Karan Arjun 2

Humne kai baar kisi kahani ya kisi kisse mein jarur suna hoga ki kai baar aisa hota hai ki insaan janam leta hai aur usko aapne puraane janam ke baare mein yaad rehta hai. Usse pata hota hai ki usne pahele kaha janam liya tha aur uske sath marne tak kya kya hua tha. Hum sab bhale iss baat ko nhi maanenge lekin dharm aur bhagwan mein biswas rakhne log iss maante hai aur unn sab chizo ko aksar sach hi boltey hai yaha tak ki ab science bhi isse maanne laga yaha, tak ki hamare Mahabharata mein bhi punarjanam ko lekar Bhagwan Shree Krishna ne bhi kai saare baatein ki thi.
Hum aage kuch bhi jaane punarjanam ke baare mein jaane uss se pahele hum ek aise bache ke baare mein jaanenge jisne ye dawa kiya hai ki wo punarjanam lekar dubara aaya hai . Actually, allahabad ke aanapur gaaon mein janme Kartikeya ki baatein sirf unke mata- pita balki dusre ko bhi ye maanne ko majbur karti hai ki kartikeya ka punarjanam hua hai. 11 February saal 2018 ko Riwa ke prajapati brahmakumari aashram mein pahuche kartikeya ke punarjanam ki baat yahi charcha mein aayi. 9 saal ka ek bacha jiska naam kartikeya hai uski baaton par sabka dhiyan gaya jo sirf aur sirf bhagwan mein biswas rakhta hai. Kartikeya rajasthan mein sthit uss jagah ki aur jada attract hota hai jaha pichley jivan mein unhone Jayda waqt bitaya aur jahan unke sath ek ghatna mein maut ho gayi thi. Kartikeya ke punarjanam ki baatein ko rajasthan ke mount abu mein sthit Prajapati Brahmakumari Aashram Madhuban ke logo ne sabse pahle sunna tha. Actually maharastra jalgaon ke niwasi Sunil Choudhary wahi Aashram mein ki raha karte the karib 10 saal pahele waha rahne ke baad Sunil ki ek bhawan nirmaan ke waqt hui ek durghatna mein inki maut ho gayi thi. Uske baad Sunil ne kartikeya ke roop mein Allahabad ke Aanapur gaaon mein janam hua tha. Ye baat kartikeya ke kai aachar – vichar aur baaton se sabit hua tha. Kartikeya ki maa Nilam ke mutabik kai baar kartikeya ko pichley janam ki baatein yaad aati rehti hai. Kartikeya ke pitaji Shiv Pratap batate hai ki lag bhag 4 saal pahele Kartikeya ke punarjanam ki baat sabit ho gayi thi , jab usne apne pichley janam ke maa ko paihchante huye pitaji ka haal pucha tha. Shiv Pratap ke mutabik wo bache ki zid par hi dusri baar Mount Abu ke Madhuban aashram gaye, waha aashram waalo ne mare huye Sunil ki maa ko bulwaya. Sunil ki maa ko dekhne ke baad kartikeya ne, na kewal unke paas daud kar gaya aur unke paas ja kar bola aai kaisi ho aur baba kaise hai itna suntey hi Sunil ki maa ki aankhon mein aansu aa gaye aur unhone bache ko gale se laga liya tha aur kuch der tak wo log ek dusre se baat karne mein busy ho gaye the.
Kartikeya Allahabad ka rahne wala hai isse pahele Kartikeya ke mu se kabhi bhi aai baba jaise sabd nhi nikle kyunki Allahabad jaise chetra mein mata pita ko mummy Papa ya aama pita jaise sabdo se pukara jata hai Jalgaon aur uske aas paas ke chehtra mein Mata pita ko aai baba kehkar pukara jata hai uske baad kartikeya ne Madhuban ki wo saari jagah dikhayi jaha Sunil ghuma karta tha. Ye baat jab experts se pucha gaya toh wo bhi chauk gaye the ki ye sab kaise possible hai, kaise koi apne past ke baare mein itna clear ho sakhta hai itna kehne ke baad unhone bhi apne hanth khade kar liye the. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Karan Arjun 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

DON 3

Don 3

एक ऐसा चंदन तस्कर जिसे 3 राज्यों की पुलिस 20 साल तक ढूंढती रही। Tamil Nadu, Karnataka, और kerela तीनों की सीमा पर पड़ने वाले

Read More »
Bholaa

Bholaa

Kahani ki shuruaat mein hum dekhte hai Aman naam ka ek kaidi jo by profession ek banker hota hai, vo ek jail ke andar enter

Read More »
Bhool Bhulaiya 3, Kartik Aaryan,Bollygrad Studioz ,bollygradstudioz.com

Bhool Bhulaiyaa 3

Darjeeling se kareeb 30km ki doori pe stith Kurseong(कुर्सियांग) ka “Dow Hill” ko ‘land of White Orchids’ ke naam se bhi jaana jaata hai. Lekin

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​