Honshu Island pe stith Mount Fuji, Japan ka sabse famous aur uchaa पहाड़ hai. Yeh Asia ke island pe maujood, dusra sabse bada Volcano hai. Mount Fuji ke Northern-West corner pe, “Aokigahara” (आओकिगहारा)naam ka ek ghana jungle hai. Kaha jaata hai yeh jungle itna ghana hai ki ise “Sea of trees”, yaani ki पेड़ों ka samudra bhi kaha jaata hai. Yeh jungle Tokyo se 2 ghante ki doori pe stith hai, issi kaaran Aokigahara tourist ke alawa school trips ke liye bhi famous hai. Waise yeh jungle koi ghumne ki jagah nahi hai, kyunki kaha jaata hai iss jungle me bahut saare logon ne suicide kiya hai, jis kaaran ise “Suicide forest” bhi kaha jaata hai. Aokigahara ka jungle, duniya ka dusra aisa jagah hai, jaha pe log apni jaan lete hai. Aokigahara ke junglon ke पेड़ moode hue hai aur inki जड़ें jungle ke zameen pe ghumaavdaar tarike se aise faili hui hai, jo yaha pe aane waale logon ko ek daraavne akelepan ka ehsaas karaati hai. Yeh jungle dikhne me jitna sundar hai utna hi daraavna bhi hai. Iss jungle me har saal 100 se jyada log suicide kar lete hai, iss kaaran yeh Japan ki sabse daraavni jagah ban gayi hai. Yeh jungle pehle bahut khubsurat tha. Lekin ab yaha ke पेड़ ek dusre se itne paas ho gaye hai, ki Aokigahara me bahut mushkil se suraj ki roshni aati hai, jis kaaran yaha pe din me hi raat jaisa feel hone lagta hai. Japan ke iss suicide forest me aane waale jyadatar log kehte hai, ki yaha pe sirf ek hi cheez hai aur woh hai “khaamoshi”(Silence). Iss jungle ki zameen volcanic rock se bani hai. Asal me Mount Fuji abtak 800 se jyada baar erupt ho chuki hai. Wahi iss Volcano se nikalne waala lava, neeche jaakar thanda ho jaata hai aur yahi thanda lava, baad me jaakar rock ban jaata hai, jiske upar Aokigahara ka jungle basa hai. Aokigahara me maujood volcanic rock kaafi hard aur porous hai, jo jungle ke saare awaazon ko apne me sama leti hai. Issi kaaran jab bhi koi Aokigahara aata hai toh use sirf sanaata hi sunayi deta hai. Iss jungle me aane waale logon ko aaram se human skeleton dekhne ko mil jaati hai. Yaha ki shaanti me humesha ke liye khone ke liye, har saal average 100 se jyada log Aokigahara me suicide karne aate hai. Waise toh Aokigahara ke baare me kayi saare myths hai, lekin ek puraani kahani aisi bhi hai, jise sab maante aayen hai. Kaha jaata hai Japan me puraane wakt me jab ghar me khaane ki kami shuru ho jaati thi aur jab pariwaar ko sambhaalna mushkil ho jaata tha, tab ghar ke बुजुर्गों ko पहाड़ों pe le jaakar unhe wahi marne ke liye chod diya jaata tha. Jaankaari ke mutaabik pariwaar ke बुजुर्ग ko marne ke liye chodna, ek tarah ka Japanese tradition tha, jise “Ubasute”(उबासुते) kaha jaata hai. Pariwaar me jab greebi badhne lagti thi, toh log ek aadmi ka khaana kam karne ke liye, apne ghar ke बुज़ुर्ग ko ghane junglon me ya पहाड़ों pe le jaakar chod dete the, jisse kitne बुज़ुर्ग khaane aur paani ki kami se wahi mar gaye. Kaha jaata hai Ubasute Tradition 1940s tak chal rahi thi, shaayad yeh aaj bhi chalti hai, lekin police ki sakhti ke kaaran ab Ubasute ki cases utni sunne ko nahi milti hai. Shaayad inhi बुजुर्गों ke bhuton ke kaaran, Aokigahara forest haunted hoti chali gayi, jiske baad aur bhi jyada log yaha aakar suicide karne lag gaye. Sabse pehli baar jis insaan ne Aokigahara me bhoot dekha, uske mutaabik usne kisi budhe aadmi ka bhoot dekha tha, jise shaayad uske pariwaar waalon ne marne ke liye Aokigahara ke junglon me chod diya hoga. Aokigahara ke junglon me suicides ki cases 1960s se shuru hone lagi, jab lagtaar jyadatar log Aokigahara aakar khud ki jaan lene lage the. Kayi log Aokigahara me ho rahe suicides ke liye ek novel ko dosh dene lage, jisme likha gaya tha ki kahaani me do pyaar karne waale, Aokigahara ke jungle me jaakar suicide kar lete hai. Halanki yeh novel 1960s me aayi thi, wahi logon ne yeh bhi kaha, ki woh 1950s kr wakt se hi Aokigahara ke jungle me decomposed bodies ko dekhte aa rahe hai. 2010 me iss jungle me kareeb 250 se upar logon ne Aokigahara ke jungle me suicide kiya tha. Police suicides ko rokne ke liye jagah jagah boards laga rahi hai, jispe “Apne pariwaar ke baare me soche” jaise kayi aur boards lage hote hai. Iske alawa Aokigahara ke pass me hi police bhi patrolling karti hai, taaki woh suicide karne aane waale logon ko wapaas sahi raasta dikha sake. Aaj bhi iss jungle me kayi logon ke shoes, suitcases aur kapde jaise kayi aur cheez milte rehte hai.
Toh yeh thi aaj ki kahani agar aapko yeh video pasand aaya toh ise like jarur kare. Dhanyawaad
The End
Mogul
पिछले दो-तीन सालों से म्यूजिक इंडस्ट्री के बाप और टीसीरीज के मालिक गुलशन कुमार की बायोपिक मोगुल की चर्चा हो रही है। उनके बेटे भूषण