Rowdy Rathore 2

35 saal ki Latha Unni ek din ek bus mein jaa rahi thi. Latha uss din bhi roz ki tarah kaam ke liye iss bus mein chadhi thi. Uss samay kariban 11 baje the aur Latha ki destination abhi 45 minutes dur thi. Uss bus mein Latha ke alawa kuch aur mahilaayein bhi thi jo kaam par jaa rahi thi, toh kuch bache bhi the. Total bus driver ko milakar bus mein uss samay 20 log the. Yeh inka roz ka hi raasta tha aur aaj bhi bus time par thi. Suhana din tha aur Latha araam se aage wali seat par baith kar bhaar dekh rahi thi.
Latha bahut hi cheerful aurat thi. Bus mein passengers se baat karna, unke din ke baare mein jaan na usse bahut pasand tha. Aise mein uss din woh shant thi magar sirf isi liye kyun ki uske office mein important meeting thi. Uska office pahuchna bahut zaroori tha aur woh dari hui thi ki kayin agar wapas baarish agayi toh usse late ho sakta hai, jisse uski meeting atak jaayegi. Isi liye uss din bus woh jaldi pahuchna chahti thi.
Magar uss din shayad uska late hona likha tha!
Kerela mein unn dino bahut baarish ho rahi thi. In fact, uske ek raat pehle bhi bahut baarish hui thi. Raasta bahut gheela tha, aur driver Dheere Dheere gaadi chala raha tha. Magar thodi dur chalte hi gaadi paani ki wajah se paas ke hi talab mein phisalkar gir gayi! Yeh Kattithara Road tha jo ki Maradu naam ke ilake ke paas tha. Itna paani tha road par ki bus driver bus sambhaal nahi paya!
Uss talab mein bahut se paani ke paodhe ugg rakhe the, isi liye bus dhire dhire doob rahi thi. Abb bus ko nikaalna toh naa mumkin tha isi liye Latha ne apne rowdy andaaz mein sabse pehle bachon ko nikaalna start kiya. Usne sabse pehle ek young ladhki ko peeche ke gate se bhaar nikalwaya. Phir usse yeh kaha ki woh kisi se jakar madat maangkar aaye. Woh ladhki paas ke hi ek nariyal pani wale ko lekar wapas aayi, aur abb yeh dono bus ke paas hi khade the aur Latha ke instructions ka wait kar rahe the. Iske baad ek ek kar kar Latha ne sabse pehle bachon ko bhaar nikala, jinhein bhaar pakdhne wale 2 jaane khade the aur baad mein baaki saari aurton ki bhi madat ki. Latha chahti toh sabse pehle khud nikal sakti thi, magar usne dusron ko help karna chuna!
Baad mein sabhi ke bhaar nikal jaane ke baad Latha bhi khud bhaar ayi aur issi wajah se bus mein kisi ko koi nuksaan nahi pahucha!
Abb aisi help koi Rowdy ladhki hi kar sakti hai jo maut se bhi naa darre!
Aisi hi Rowdy Lady hamein Rowdy Rathore 2 mein dekhne ko mil sakti hai.

 

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Ganapath is action thriller film directed by Vikas Bahl and produced by Good Co. Production and Pooja Entertainment. The film stars Tiger Shroff and Kriti Sanon with Amitabh Bachchan, bollygradstudioz.com

Ganapath

Pichli blog me humne aapko mahaan boxer Sugar Ray Robinson ke baare me bataya tha, jinhone apni boxing career ke dauran army me bhi apni

Read More »
Ganpath , Tiger Shroff, Kriti Sanon , Amitabh Bachchan by Khyati Raj bollygradstudioz.com

Ganpath

Jackie Chan ko kaun nhi pehchanta. Ek aise great actor, jinki mahaanta se puri duniya waakif hai. Jackie Chan ka janam 1954 me Hong Kong

Read More »
Animal

Animal

फिल्म एनिमल के डायरेक्टर संदीप रेड्डी वांगा ने अपने इंटरव्यू में कहा था कि, वो audience को अब बताएंगे कि असली violence का मतलब आखिरकार

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​