Housefull 5

December 2022 ko ek news ne apni jagah headlines mein bana li thi. Yeh news thi Ahmedabad se. Gujarat ek aisa state hai India ka jahan ke log Khushi se aur pyaar se rehte hain. Waise toh yeh state dry state hai magar andar kya hota hai kisse pata!
Aisi hi ek news Ahmedabad se ayi thi ki Indian Coast Guard (ICG) ne 10 Pakistani crew members ko ek hi boat par dekha hai. Waise toh Gujrat ke ports famous hain magar inn sab boats ka schedule hota hai. Aise hi koi bhi boat, kabhi bhi, kuch bhi lekar nahi ghus sakti. Aur toh aur yeh bade bade containers mein ata hai, jabki ICG ne bataya ki yeh toh normal si boat thi maano jismein 15 log aa sakein.
Unhone jab iss boat ki jaanch ki toh iss se hathiyaar aur 40-kilo heroin mile. Iski tip already Gujrat Anti-Terrorist Squad (ATS) ko mil chuki thi, aur bhagwan ki daya se ICG ne yeh hathiyar aur heroin baramat karliye. Iss heroin ki kimat 300 crore hai aur hathiyaar bhi advanced technology ke hain. Yeh sab “Al Soheli” naam ki boat se mila hai, jiski khabar ATS ko mil chuki thi.
Baramat karne ke baad jab checking ho rahi thi tab officer ne kuch information batayi. Officer ne kaha ki yeh 30 saalon mein pehli baar ho raha tha ki Gujarat ke coast se hathiyaaron ki taskari ho rahi hai. Yeh bahut hi unusual route tha aur yahan se aise taskari hona kuch alag hi signal tha. Yeh koi terrorist attack ho sakta hai, jo yeh log bina kisiki rukawat ke plan kar rahe hain. Darsal sab log jahan taynaat rehte hain wahan se kuch bhi planning karna mushkil ho sakta hai, isi liye aise route se ana jahan sabki nazar na ho hi ek raasta hai. Aur isi liye yeh smuggling hone wali thi. Agar tip nahi mili hoti, toh yeh khatarnaak hathiyaar jaise 6 Italian Beretta 92F pistols, 12 magazines, aur 120 cartridges jo ki gas cylinders se bhare the sab desh mein aagye hote. Aur heroin bech kar jo paise aate, usse youth toh lat mein phasta hi, magar usse aur hathiyaar mangaane ki purchasing power bhi aa jaati.
Tip sach mein kaam kargayi, abb pata yeh lagana hoga ki yeh hathiyaar laaye kyun jaa rahe the, aur kitne already laaye jaa chuke hain.
Bus yeh scene hamein Sooryavanshi 2 mein dekhne ko mil sakta hai. Aakhir Soorya bhi toh ATS ka hi officer hai. Toh bus ho sakta hai ki wahi iss guthi ko suljhaaye. Aur yeh bhi ho sakta hai hamein iss baar alag dushman dekhne ko mile movie mein.

Description
Weapons and heroin were being smuggled from the Gujarat coast. ATS believes this can be a threat or signal of a terrorist attack.
-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

krrish 4

Krrish 4

स्क्रिप्ट राइटर राकेश रोशन audience के reaction से इतना डर चुके हैं कि, उन्हें ये समझ नहीं आ रहा है कि फिल्म क्रिश 4 को

Read More »

Dunki

Salaar और Dunki के सात हमारा जो ये देसी Barbieheimer हो रहा है, उसने हमारे नेशन को दो हिस्सो में डिवाइड कर दिया है, ये

Read More »

Khalnayak 2

“जी हां मैं हूं खलनायक”.. अब यह डायलॉग सुनकर हमें याद आते हैं खलनायक फिल्म के संजय दत्त। पर “मैं हूं खलनायक” और “मैं हूं

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​