Soldier 2

Jahan kuch der pehle Tak Rezang La mein shaanti chhai hui thi, achaanak vo ilaaka goliyon or bombs ki awaaj se goonj utha. China ki people liberation army ne attack shuru kar diya tha, ese mein humaare Indian soldiers bhi unke upar firing karne lage. Ab dono taraf se firing hona shuru ho gayi thi, shuruaati ladai mein  Indian soldiers ne apni bahaduri dikhaate huye kai Chinese soldiers ko maar giraya tha. Jab Chinese soldiers ke dwara saamne se kiye jaa rahe attacks ka Indian soldiers muhtod jawaab de rahe the, to Chinese Army ne apni strategy mein badlaav kiya. Subah 4:30 baje ke aaspass Chinese soldiers mortars or rocket launcher ki madad se Indian soldiers ke bunkers par attack karna shuru kar diya, ese mein Indian soldiers ka Bach pana mushkil lag raha tha. Isliye unke pass apni position ko chodkar peeche hatne ke alawa or koi option nhi tha, lekin ese situation mein bhi Major Shaitan Singh ke motivation ne Indian soldiers mein Josh bhar diya or vo lagataar dushman se ladte rahe. 

Lagatar ho rahe attacks mein dushman soldiers ke saath hi kuch Indian soldiers bhi veergati ko prapt ho chuke the. Bache huye Sabhi Indian soldiers ye baat samajh chuke the ki aaj unhe veergati prapt hone wali hai, iske baavjood humaare soldiers mein thoda sa bhi maut ka darr nhi tha. Chinese Army ki taraf se ki gayi 20 minutes ki mortar firing se kaafi tabahi mach gayi thi, sab taraf dhua hi dhua ho gaya tha. Jab dhua hata to Indian soldiers ne dekha ki door se kuch Yak  aa rahe hai jinpar kuch soldiers baithe huye hai. Pehli najar humaare soldiers ko laga ki ye Indian soldiers hai jo unki madad ke liye aa rahe hai, lekin jab unhone binoculars se dekha to unhe pta chala ki ye Chinese soldiers hai jo apne saath or jyada gola barood lekar aa rahe the. Iske baad Chinese Army ne teesra attack karna shuru kiya, isi beech mortar ka ek tukda aakar Major Shaitan Singh ke arm mein lag gaya. Major Shaitan Singh ne apne arm ki maram Patti karvayi or dobara se dushmano ke upar firing karna shuru kar diya. 

Rezang La ki ladai mein Major Shaitan Singh dushmano ko maut ke ghar utaar rahe the, isi ke saath vo lagataar ek post se dusre post par ja jakar apne soldiers ka josh bhi bada rahe the. Ek post se dusri post par bina kisi cover ke jaane ki vajah se unhi kai goli lag chuki thi, vo kaafi buri tarah se ghayal ho gaye the lekin fir bhi Major Singh ke Josh mein koi bhi Kami nhi aayi thi.  Tabhi achanak ek goli aakar seedhe Major Singh ke pet mein lagi, isse vo vahi par gir gaye. Jyada khoon beh jaane ki vajah Major Shaitan Singh baar baar behosh ho rahe the, lekin unhone ladai karna nhi choda vo lagataar dushman soldiers ke upar firing karte jaa rahe the. Major Singh ko buri tarah ghayal dekh do soldiers unhe ek barfili chattan ke peeche le gaya, or unse vaapas jaakar medical help lene ke liye kaha. Lekin Major Singh peeche hatne walo mein se nhi the, unhone medical help ke liye jaane se mna kar diya or ek soldier se light machine gun mangvaayi. Major Singh ne rassi ke ek end ko machine gun ke trigger se baandh diya or dusre end ko apne pair se, apne haath mein ek rifle rakhi or dushmano ka saamna karte rahe unhe maarte rahe. Jab Indian soldiers ke pass gola barood khatam ho gaya to vo apne haathon se ladte rahe, C company ke 120 soldiers mein 114 soldiers veergati ko prapt ho gaye the us din. 6 Indian soldiers ko prisoner of war bana liya gaya, jisme se ek soldier ki hirasat  mein hi maut ho gyi thi. C company ka har soldier apni last bullet or last breath Tak ladta raha, jiska nateeja ye tha ki Razang La pass mein China ke 1300 se 1400 soldiers maare gaye the. Major Shaitan Singh or unke soldiers ne ek bhi Chinese ko Rezang La ki dharti par nhi ghusne diya, or ek inch jameen bhi apne kabje se nhi jaane di. 

3-4 mahine baad jab Razang La mein barf pighli or Indian Army ne apne soldiers ki body dhoondhna shuru ki to unhe Major Shaitan Singh ki body usi chattan ke peeche jami hui mili. Major Shaitan Singh ke haath abhi bhi apni rifle par or unke pair ki rassi abhi bhi machine gun ke trigger par thi. Veergati ko prapt huye 114 soldiers ki body bhi vahin aaspass mili, kisi ke hath mein rifle thi to kisi ke hath mein LMG  lekin koi bhi soldier apni position chodkar bhaga nhi tha. Baad mein Major Shaitan Singh ko unki veerta or saahas ke liye Param Veer Chakra se sammanit kiya gaya tha. 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Soldier 2

Major Shaitan Singh ka janm 1 December 1924 ko Jodhpur ki Rajput family mein hua tha. Desh ki seva karne ka jajba unke khoon mein

Read More »
Mr. India

Mr India 2

मिस्टर इंडिया मूवी का हर छोटा सा छोटा सीन लोगो के दिलो में ऐसे बस गया है मानो उन्हू अनिल कपूर की कोई दूसरी फिल्म

Read More »
Soldier 2

Soldier – 2

5 June 2015,Major Sunny apni uniform pehenkar ready hote hai, or apna samaan lekar Delhi ke Palam airbase jaane lagte hai. Palam airbase pahuch ne ke

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​