Swati Garg Gurgaon ki rehne wali ek mahila thi. Swati apne parivaar ke saath Gurgaon mein hi flat mein rehti thi, aur woh apne ache bartaav ki wajah se puri society mein famous thi. Woh sabki madat karti thi, aur sabse hi hass bolkar baat bhi karti thi.
Thode hi din pehle Swati ne apne ache nature ka ek aur namuna sabhi ko dikhaya. Yeh sardiyon ki baat hai. Gurgaon ki sardi kisse nahi pata! Itni thand mein raat ko sabhi jaldi sona pasand karte hain. Sabhi apne apne gharon ko pura pack kar kar, heaters chala kar aur razai mein tabiyat se sojaate hain. Aur uss din Swati aur uski family ne bhi yahi kiya. Sabhi dinner kar kar, hass bolkar 11 baje tak sone chale gaye. Sabhi shanti se so rahe the, jab Swati ko achanak se pyaas lagi. Swati uthi aur usne kitchen mein jaakar paani piya. Lekin tabhi usne dekha ki gate ke bhaar se, yaaniki ki corridor se kuch garam hawa si arahi hai. Usse yeh ajeeb laga kyun ki itni thand mein itni garmi andar tak aa kaise sakti hai. Isi liye usne bhaar jakar dekhna sahi samjha. Jaise hi usne gate khola toh usne dekha ki electric wires mein aag lag gayi hai, aur itni tez ki abb usse bhujana mushkil ho sakta hai. Woh turant hi andar bhaagi aur usne apne pati ko uthaya. Usne apne pati ko kaha ki woh ghar mein reh rahe mehmaano ko jaga de, tab tak woh unke bete ko jaga kar lekar aati hai. Abb Swati darsal sauteli maa thi. Yaaniki woh jiss bete ki baat kar rahi thi, woh uska apna nahi tha. Magar woh phir bhi usse apne bache ke jaise hi rakhti thi. Uss bete ka naam Ajay tha. Ajay Swati ko pasand nahi karta tha. Swati ko apni maa nahi manta tha, aur woh apni maa ko hi yaad karta rehta tha. Swati ki laakh koshishon ke bawjood woh Ajay ko mana nahi paayi thi. Uss din jab Swati Ajay ko uthane gayi, tab Ajay ne gate kholte hi uski baat suni aur woh turant hi instructions ke hisaab se apne papa ke saath building se neeche utarne laga.
Swati bahut achi thi isi liye usne building mein aur logon ke darwaaze bhi khatkhatana start kiye. Woh ek ke baad ek flat mein jaa jaa kar agha kar rahi thi.
Antt mein hua yun ki aag ki wajah se usse abb saans nahi aarhi thi. Woh aag ke dhuein ko itna andar le chuki thi, ki antt mein usse ghutan ki wajah se iss duniya ko chod kar jana pada!
Jisne sabki jaan jaan bachai, woh hi iss duniya se chal di. Tab Ajay ko Swati ka asli worth samjh aya!
Toh bus iss baar Beta 2 mein hamein beta aisa dikh sakta hai. Beta mein uski maa villain thi, kya pata iss baar beta woh kirdaar nibhaye?
-By Pratima Ratwani.