhone Soviet union par hamla karne ki Adolf Hitler ki planning ke baare mein jaankaari ki di , phir mid- September saal 1941 mein inhone Soviet union ko inform kiya ki abhi filhaal ya future mein Japan, Soviet union par hamla nhi karega. Lekin ek mahine ke baad Japan mein Sorge ko jasusi ke aarop mein giraftaar kar liya gaya tha. Saal 1944 November mein usse torture kiya gaya aur confess karne ke liye majbur kar diya gaya ki wo ek spy agent hai lekin usne ye confess nhi kiya jiske liye usse phasi de di gayi thi. Soviet union ke logo ne uss waqt Sorge ko accept karne se inkaar kar diya tha aur aage chal kar ye mana gaya ki wo Soviet ke liye kaam kar raha tha. Baad mein saal 1964 mein Sorge ko marne ke baad Hero Of the Soviet union ka award bhi diya gaya tha uske kaam ke liye.
Sorge ka janam 4 October saal 1895 ko Russian Empire ke Baku governorate, Baku ke ek upnagar, sabunchi basti mein hua tha. Wo Gustav Wilhelm Richard Sorge ke 9 bacho mein se sabse chote bache the aur Sorge ke pitaji ek German mining mein engineer the, jo Deutsche Petroleum aur Caucasian oil company Branobel aur unki Russian wife Nina Semionovna Kobieleva ki thi. Unke pitaji saal 1898 mein apne pariwar ke sath wapas Germany chale gaye the. Jab Sorge 6 saal ke the toh unhone Oberrealschule Lichterfelde mein bhaag liya tha, unhone apne pitaji ko aise rajnitik vicharo ke jaisa bataya tha jo simple roop se rashtriyawaadi aur samajwaadi the jisse unhone ek jawan Insaan ke roop mein bataya tha. Apne health ka faida unhone uthaya aur Marks, Engles, Rudolf Hilferding ki padhai ki unhone aur baad mein ek communist bann gaye. Aur jab war khatam ho gaya tha tab unhone bache huye samaye mein Kiel, Berlin aur Hamburg ke University se inhone economics ki padhai ki aur apni degree haasil ki. Baad mein wo Berlin chale gaye the lekin Spartacist uprising mein bhaag lene ke liye bahut der se pahuche the jiske baad unko usme hissa nhi lene diya gaya tha. Sorge ne August saal 1918 mein Hamburg se political science mein doctorate ki degree haasil ki aur sath hi sath ussi waqt wo Germany ki communist party mein shamil ho gaye the aur waha as a volunteer kaam karne lage the jiske baad unka ek comment aaya tha politics ko lekar isliye unko coal ke mining se bhi nikaal diya gaya tha.
Sorge ko Soviet union ke liye ek spy agent ke roop mein bharti kiya gaya tha jiske baad unko ek reporter ke bhesh mein alag alag Europe ke kai desho mein communist revolutions ki possibilities ma aaklan karne ke liye bheja gaya tha. Sorge aur Christiane ne may, saal 1921 mein shaadi kar li thi baad mein saal 1922 mein unko frankfurt transfer kar diya gaya tha jaha unhone business community ke baare mein khufiya jaankaari jutaai aur usse Soviet union ko bhej diya. Sorge apne spy agent waale kaam se itna piyar karte the ki unke paas khud ke time bhi nhi hota tha aur na hi wo aache se apne patni ko time de paate the jiske wajah se dono ka divorce bhi ho gaya tha. Divorce ke baad ab Sorge ka pura dhiyan sirf apne kaam par tha usne saal 1933 May mein GRU ne Sorge ko japan mein ek intelligence network ko organise karne ka faisla liya unhone uss mission ka codename Ramsay rakh diya tha. Ab jab uss network ki madad se Sorge ko japan mein aane jaane ka mauka mila toh usne waaha ki saari war se related information Soviet union tak bhejwa di jiske wajah se kai saare secret japan ke bahar aa gaye the lekin kehte hai na har din ya har lamha ek jaisa nhi hota hai waisa hi kuch hua tha Sorge ke sath aur ek din wo information bhejte waqt pakde gaye jiske baad unko giraftaar kiya gaya aur jab unse sawal jawab hua toh unhone apni mu nhi kholi jiske liye unko phasi ki saja sunai gayi. Sorge ko 7 November saal 1944 ko Sugamo jail mein 10:20 min par phasi di gayi thi aur 19 minutes ke baad unko mara hua ghosit kar diya gaya tha kyuki wo waqt war ka tha isliye waha fuel ki shortage ho gayi thi jiske wajah se unko Zoshigaya kabristan mein dafna diya gaya tha. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit