Kuch din pehle ek ajeeb sa qissa Haryana ke ek gaon se aya tha. Khabar yeh thi ki ek local ladhke ne, Sarpanch ke ghar mein ghus kar usse hi dara diya hai.
Darsal hum baat kar rahe hain chotu ki. Chotu Jyotisar, Haryana ke paas rehne wala ek ladhak tha. Uska asli naam Amit Dev tha, magar usse hamesha se sabhi chotu bulate the. Gaon mein sabse zyada kaam aane wala bacha wahi tha. Chotu harr kisi ki madat karta tha, aur sabhi logon ko pata tha ki chotu jugadhu insaan hai. Woh kaise ne kaise kar kar zaroor hi harr mushkil ka hal nikaal leta tha. Aur achi baat yeh thi ki chotu dil ka acha tha. Woh yeh kaam paise ke liye nahi, balki logon ke chehre par Khushi dekhne ke liye karta tha. Aise mein chotu ki umar 29 saal thi, aur woh acha khaas jawan launda tha.
Abb jis incident ki hum baat karne jaa rahe hain, woh hamein Rowdy Rathore 2 mein dekhne ko mil sakta hain. Yeh chotu koi aur nahi hamare Rowdy Rathore jaisa hi hai. Chotu ka yeh qissa aapko bhi Rowdy Rathore ki yaad dila dega.
Hua yun tha ki kuch dino se gaon ke ek ghar ke kaagaz Sarpanch ke paas girvi pade the. Yeh kaagaz Natwarlal Ji ke the, jo unhone apni beti ki shaadi ke liye paison ke badle Sarpanch ke yahan girvi rakhe the. Tay yeh hua tha ki paise lautane ke baad unhein ghar ke kagaaz wapas de diye jaayenge, aur agar Natwarlal paise nahi de paya, toh Sarpanch uska ghar bech sakta hai. Wade ke mutabik Natwarlal ne samay se 1 mahina pehle hi saare paise wapas de diye the. Woh ghar uska pushtaini ghar tha. Magar Sarpanch ki nazar kaafi samay se iss ghar par thi. Isi liye paise wapas lautaane ke bawajood Sarpanch ne Natwarlal ko kagaaz wapas nahi diye. Natwarlal ne bahut baar kaha ki usse kagaz wapas de diye jaayein, magar Sarpanch ne ek naa sunni.
Bus issi ke baad Chotu ne tay kiya ki woh Sarpanch ke ghar se jakar woh kagaz lekar aayega. Chotu darwaza todte hue Sarpanch ke ghar ghusa, aur turant hi study mein jaane laga. Sarpanch ke bahut se guards beech mein aaye magar Chotu sab par bhaari pada. Usne sabko ek ek kone mein patak diya, aur toh aur Sarpanch ko bhi warning di ki aage se aisa nahi kare. Usne yeh bhi kaha ki agar woh yeh dadagiri nahi chodega toh agli baar bahumat uske saath nahi hogi. Sarpanch bhi apne daayre mein raha, aur usne papers Chotu ko de diye.
Bus yun hi Chotu ke jaise hamare Rowdy Rathore bhi Sarpanch ke ghar ghus kar usse sabak sikha sakte hain.
-By Pratima Ratwani.