Mughal samrat ke samne Bharat ki kareeban sare rajaon ne apne ghutne tek rakhe the, lekin bharat mein ek esa raja tha jisne kabhi bhi Mughlon ke samne apna sar nehi jhukaya.
Maharaja Udai Singh aur Rani Jaivanta Bai ke bete Maharana Pratap bachpan se hi ek kaffi tez deemag aur sahasi bache the. Anaye ke khilaf khada hona ho ya kisi ki madad karna ho, Maharana Pratap hamesha har cheez mein age reheta the. Praja ko pehele se hi pata chal chuka tha ki Maharana Pratap hi age chal kar unke raja banenge. Par bhagya ko kuch aur manjur tha. Udai Singh ki 18 raniyan thi aur apne sabse pasandita Rani ki baat man kar apne chote bete Jagmal Singh ko wahan ka raja ghosit kar liya. Puri praja is baat se behad dukhi thi. Fir kuch sallon baad raja Udai Singh ki beemari ke chalte maut ho jati hai. Aur unke marne ke baad ek meeting bithayi jati hai aur us meeting mein ye decide kiya jata hai ki Jagmal Singh ko raja ke gaddi se hata ke Maharana Pratap Singh ko raja bana diya jaye. Aur esa hota bhi hai.
Maharan Pratap Singh Raja banne ke baad apne rajya ki khoob pragati karne lagte hain. Unke sath logon ka pyaar , unka sath aur unka Ashirbaad teeno tha. Usi samay par Bharat pe kareeb puri tarah se Mughal samrat Raj kar rahi thi. Akbar Bharat ko apne adheen mein karne ke liye adhe se jyada rajaon ko apne sath kaam chuka tha. Aur Maharana Pratap Singh ka Mevad Akbar ko har haal mein chahiye tha to wo baar baar apna proposal Maharan Pratap Singh ko bhejne laga lekin Maharana Pratap Singh ne kabhi bhi Akbar ke ek bhi proposal ko accept nehi Kiya. Yahan tak ki Akbar ne Pratap Singh se ye bhi kaha tum chaho to adha Bharat rakhlo lekin tumhe mere adheen hona padega. Pratap Singh ko takat se jyada apna self-respect pyari thi. To Pratap Singh ne is proposal ko bhi reject kar diya.
Ye khabar pake Akbar behad gusse mein agaye aur Maharana Pratap se jung ched Dee. Akbar ke pass pure 30,000 sainiko ki sena thi lekin Maharana Pratap ke pas sirf 13,000 sainiko ki sena thi. Fir bhi Maharana Pratap ne har na mante huye Akbar ke khilaf jung ladha. Jung mein Maharana Pratap iss tarah se ladai ki ki Akbar ki himmat tak nehi huyi Pratap Singh se ladhne ki. Akbar ka sabse khaas sipahi ko Pratap Singh ne ek hi bar mein apne talwar se mar Diya. Aur puri tezi ke sath Maharana Pratap ne Akbar ki ek ek sipahi ko marte rahe. Baad mein apne ghode ka ek leg kat jane ke wajah se Maharana Pratap ko Jung se bhagna pada. Ye jung to Maharana Pratap Singh haar gaye lekin unki veer katha Pure Bharat mein charchit ho gayi. Yahan tak ki Akbar ne khud kaha ki Maharana Pratap Singh se jyada veer Raja unse ajj tak nehi dekha.