Krrish-4

Hum aksar hi filmon me parallel world, yaani ki dusri duniya ke baare me sunte aayen hai, lekin hume kabhi inn baaton pe vishwaas nahi tha. Lekin agar hum aapse kahe ki parallel world sach me hoti hai, toh kya aap humari baaton ka vishwaas karenge? NASA ke scientists ne haal hi me humaare universe ke samaan ek dusri universe khoji hai, bus waha fark itna hi hai ki dusri duniya me samay ulta chalta hai. NASA ne yeh research 2020 me kiya. Jab poori duniya Corona se pareshaan thi, uss wakt NASA ke scientists ek alag hi duniya ki khoj me lage the. Humne aapko pehle hi dusri dharti ke baare me bata diya hai, jo humare hi universe me maujood hai, halanki iss baar baat sirf dusri dharti ki nahi, balki ek alag universe ki hai. American Space Agency NASA ki team Antarctica me project “ANITA” (Antarctic Impulsive Transient Antenna) pe kaam kar rahi thi. Ussi beech scientists ne high-energy particle se yukt hawa(wind) ki khoj ki. Iss experiment ke liye NASA ne ek bade balloon ka istemaal kiya, jispe radio detector laga hua tha. Yeh detector asal me ANITA naam ke Antennas the, jiske through scientists ne yeh discover kiya, ki hawa earth se space ki taraf jaa rahi thi, naa ki woh space se Earth ki yor aa rahi thi. Impossible dikhne waali iss ghatna ne scientists ko kaafi chaunka diya. Issi ghatna pe jab scientists ne research kiya, tab unhe pata chala ki humare universe ke samaan ek aur universe hai, jaha pe samay ulti disha me chalti hai. Yaani ki parallel universe me ghadi clockwise jaane ke badle anti-clockwise chalti hai. Scientists ne Antennas ke group ka naam “ANITA” rakha, jinhe khaas universe me maujood “neutrino particles” ko detect karne ke liye banaya gaya hai. Issi Antenna ke basis pe hi Scientists ko dusre universe ke baare me pata chala tha. High energy se bhara Neutrino naam ka harmless particle, Suraj se dharti ki yor badi maatra me aata hai. Anita naam ka Antenna inhi particle ko detect karta hai aur inke original source ke baare me pata lagaata hai. Isse pehle bhi 2016 me NASA ke hi scientists ne Antarctica me maujood apne observatory se, dharti se cosmic rays ko kayi baar फूटते huye record kiya tha. Jabki cosmic rays humare solar system ke baahar se generate hoti hai. Scientists pichle decade me kayi baar yeh baat saabit karti aayi hai, ki humare universe ke samaan ek dusra universe hai, lekin waha pe cheezen ulti hoti hai. Kayi logon ka maan’na hai ki dusri duniya me bhi exact humare jaise log bhi hai, jinki characteristics humse just opposite hai. Par yeh baat kitni sahi hai ispe ab bhi koi tippani nahi ki jaa sakti hai.
Scientists ka kehna hai ki aaj se 13 billion saal pehle do universe forme hui thi. Ek jaha hum rehte hai aur dusri woh, jaha ka samay ulte direction me chalta hai.
Halanki inn theories ko jaha kayi scientists sahi maan rahe hai, wahi kuch iss theory ko galat bhi keh rahe hai. Parallel universe ka mudda scientists ke beech ek heated argument ka roop le chuka hai. Lekin logon ko yeh bhi maan lena chahiye ki kisi bhi cheez ke do side hote hai. Agar hum sirf ek hi side ko jaan kar use hi ultimate sach maan le, toh yeh humari bewakoofi hi hogi. Bermuda Triangle ki theory bhi parallel universe pe hi based hai. Kaha jaata hai humari duniya me hi ek aisa ilaaka bhi hai, jise “Gate of parallel universe” ke taur pe dekha jaa sakta hai. Waha pe samay ulta chalta hai. Kitne baar log jo Bermuda Triangle me kho gaye woh kayi saalon baad usi jagah, usi age me mile hai. kya yeh kaafi nahi maane ko, ki humare universe ke aage bhi kuch hai aur uske kuch aise bhi raaz hai, jisse insaan abhi rubaru nahi hua hai?
Krish ki baat kare toh yeh scientific-super heroic film, iss baar ek kadam aur aage jaane waali hai. Iss baar film makers time travel ke concept pe kaam karne waale hai, jisme Krish ko bhi samay me peeche le jaaya jaayega. Ho sakta hai Krish double role kare, ek woh jo future se aaya hai aur dusra woh, jo past me pehle se hi maujood hai. Dekhna yahi hoga ki time travel ki iss scientific theory ko makers kis tarah se darshakon ke saamne laate hai.
Toh yeh thi aaj ki kahani agar aapko yeh video pasand aaya toh ise like karna naa bhule dhanyawaad
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Singham 3 ,Directed by Rohit Shetty. , Ajay Devgn, Akshay Kumar, Deepika Padukone,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Singham Again

  जब कोई इम्मान्दर officer सच की तह तक जाने के लिए और लोगों को इंसाफ दिलाने के लिए अपनी जान तक को ख़तरे में

Read More »

Housefull 5

Himesh Reshamiya India ke ek bahut hi famous singer hain. Apne controversies se lekar apne naak se gaane wale talent tak sabhi cheezon ke liye

Read More »
Dabangg 4

Dabangg 4

फिल्म दबंग 3 की उम्मीदें पूरी नहीं होने के बाद अब फिल्म दबंग 4 को लेके फिल्म के प्रोड्यूसर अरबाज खान जज्बाती हो चुके हैं।

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​