Gadar 2

India aur Pakistan ke bich kai aise yudh huye hai jinme chot dono desho ko lagi hai jisse waqt ke sath sath log bhul rahe hai lekin saal 1971 mein hui Indian aur Pakistan ki yudh ko koi kabhi nhi bhul sakhta hai yaha tak ki na america aur na hi russia. Saal 1971 mein India aur Pakistan ke bich huye iss yudh ke kai kaaran the, inme jo main reason tha wo tha east pakistan ke upar barbarata aur atiyachaar karna jo saal 1971 mein apne charam sima tak pahuch chuki thi. Saal 1970 mein east pakistan ke election ke baad Zulfikar Ali Bhutto ne sheikh mujibur rahman ke leadership ko nhi maanna bhi ek kaaran tha uss yudh ka. Mukti Bahini ne India se east pakistan ko azaad karwane ke liye madad maangi thi aur India government ne madad ki bhi thi. Jab India par ye yudh pakistan duwara 3 december ko thopa gaya toh India ne iss chiz ka pakistan ko ek karara jawab diya tha jiske baad shayad hi pakistan ne kabhi east pakistan ko pareshan karni ki sochi hogi. Bahut se logo ka kehna tha ki saal 1971 ke yudh ka main reason tha pakistan ke uss samaye ki government ke fail hone ki jisne apne east hisaa ke Bengalis ke prati bhed-bhaav aur alagaavavaad ko badhawa diya gaya tha, darasal east pakistan mein Bengali logo ki population jada thi jiske wajah se saal 1947 ke dauraan east pakistan hi ek aisa chetra tha kaha pakistan ki muslim league satta mein thi. Saal 1958 mein military government aane ke baad east pakistan mein alagaavavaad ka daur shuru ho gaya tha jiske baad yudh shuru hone se pahele hi 8 se 10 lakh pakistani refugees India mein sharan le chuke the aur uske baad bhi kai refugees aa hi rahe the. Indian ki bhumika isrf itni thi ki Bengalis ki madad kare ya isse ye bhi keh sakhte hai ki India ne Bangladesh ko independent desh banane ki madad ki thi.

India aur Pakistan ke bich ye yudh takriban 13 din chala tha aur asal mein ye yudh ki pehal bhi pakistan ne 3 december saal 1971 ki shaam ko india military base hawai addo par achanak hamla kar ke ki thi, jiska parinam tha Bangladesh ko astitva mein lana aur iss yudh mein india ne 93000 pakistani sainiko ko bandi banaya gaya tha. Yudh shuru hone ke kuch din baad Pakistan ne haar ko saamne dekhte huye paschim morcha Gujarat, Rajasthan, Punjab aur Jammu -Kashmir mein khol diya tha lekin waha bhi pakistan ko mu ki khaani padi thi. Uss yudh mein India bilkul akela tha lekin pakistan ko support karne ke liye America ke sath sath kai desh the, India ye baat pahele se jaanta tha ki koi Pakistan ka sath de ya na de America jarur dega kyuki dono ke bich kaafi aachi dosti thi aur unn 3 chunauti mein ye paheli chunauti thi. Dusri chunauti thi purey paschim pakistan ke border par fauz ki tainaati aur teesri chunauti thi samundari raste se Pakistan ko rokna, inn sabhi chunautiyon ka rajnitik, rananeetik aur saamarik taur par tatkaaleen Indira Gandhi government ne general Sam Manekshaw ki aguwaai mein badi sujbuj se kiya tha. Uss waqt kai aise avasar india ko miley the jisse wo Pakistan ko aache se maja chakha sakta tha lekin wo waisa kar nhi paaye aur June saal 1972 mein hui Shimla sandhi ke anusaar India ne adhiktar paschim pakistan ka area wapas kar diya tha jo yudh mein Indian sena ne Pakistan se jeeta tha, halaaki India ne kuch rananeetik Ladakh ke chetra ko apne paas hi rakha jo 804 warg kilometres ka tha. Pakistan ne India ka paschim pakistan se jeeta hua area nhi lautaya aur nahi hame hamare yudh bandi lautaaye jabki humne unke sabhi yudh bandi ko lauta diye the. India ne sandhi ke mej par Kashmir masle par hamne koi baat nhi ki halaaki ye ek sunahara mauka ho sakhta tha India ke paas Kashmir ko lene ki lekin India ne wo mauka gawa diya tha. Iss waqt India 11 dogra regiment mein tha aur 3 december ko field marshal general Sam Manekshaw aaye jiske baad unn sabko khule maidan mein baitha diya gaya tha. PT ke baad purey bigrade ka darbaar laga hua tha aur ye rajasthan mein ganganagar ki baat hai. 4 december ko yudh shuru hone se pahele inhone 2-3 baatein kahi isme ek tha ki agar koi kimti samaan miley toh usse raakh samajh lena phir unhone dusri baat ye kahi ki agar dushman se yudh ke dauraan uss chetra ki agar koi mahila dikhe toh unko Maa ya apni bahen ke samaan samjhna aur teesri baat ye kahi ki mai ab chalta hu ab hum aapke sath dusri chai Lahore mein sabke sath piyenge.

Rajasthan ke Jaisalmer sthit longevaala mein tanks ka ek unique yudh hua tha tab kuldeep Singh chandpuri 23rd Punjab regiment mein the. Unhone aur baaki 120 sainiko ki unki company ne 22nd armed regiment duwara samaan kiya gaya tha, jiske baad Indian air force subha hawai madad karne ke liye waha pahuchi thi, longevaala ka yudh 3 din tak chala tha aur iss dauraan dushman ko bhaari nuksaan hua aur 12 tanks ko chhodte huye unhe hatane par majbur kar diya tha. Iss parakarm ke liye Chandpuri ko mahaveer chakar se samaamit kiya gaya tha . Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Kuch Kuch Hota Hai 2 Sara Ali Khan, Vijay Devarakonda, Janhvi kapoor,Shahrukh Khan,Kajol,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Kuch Kuch Hota Hai 2

मनीष मल्होत्रा जो एक फेमस डिज़ाइनर है,जिनके डिजाइनर लहंगे पहनने के लिए लड़कियां अरमान सजाती है, उनका हाल ही में बर्थडे सेलिब्रेट किया गया और

Read More »

Soldier 2

October 1962 mein jab China ki People Liberation Army ne Laddakh par attack kiya tha tab Indian Army ke company commander Major Dhan Singh Thapa

Read More »
balwaan

Balwaan 2

भले बलवान फिल्म में एक्टर डैनी डेन्जोंगपा ने एक विलन कि कैरेक्टर निभाईं थी लेकिन वो भी एक अच्छे एक्टर हैं। उनकी इस खूबी पर

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​