Har film ke success ke peeche तगड़ा promotion chupa hota hai. Issi kaaran director ho ya phir actor, jise jaha jagah milti hai woh apni film ko promote karne ka ek mauka nahi chodte. Housefull franchise ke main star Akshay kumar ne bhi kuch aisa hi kiya tha. Yeh baat hai 2016 ki jab Housefull-3 release hui thi. Akshay ne iss film me Nadiadwala ko khaas keh kar apni dusri film ki promotion karwayi thi. 2016 me Akshay ki Housefull-3 ke saath “Airlift” bhi aane waali thi. Issiliye Akshay ne “Airlift” ko promote karne ke liye, Housefull-3 me ek scene dalwayi, jisme “Airlift” TV pe dikhaya jaa raha tha. Akshay ki yeh tarkeeb kaam bhi aayi, kyunki naa sirf Housefull-3, balki film Airlift bhi box office pe kaafi hit hui thi. Inn dono filmon ke kaaran Akshay ne uss saal करोड़ों ki kamayi ki thi, lekin industry se itni kamayi karne ke bawajood bhi Akshay ne kaha, ki Bollywood “ameer industry” nahi hai!! Inn dono filmon ki success ko apni aakhon se dekh rahe Akshay ne kaha, ki “Mai umeed karta hu ki ‘acchi box office collection har hafte jaari rahe’ kyunki kuch logon ko galat fehmi hai ki Bollywood ‘Sone ki Chidiya’ hai. Mujhe aisa lagta hai ki yeh industry bahut kam hits ke saath struggle kar rahi hai. Mai umeed karta hu ki iss industry ko kaafi hits mile, kyunki Bollywood ke paas logon ko dene ke liye bahut kuch hai, lekin philaal yeh industry loss ka saamna kar rahi hai.” Ajeeb baat yeh rahi ki Akshay ki yeh comment uss dauran aayi, jab unki ki gayi filme kaafi jayada hit jaa rahi thi.
Housefull franchise toh waise aksar hi limelight ka hissa rahi hai, kabhi critics ki yor se mile reviews ko lekar, toh kabhi cast ke beech hui takraar ko lekar. Housefull 3 me Bunty ka kirdaar nibha rahe Abhishek ko jab pata chala, ki woh Housefull-4 ka hissa nahi hai, toh unhe ek bada jhatka laga. Abhishek ke liye Housefull-3 unki kuch saalon me hui ek maatra hit film thi. Aise me Abhishek ko Housefull-4 se high expectations thi, lekin film se Abhishek ko baahar ka raasta dikha kar, makers ne Abhishek ke saari expectation ko ek hi pal me तोड़ diya. Jaankaaron ke mutabik Abhishek Bacchan Housefull-4 ke makers se kaafi gussa ho chuke the, par unhone phir bhi ek baar aur film ke producer Sajid Nadiadwala se baat karne ki sochi. Abhishek ne Nadiadwala se appeal kar unhe film me shaamil karne ko kaha, jise shaayad Nadiadwala ne reject kar diya tha. Abhishek pichle ek decade se apni doobti acting career ko bachane ki poori koshish kar rahe hai, lekin makers unpe bharosa nahi kar paa rahe hai. Yahi kaaran hai ki Abhishek, projects ke naa milne se dukhi aur pareshaan hai. Halanki iss beech Akshay kumar apne dost ki madad karne ke mood me nazar aa rahe hai. Housefull-4 ke makers se gussaye Abhishek ko Akshay ne shaayad mana liya hai aur ab Abhishek Housefull-5 me Akshay ke saath nazar bhi aane waale hai. Sunne me aaya tha ki Sajid Nadiadwala ne Abhishek ko film se nahi nikala tha, balki yeh kaam film ke director Sajid Khan ka tha. Sajid Khan ne hi Abhishek Bacchan ko film me koi role nahi diya, jisse Abhishek Sajid se dukhi the. Wahi Nadiadwala Abhishek ke liye film me ek perfect role ki talaash me the. Nadiadwala ne script me badlaav laane ki koshish bhi ki taaki Abhishek ko ek kirdaar mil sake, lekin shaayad baat nahi bani. Par jab ab Sajid Khan khud film se hat chuke hai, issi kaaran Nadiadwala ne Abhishek ko waapas iss franchise me shaamil kiya hai. Abhishek ab Housefull-5 me Akshay Kumar, Riteish Deshmukh, John Abraham aur Bobby Deol ke saath nazar aayenge. Actresses ki baat kare toh makers ne Bollywood ki ubharti kalakaar Kiara Advani ko approach kiya hai. Iske alawa film me Disha Patani bhi nazar aane waali hai. Jaankaaron ke mutabik Housefull-5 ke makers inn actresses ke paas film ka offer lekar pahuch chuke hai. Ab dekhna yahi hai ki Housefull-5 ki iss gaadi pe kon sawaar hota hai aur kise baahar ka raasta dikhaya jaa sakta hai. Tab tak ke liye aap bane rahiye humare saath iss channel pe, jiska naam hai Bollygrad studioz.
The End
Karan Arjun 2
Punarjanam ek sach hai aisa karodo logo ke mann mein biswas hai. Punarjanam se judi ghatnaaye aapne padhi, suuni aur dekhi hogi. Lekin aaj ek