Gadar 2

India aur Pakistan paani aur tel ki tarah hai inhe jeetna bhi milaane ki koshish karlo wo kabhi nhi mil sakhte hai aur aakhir kaar alag ho jaate hai. Pakistan ne hamesha India ko burey najro se hi dekha hai aur hamesha usne aisa kuch kiya jiske wajah se dono ke bich yudh hui hai. Pakistan ko kai baar apni muh ki khaani padi hai phir bhi wo apne harkaton se baaj nhi aata hai. Azaadi ke baad inn dono desho ne pahele toh batwaare ko lekar aapas mein jhadap ki uske baad kabhi kisi dharohar ko lekar ya apni takat dikhane ke liye ye dono aamne saamne aate rahe hai. Abhi haal hi mein 4 saal pahele India aur Pakistan ke bich uss waqt khooni manjar dekhne ko mil raha tha, Pulwama hamle ke baad jiss tarah se 26 february saal 2019 ko Indian Air force ne Pok mein ghuskar aatanki camps par kaarwai ki uske baad se hi India aur Pakistan sima par kaafi tanav bhi dekha gaya tha. Wahi pakistan ne ek Indian pilot abhinandan ko bhi hiraasat mein le rakha tha jiski turant rihaai ki maang India ki taraf se ki gayi thi aur India ne ye saaf kar diya tha ki pakistan iss maamle par koi bhi deal nhi karega aur jitni jldi ho sake wo abhinandan ko rihaa kare, halaaki ye koi pehla mauka nhi tha jab India aur Pakistan ke bich iss tarike se vivaad dekhne ko mila jiske wajah se yudh ki samasya paida ho gayi thi. Aise toh bahut saari yudh hui hai India aur Pakistan ke bich lekin jo sabse jyada mashur hui wo Kargil war thi. Saal 1947 se lekar ab tak India aur Pakistan ke bich chaar yudh ho chuke hai aur chaaro hi baar Pakistan ne India se muh ki khaayi hai aur har baar yudh mein Pakistan ko haar hi mili hai lekin pakistan hai ki apni harkaton se baaj nhi aata hai . Saal 1947 mein sabse pahele India aur Pakistan ka yudh hua tha jisse first Kashmir yudh bhi kaha jata hai, ye yudh October saal 1947 mein hua jab Pakistan ki sena ke samarthan mein hazaaron Pakistani aatankwadi ladaku kashmir mein ghus gaye the aur Kashmir ke kuch rajya par hamla karke uspar kabza bhi kar liya tha. Tab India se Kashmir ke raja ne madad maangi aur Kashmir ka India mein vilay kar liya, tab se Indian force ne waha apna dera daala aur sawa saal ke baad yaani 1 January saal 1949 ki raat ko formal Ceasefire waha ghoshit kar diya gaya tha. Iss yudh mein India ko Kashmir ke kul do tihaai hisse yaani Kashmir ghaati, Jammu aur Ladakh mile toh wahi Pakistan ne ek tihai hisse Kashmir aur gilgit- Baltistan par kabza kar liya tha jisse Pok kaha jata hai. Iss yudh ko khatam karne ke liye India aur Pakistan ke bich ek bond sign hui jisme unhe apne apne border par apne sena ko tainaat kar rakh diya tha.

Saal 1965 mein India aur Pakistan ke bich jo yudh hua tha uska naam operation Gibraltar rakha gaya tha, jiske mutabik Pakistan ne Jammu Kashmir mein sena bhejkar waha Indian government ke virudh vidroh shuru karne ki planning banayi thi jiska natija India ne bade paimaane par West Pakistan par hamle shuru karke diya tha aur ye yudh takriban 17 dino tak chala jisme hazaaron ki tadaat mein kai log maare gaye the aur baad mein iss yudh mein Soviet union aur joint rajya America ne bhi hastakshep Kiya tha jiske baad ye yudh viraam hua aur saal 1965 mein India aur Pakistan ke bich huye iss yudh ko lag bhag 58 saal ho chuke hai. India ne Pakistan ke Siyalcot , Lahore aur Kashmir ke kuch upjaau ilaake jeet liye the. Pakistan ne India ke chhamb aur sindh jaise ilaake par kabza kar liya tha jisse India faide mein tha aur Pakistan puri tarah se nuksaan mein . 23 September ko dono desho ki topo aur banduko ne aag ugalni band kar di thi aur yudh ka annt joint rashtriya duwara ceasefire ki ghosna ke sath hua tha aur January saal 1966 mein taashakand samjhauta hua jiske anushaar dono desho ne ek dusre ke ilaake wapas kar diye the jiske baad ye yudh puri tarah se rok di gayi thi, aur yudh ke dauraan iss yudh ko world war 2 se bhi compare kiya gaya tha kiu jitni tank world war 2 mein use hui thi usse kai jada iss yudh mein hui thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2

India ne kabhi nhi chaha hai ki uski ladai ya matbhed ho uske padosi desh se lekin kabhi China toh kabhi Pakistan hamesha se kuch

Read More »
gadar 2

Gadar 2

गदर 2 की शूटिंग पूरी हो चुकी है, और अब इंतजार है तो इसके रिलीज होने का। गदर फिल्म में जिस तरह मेकर्स ने लव

Read More »

Khalnayak 2

Larry Jay Levin (लैरी जे लेविन) एक American है, जो कि Prison consultant हैं। अप्रैल 2007 में, Larry ने American Prison consultants agency खोली, जो

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​