Sooryavanshi 2

2017 mein Arunachal Pradesh ke Papum Pare district mein Sagalee gaon mein landslide hui thi. Achanak hi wahan ke logon ko yeh khatarnak prakritik apada ka saamna karna padh raha tha. Aise mein kayin rescue missions wahan par karyanvit kiye gaye the.
Bus isi beech ek Honhaar wing commander ne bhi apne kandhon par yeh zimmedari li thi. Iss wing commander ka naam tha Mandeep Singh Dhillon. Mandeep Tezpur, Assam ki 115th Helicopter Unit ka khaas pilot tha. Yeh Indian Air Force ka base tha aur Mandeep yahan ka best helicopter pilot mana jata tha. Uske jaisa flying experience shayad hi koi de pata. Tezpur mein jo yeh helicopter unit hai yeh China se border ki suraksha karti ayi hai. Mandeep isi unit ka ek ahem hissa tha. Mandeep ko kayin baar kuch rescue missions par bheja jata tha kyun ki aise difficult terrain mein helicopter udana asaan nahi tha. Cross winds aur terrain ka landing point dono hi pilots ke liye kaafi challenging rehta tha, isi liye Mandeep ke skills ki charcha harr jagah thi.
Abb iss landslide ke baad Mandeep ne hi iss rescue mission ko aage lejane ka socha. Apne 18 saal ke experience ke baad abhi bhi Mandeep ka manobal kam nahi hua tha. Chahe barfile pahadh hon yaa Arunachal ke ghane jungle, har jagah Mandeep ne rescue mission complete kiye hain.
Toh iss baar bhi woh tyaar tha iss landslide se logon ko safe bhaar nikalne ke liye. July ke pehle hafte mein Mandeep apne co-pilot Lieutenant PK Singh ke saath bus iss rescue mission ko anjaam dene mein laga tha. Kharaab Mausam hone ke bawajood 160 logon ko Mandeep baaki kuch aur saathiyon ke saath bacha paaya tha. Inn logon ko chotein aayi thi, toh yeh sab dare hue bhi the. Inn 160 logon ko successfully safe jagah par lejaya gaya. Abb inn 160 logon ko 5 rounds mein lejaya gaya tha, aur Mandeep abb apne sixth round ke liye wapas aaya tha. Mandeep ne weather report jab dekhi toh usse laga ki abb Mausam bahut bigad gaya hai, aur abhi gaonwalon ki life aur khatre mein daalna sahi nahi hoga. Isi liye usne iss baar kisi ko helicopter mein nahi chadhaya.
Yeh sahi decision tha.
Kyun ki udaan ke 3 minute baad hi usse sampark tut gaya tha. Dusre side se koi kuch nahi keh raha tha, aur achanak se Mandeep se contact nahi ho paya.
Baad mein pata chala ki plane crash ho chuka hai!
Toh bus aise hi ek wing commander ko, jiska naam Mandeep Dhillon hoga usse Soorya apni team mein shaamil karenge. Aisa experienced pilot Soorya ko zaroor hi mission mein help kar sakta hai!

Description
Mandeep Dhillon, a brave pilot lost his life while rescuing people in Arunachal Pradesh.
-By Pratima Ratwani.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

karan arjun

Karan Arjun-2

हो सकता है की film “Karan Arjun 2” को काफी हद तक Mahabharata के Karan Arjun पर फिल्माया जाए. Mahabharata के कर्ण-Arjun के बीच complex

Read More »
Ganpath , Tiger Shroff, Kriti Sanon , Amitabh Bachchan ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Ganapath

Mohammad Ali ek aise boxer the, jinhe duniya ke mahaan boxers me se ek kaha jaata hai. Cassius Marcellus Clay Jr. ( कैसियस मार्सेलस क्ले

Read More »

Don 3

बात है साल 2020 की है कि नवंबर 2020 की। अचानक से एक लड़की TikTok पर viral होने लगी। भारत में नहीं हुई क्योंकि भारत

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​