Jailer

Kahani mai Jai Rohit ki help karne ke liye taiyaar ho jata hai. Raat ke waqt Samira apne kamre mai sone pahuchti hai tabhi us par koi chaaku se hamla karta hai. Samira kisi tarah iss waar se bach jati hai. hamlaawar use Rassi se baandhe ki koshish karta hai. Tabhi ek zordaar Jhanjhanahat ki aawaz hoti hai. Inspector Shiva table par rakhe flower pot se hamlaawar ko maar deta hai. Ye hamlaawar koi or nahi balki Ring Road ka Jailer Jai hai. Chot ki wajah se Jai behosh hone lagta hai. Behosh hote hote uske kaan mai Shiva ki aawaz padti hai, “Mujhe pata tha ye zarur aayega.” Agle din Jai khud ko Hospital ke andar pata hai. Shiva or Samira uske room mai aate hain. Shiva Jai ke bagal mai baithte huye kehta hai, “Ab aap apni kahani khud batayenge Jailer Sahab ya main batau?” thoda rukne ke baad Jai kehta hai, “6 Saal pehle meri shadi Urmila se huyi thi. Uss waqt mujhe pata nahi tha ki iss Shadi mai Uski razamandi nahi hai. Urmila jab Shaadi karke ghar aayi tabhi se uska behavior mere liye kuch theek nahi rehta tha. Lekin maine use humesha hi pyaar kiya. Uske liye main Teacher ki naukari chhod kar Jailer tak ban gaya. Lekin uss waqt mujhe pata nahi tha ki vo mujhe itna bada dhoka de rahi hai. Darasal shaadi ke pehle uska ek boyfriend tha. Jo dikhne mai mujhse kahin zyda handsome tha. Or shayad yahi wajah thi ki Urmila ne mujhe kabhi apnaya nahi. Kyunki main humesha hi normal rehta tha.” Shiva beech mai tokte huye kehta hai, “Toh tumhari biwi iss waqt kahan hai?” Jai muskurate huye kehta hai, “Vo? Vo aaram kar rahi hai. Pichle 5 saalo se vo aaram kar rahi hai.”
Kahani apne flashback mai jati hai. Ek raat Jai ko apne kaam se wapas ghar aane mai kaafi late ho jata hai. Jai ghar ke andar aate huye kehta hai, “Pata nahi Urmila ne abhi tak khana khaya hoga ya nhi?” Tabhi use kisi ke hasne or bolne ki aawaze aati hain. Jai dheere dheere apne bedroom ki taraf badhta hai. Or thoda sa darwaaza khol kar dekhta hai ki Urmila apne boyfriend ke sath uske bedroom mai hai. Jai Urmila se mila huya ye dhokha bardaasht nahi kar pata hai. Or gusse mai kitchen se chaaku lekar bedroom mai pahuchta hai. Urmila Jai ko dekh kar ghabarate huye kehti hai, “Dekho Jai, jo tum soch rahe ho vaisa kuch nahi hai.” Lekin gusse mai pagal ho chuka Jai Urmila ke boyfriend par chaaku se kai baar waar karta hai. Ye sab dekh kar Urmila Jai ko ek thappad maar deti hai or kehti hai, “Ye kya kiya tumne? Tum apni aukaat dekhi hai? Tum kabhi mere layak the hi nahi. Samjhe?” Urmila ke muh se nikalte ye alfaaz Jai ko teer ki tarah chubhte hain. Gusse mai aakar Jai Urmila ko bhi chaaku maar deta hai.” Inspector Poochta hai, “Phir tumne dono dead bodies ka kya kiya?” Jai tez tez hasne lagta hai. Kahani phir apne flashback mai jati hai. Agli subah Jai ki neend khulti hai. Toh uski aakhon ke saamne Urmila ki laash padi hai. Uss waqt Jai ko hosh aata hai ki gusse mai usne bahut badi Galati kar di. Jai Urmila ko utha kar tez tez rone lagta hai. Agle pal vo cupboard mai rakhi aari(आरी) laata hai. Or Urmila ke boyfriend ki laash ke tudke tudke karke use pass ke jungle mai phek deta hai. Samira poochti hai, “lekin Urmila ka kya huya?” Agle scene mai Police Jai ke ghar pahuchti hai. Jahan se use Urmila ki dead body milti hai. Expert team Shiva se kehti hai, “Aaj se pehle itna pagalpan wala pyaar nahi dekha. Urmila ke body par ek lep(लेप) mila hai, jisase kisi murde ko kai saalo tak safe rakha jata hai. Aas paas ki cheeze dekh kar ye saaf pata chalta hai ki Jai Urmila ko ek zinda insaan jaise treat karta tha. Jaise use khana khilana, uske liye pani rakhna. Or ek khas baat ye hai sir ki Jai khud bhi pichle 5 saal se yahin isi dead body ke pass sota tha.” Tabhi Shiva ko dhoopbatti ki mehak yaad aati hai. Shiva kehta hai, “Oh toh vo isliye ghar mai dhoopbatti jala kar rakhta tha taaki kisi ko bhi Urmila ki dead body se aane wali smell ka pata na chale. Strange.”
Agle scene mai Jai court mai ye bayaan deta hai ki Urmila se paye dhoke ki wajah se hi vo aaj tak sabhi ek tarfa aashiqon ki madad karta aaya tha. Taki vo log bhi uski tarah apne pyaar ka badla un ladkiyon se le sake. Jai ki dimagi haalat ko dekhte huye Court use Doctor ki nigraani mai rakh kar umarkaid ki saza sunati hai. Court se nikalte waqt Jai dekhta hai ki uske saamne Raghu or Rohit khade hai. Raghu jise Shiva ne apne Mohra banaya tha. Or Halwdaar Rohit ne Samira ke sath mil kar jhoota natak kiya tha. Jai unse kuch bhi nahi bolta hai. Bas ek ajeeb si muskurahat ke sath vahan se chala jata hai.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Race 4

रजनी पंडित का जन्म 1962 में महाराष्ट्र राज्य के ठाणे जिले के पालघर में हुआ था।   Rajni एक middle-class family में पली-बढ़ी और उसके दो

Read More »

Don 3

Don 3     बात है 29 अक्टूबर 2003 की गुजरात के सूरत शहर में Honey Dadoba नाम के बहुत बड़े व्यापारी रहा करते थे।

Read More »
Krrish 4,Directed by Rakesh Roshan. With Hrithik Roshan, Amitabh Bachchan, Nora Fatehi, Nawazuddin Siddiqui,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Krrish 4

फिल्म क्रिश 3 में अपनी एक्टिंग से सभी का दिल जीतने वाले एक्टर विवेक ओबेरॉय ने काल का किरदार ऐसा निभाया था कि, फिल्म की

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​