Dabangg 4

Amritsar mein thand ka Mausam hai. Aise mein log zyada tar din ko hi bhaar nikalte hain. Itne thande Mausam mein Dhoop mein kaam khatam karna sabko pasand hai taaki din dhalte hi woh sab apni razai mein ghus jaayein. Aise mein Police ke liye thand ho yaa barsaat, sabhi Mausam ek barabar hain. 9 February ko Police ne itni thand mein ek operation ko anjaam diya.

9 February se pehle hi Police ko Amritsar mein khabar mili thi ki drugs ki hera pheri hone wali hai. Darsal trans-border smuggling racket ka mastermind Resham Singh faraar hai. Aise mein abb jab usse mauka mila hi hai, toh woh harr jagah se heroin ki taskari karne ki koshish zaroor karega. Resham Singh ko Amritsar ke chappe chappe ki khabar hai. Kaun kab kahan jata hai, kab Police ki duty lagti hai, jungle ka kaunsa raasta kahan nikalta hai, sab! Woh pichle 20 saal se yeh karta aya hai, aur abb jab woh nikal chuka hai toh woh zyada se zyada paise kamane ki, aur desh ke youth ko nashe mein doobane ki koshish zaroor karega. Aise mein Police ko toh kuch plan karna hi tha.

Isi liye unhone sabse busy raaste ki sabse kadi checking karne ka decision liya tha. Amritsar ke Ram Tirath Road par ho rahi thi yeh checking. Pura operation Deputy General of Police Gaurav Yadav ke under ho raha tha, aur unhone apne khaas officer Patan Singh ko in charge rakha tha. Yeh regular checking route nahi tha, aur toh aur puri in and out checking ho rahi thi.

Aur hua yun ki Patan Singh uss din khali haath nahi laute the wahan se!

Checking karte karte ek bachon ki van wahan par aayi. Driver ki checking ke baad Police officials van ko jaane dene waale the, jab Patan ne gaadi roki. Woh bachon ko bhi check karna chahta tha. Abb anuman kaho yaa itefaaq, magar Patan checking mein koi kasar nahi chodna chahta tha. Unhone ek ek bache ke bag ko dekhna shuru kiya. Aur gazab ki baat yeh hai ki ek 16 saal ke ladhke ke bag se 15 kilo heroin baraamat hua. Itna hi nahi heroin ke saath saath uske bag mein 8 lakh 40 hazaar rupay bhi the.

Resham Singh yeh samjha tha ki Police harr kisi ki checking karegi, magar bachon ki nahi! Isi liye usne bachon ko bhi iss nashe ki latt lagwa kar unse taskari karwana shuru kiya tha. Patan ke haath mein yeh aate hi iss bache ko juvenile home lekar jaya gaya, aur uss par sakth karwayi ki permission bhi le li gayi. Issi ke saath state Police ne Patan ka shukriya adaa kiya ki unhone end waqt par apne presence of mind se investigation ka main tarika dundh liya tha!

Toh bus Chulbul Pandey bhi ho sakta hai iss baar Punjab mein posted hon, aur Patan Singh jaise hi woh bhi apne presence of mind se aise ki racket ki important kadi dundh lein.

 

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

krrish

Krrish 4

फिल्मो की रेस में लगता है अब क्रिश फ्रेंचाइजी बहुत पीछे रह गई है और यहीं डर अब शायद उन्हें सता रहा है कि कहीं

Read More »

Bhool Bhulaiyaa 3

गोविंदपुरा गाँव की पंचायत में घोषणा दी गयी है कि आज दोपहर कालीगंज की पहाड़ी की दो चोटियों के बीच बंधी रस्सी के ऊपर एक

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​