“Hindu Muslim bhai bhai” ek bahut hi famous line hai. The toh hum ek hi desh ke. Agar angrezon ka zeher hum mein nahi ghula hota, toh shayad aaj bhi dono deshon mein aman hota. Abb hua yeh ki dono hi mazhab the toh alag, magar dono hi dharmon mein ek hi cheez batayi gayi hai. Lekin angrez the Christians! Aur unka taur tarika thoda alag tha, jo Hindu aur Muslim nahi maante the.
1857 ki baat hai. Hindu aur Muslim tadaat mein bahut badh gaye the. Hindu aur Muslim culture Hindustan ke kone kone mein pahuch gaya tha. Harr jagah mandir aur dargah thi, jiski wajah se angrezon ko chota mehsoos hota tha. Woh akhir the hi kitne. Harr state mein woh itne kam number mein hote the ki unhein ungliyon par gina jaa sakta tha. Unke festivals aur unke culture ke baare mein kisi ko pata hi nahi hota tha.
Ek din yahi hua. 25th December aane ko tha. Abb Christmas ka sabse bada tyohaar hai yeh, aur toh aur usse dhoom dhaam se manana har kisi ko acha lagta hai. Isi liye jab kuch officers India ke UP state mein majood the tab unhein uss samay bahut ajeeb lag raha tha. Koi Christmas carols nahi, koi Christmas cake nahi, koi Christmas tree nahi! Itna hi nahi uske baad ek ke baad ek tyohaar jaise New Year bhi feeka padh jata tha.
Abb angrezon ko yeh sahi nahi laga raha tha. Hindu aur Muslim itne the ki abb inhone logon ko zabardasti Christianity mein convert karliya tha. Jagah jagah logon ki conditions dekh kar yeh unhein badalte the.
Itna hi nahi, Hinduon mein gai ko Pavitra yaaniki holy mana jaata hai. Uski Pooja hoti hai. Yeh angrez kya karte the ki, jo inki rifle hoti thi usse gai ke fat mein dubba dete the, aur jo koi bhi Christian nahi Banta tha, usse yeh rifle se maar dete the. Marne par unki Pavitra gai ka fat unki body par laga hota tha, toh woh waise bhi ashudh maut apne hisse mein lete the. Toh unhein jaanat yaa unki bhasha mein “heaven” nahi milti thi. Iska seedha seedha mtlb yahi tha ki yaa toh khud ko badlo, yaa phir marte marne par apne upar sabse badha paap le lo.
Hindustaniyon ke liye dikkat hogayi thi. Matlab ek taraf kuaan toh ek taraf khai wala qissa tha. Jeete ji Hindu nahi reh sakte the, aur marne par paap lekar jaate the. Issi gutthi ko suljha nahi paarahe the Hindustani, aur inhein se unhein abb darr lagne laga tha.
Toh bus RRRR mein yahi dikkat bhi dikhayi jaa sakti hai, ki kaise Hindustaniyon ko apna dharam badlne par majboor kiya gaya tha.
-By Pratima Ratwani.