Arif Uttar Pradesh ka ek engineer tha jo Bangalore ki Software company mein kaam karta tha. Usne kayin din work from home kiya magar kuch din pehle hi woh office ke liye laut aya tha. Arif ke paas BTech ki degree thi aur pichle 2 saalon mein woh kayin projects par kaam kar chuka tha. Magar uska naam uski company se zyada NIA aur ISD mein discuss ho raha tha.
National Investigation Agency aur Internal Security Department ke bahut se agents Arif ko track kar rahe the. Khabrein thi ki Arif ka terrorist organization ke saath kuch sambhandh hai. Yeh terrorist organization hai Al Queda!
Itni badi organization ke saath sambhandh hone ki wajah se Arif bahut time pehle hi inn dono organization ki nazar mein aa chuka tha, aur abb yeh agencies haath milaakar isse pakdhne waali thi.
Bus February 2023 mein hi NIA aur ISD ne iss joint mission ko anjaam diya. Waise toh Arif itna khatarnak nahi tha magar agencies ko yeh nahi pata tha ki uske saath kitne log kaam kar rahe hain. Al Queda bahut badi terrorist organization hai isi liye hi woh log chance nahi lena chahte the. 11 February ko Arif jis flat mein rehta tha, uss flat mein inn agencies ke officers ne raid dali. Arif Bangalore ke Thanisandra residence mein rehta tha. Subah subah usse utha liya gaya aur pure flat ki jaanch partaal hui. Aur shaq bilkul sahi nikla. Arif ke ghar se jagah jagah kuch devices mile jisse woh communication karta tha. Kuch maps aur documents bhi paaye gaye uske ghar se jo ki exactly toh samjh nahi aa rahe the, magar agencies ko decode karne ke liye achi khaasi file mili thi. Aur toh aur Arif Telegram se bhi kuch communications kar raha tha. Telegram ki security ki wajah se yeh abb tak pakdh mein nahi aya tha, magar abb jo Arif ka phone haath laga hai, toh agencies koi thos saboot zaroor nikaalne wali hain.
Iske alawa agencies ko Arif ke drawer mein Syria ki tickets bhi mili. Arif March mein Syria jaane wala tha. Background check par yeh pata chala ki Arif naa toh kabhi pele Syria gaya hai, aur naa hi uske koi jaan pehchaan ke log wahan rehte hain. Toh yeh cheez bhi kaafi ajeeb thi. Aur itna hi nahi Arif dark web ke through bhi operators se communicate karta tha, aur yeh uske office laptop par nahi balki personal laptop par dekha gaya hai.
In short, kaafi saboot the Arif ke khilaaf yeh proof karne ke liye ki uska inn terrorist groups ke saath kuch na kuch toh lena dena tha hi. Abb dekhna yeh hoga ki kya yeh organization kuch bada hone se rok paati hain yaa nahi!
Bus aisa hi ek scene hamein Sooryavanshi 2 mein bhi dekhne ko mil sakta hai jahan Soorya kisi aur bade agent ke saath milkar, zaroor hi ek aise ghuspaith ko dundh nikaalenge!
-By Pratima Ratwani.