Gadar 2

Bharat aur Pakistan ke bich saal 1947 mein azadi ke baad sabse paheli yudh hui thi wo bhi Kashmir ko lekar jo aaj tak ho rahi hai pata nhi kyu Pakistan hanth do kar pichey pada hua hai Kashmir ke liye aur issi yudh ko dono desh ke bich hui Kashmir ka yudh pahela yudh kehlaata hai. Pakistan ne isse pahele hui har chote mote yudh mein Bharat se haar chuka hai lekin phir bhi wo apni harkato se baaj nhi aata hai iss baar bhi jab dono ke bich yudh hua toh bhartiya sena ne jung ke maidan mein Pakistani sainiko ko buri tarah se hara diya tha . Kashmir ko paane ke liye Pakistan hamesha ek sapna bunta hai lekin wo apne uss sapne ko logo ko maar kar aur unka khoon baha kar pura karna chahta hai lekin Bharat Maa ke veer sainiko ne harr baar apni jaan ki baazi laga kar dushmano ko haar ka maja chakhaya hai aur Kashmir ko bharat se chinne ka sapna bhi thod deta hai. Pakistan ki Kashmir ko paane ki khwahish aaj bhi adhuri hai aur hamesha adhuri rahegi. Batwaare ke baad dono desho ke bich ye pahela yudh hua tha jisme dono ne bade paimaane mein apne apne log khoye the aur aisa nhi hai ki sirf iss yudh mein hi Bharat ki jeet hui thi . Aaj Tak Bharat aur Pakistan ke bich jitne bhi yudh huye hai phir chahe wo chote yudh ho ya bade, har baar haar ka muh hamesha pakistan ko hi dekhna pada hai kyuki Pakistan hamesha burai ke liye aur burai ke mansubo se saath yudh karta hai isliye wo haarta hai. Saal 1948 ka yudh kai maayno mein bahut important tha aur iss yudh se judi sirf haar ya jeet hi matter nhi karti thi ya karti hai kyuki bahut saari changes hame uss waqt iss yudh ke wajah se dekhne ke liye mili thi. Actually azaadi ke baad Kashmir Bharat ka hissa ho gaya toh pakistan ko ye aaj tak chubhta hai aur iss dard ke kaaran wo hamesha Bharat par hamle karte rehta hai aur uske paas utni himmat hai nhi toh wo Pakistan ke sainiko ko na bhej kar waha ke kabaayaliyon ko iss kaam ke liye istemaal karta tha. Saal 1948 mein Pakistan ne Kashmir ko paane ke liye apni ek naapaak sajish rachi thi lekin wo sayad bhul gaya tha ki wo bharta se takar le raha hai aur usse baad mein mu ki bhi khaani padi thi lekin wo aaj tak baaj nhi aaye.
Saal 1947 ke baad jaise hi Raja Hari Singh ne Kashmir ko Bharat ka hissa banane ke liye signature kar diya tha waise hi turant government ne Kashmir mein Indian army ko bhej diya tha security ke liye lekin hari singh ko kaha pata tha ki Pakistani sena pahele se hi Kashmir ke kai hisso par kabza kar chuki thi aur dheere dheere jitne bhi ilaake the usse hadapne ke firaaq mein thi. Iss yudh mein Jammu aur Kashmir riyasat ki simaao ke bheetar Bhartiya sena, paramilitary force aur east Jammu aur Kashmir riyasat ki senaao aur Pakistani sena, paramilitary force aur Pakistan ke uttar paschim seemant rajya ke kabilai ladke jo khud ko azaad Kashmir ki sena ke naam se pukaarte the unke hi bich lada gaya tha ye yudh. Starting mein East Jammu aur Kashmir riyasat ki sena azaad Kashmir ke kabilai ladko ke shuruaati hamlo ke liye ready nhi thi usse sirf seema ki security ke liye bahut kam logo ko waha rakha gaya tha isliye hamle ke waqt wo wahi dher ho gaye the baaki log dushmsno se ja miley the. Jab ye baat maharaja ko pata chali toh unhone Bharat ki madad karne ki sehmati dedi aur bhartiya sena ko plane ki madad se sainik pahuchane ka mauka de diya aur saal 1947 ke antt tak Kashmir mein kabza karne ke liye Pakistani abhiyan ki hawa nikal gayi kyuki unhone Jo jo hisse ko hadap kar rakh liya tha bhartiya sena ne unn sab ko chudwa liya aur saal 1948 June Tak saara hisaa Bharat ka ho gaya tha. Ab dono desh ke government ne ye decide kiya ki iss war ko rokhna hoga isliye unhone ye ghosna karwa diya ki iss war ko rok diya jaaye lekin pakistan ki sena ne apne pairr pichey lene se inkaar kar diya jiske kaaran kashmir ko do bhaago mein baat diya gaya. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Love and War

एक संदीप रेड्डी वांगा है जो विकी कौशल जैसे रोमांटिक हीरो को अपनी आने वाली फिल्म में विलन बनाने पर तूले हैं, तो वहीं अब

Read More »
Mr. India

Mr India 2

मिस्टर इंडिया फिल्म का हर सीन यादगार था यहां तक ​​इसके गाने भी। मिस्टर इंडिया फिल्म के सारे के सारे गाने हिट सबित हुए थे

Read More »
Houssefull 5 , Akshay Kumar, Pooja Hegde, Kriti Sanon, Jacqueline Fernandez ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Housefull 5

London mein John aur Cassie rehte hain. Ek din John ghar par nahi tha aur Cassie apne bete ke saath ghar mein time bita rahi

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​