kahani mai Shiva Jai ke ghar jata hai jahan use pata chalta hai ki Jai ne apni biwi ko itni der se kamre mai band rakha tha. Agle din Raghu Shiva ke pass pahuchta hai. Or Shiva Raghu ki jhooti maut ki khabar faila deta hai. Jai Raghu ka pata lagane le liye Police station pahuchta hai. Shiva kehta hai, “Lekin vo toh mar chuka hai.” Jai police station ke bahar aata hai. Jahan uski nazar Samira par padti hai. Jai door se hi Samira ko pehchaan jata hai. Samira ke saamne ek ladka khada hai. Or dekhne se ye saaf pata chal raha hai ki dono ke beech koi behas rahi hai. Jai kuch deir vahin khada hokar dekhne lagta hai. Agle hi Pal Samira uss ladke ko thappad maar deti hai. Jai ye sab dekh kar shocked ho jata hai. Samira jab uske pass aati hai, toh Jai kehta hai, “Aapne uss bechaare ko maara kyu?” Samira jo ki iss waqt bahut mai gusse mai, jai se kehti hai, “Who the hell are you? Mind your own business.” Aisa keh kar Samira police station ke andar chali jati hai. Jai kehta hai, “Ohh attitude. I like it.” Shaam ko Jai Ek bar mai pahuchta hai. Or chair par baithte huye apne liye wine order karta hai. Tabhi uski nazar usi ladke par padti hai, jise Subah Samira ne thappad maara tha. Jai uske pass jata hai or kehta hai, “Oh Hi” Vo ladka use ignore kar deta hai. Jai dekhta hai ki vo ladka sharaab ke nashe mai ek dam dhutt hai. Jai phir usase poochta hai, “Tumhara naam kya hai? Or tum vahi na jise aap subah Samira madam ne thappad maara tha.” Samira ka naam sunte hi vo ladka gussa jata hai or kehta hai, “Apne aap ko bahut khoobsurat samjhti hai. College ke time ye Rohit uske piche pada hai lekin aaj tak haath mai nahi aayi vo.” Jai kehta hai, “Acha toh tumhara naam Rohit hai. Acha ye batao use pane ke liye tum kya kar sakte ho?” Rohit nashe mai kehta hai, “Hatt, aaj ke thappad ke baad mujhe sirf or sirf usase apne thappad ka badla lena hai.” Jai use dhyan se dekhta hai or kehta hai, “Main tumhari madad kar sakta hu.”
Agle scene mai Shiva ek baar phir psychiatrist ke clinic par pahuchta hai. Shiva ke haath mai same vahi dawa hai, jo usne Jai ke ghar mai dekhi thi. Shiva bottle dikhate huye doctor se poochta hai, “Ye dawa kaun se patient ke liye hai.” Doctor dawa ki bottle dekhta hai or kehta hai, “Ye toh kaafi high dose ki tablets hain. Ye sirf vahi patients khaate hain, jinhe dimagi taur par ek alag treatment ki zarurat hoti hai.” Shiva kehta hai, “Kya aap mujhe Apne patient Jai Krishnan ke bare mai detail mai bata sakte hain?” Doctor kehta hai, “Dekhiye, hum kisi ko bhi apne patients ki personal details nahi dete.” Shiva apna police I-card nikaal kar dikhata hai jiske baad Vo doctor use sab batane lagta hai. Agle scene mai Rohit daudta huya Jai ke pass pahuchta hai. Jai kehta hai, “Are bhai, kya ho gaya? Aise bhaag ke kyu aa rahe ho? Kaam huya?” Rohit paseena pochte huye kehta hai, “Maaf karo bhai, ye maara maari tak theek tha. Lekin main kisi ka khoon nahi kar sakta. Nahi hoga mujhse” Jai tez tez hasne lagta hai or Rohit ke kandhe par hath rakhte huye kehta hai, “Main toh tumhe bomb samjh raha tha, lekin tum toh Fuski nikle” Rohit Jai ke hath jodte huye kehta hai, “Sir, aap hi kuch karo na please sir. Kabhi na kabhi aapka dil bhi toh toda hoga na kisi ne.” Ye hi sunte hi achanak Jai ke chehre ki hasi gayab ho Jati hai. Jai jate huye kehta hai, “Chinta mat karo. Tumhara kaam ho jayega.” Agle scene mai Jai ghar mai baith kar Sabji kaat raha hai. Lekin uski aankhon ke saamne baar baar Samira ka chehra aa raha hai. Jai chaaku ko table par maarte huye kehta hai, “Now I will mind my own Business.” Raat hoti hai. Samira apne ghar mai baithi ek horror novel padh rahi hai. Tabhi use kuch aawaze sunayi deti hai, jaise kahin se pani gir raha hai. Vo uth kar apne bathroom or kitchen ko check karti hai. Lekin kisi bhi nal(नल) se pani nahi gir raha hai. Samira sochte huye khud se kehti hai, “To ye aawaze? Khair chhodo. Lag raha hai novel ka bhoot mera sar par chaddh gaya hai.” Vo jaise hi apne bedroom mai aati hai, darwaaze se piche chipa Jai uss par chaaku se hamla kar deta hain. Lekin uska waar khali jata hai. Samira ko bhaagte huye dekh kar Jai use Rassi se baandhe ki koshish karta hai. Tabhi ek zordaar jhanjhanahat(झनझनाहट) ki aawaz aati hai.