Aaj hum aapko bataane wale hai ek ese Indian Army Para Special Forces Commando ke baare mein jisne dushman ki do goliyan lagne ke baad bhi teen aatankvadiyon ko mitti mein mila diya tha. Hum baat kar rahe hai Indian Army ke Para SF commando Captain Jaydev Dangi ( Bobby Deol ) ke baare mein. Haryana ke Madina gaon mein janme Jaydev Dangi ne apni 12th complete karne ke baad National Defence Academy ka exam clear kar NDA join kar liya tha. Indian Military Academy mein apne batch ke toppers mein se ek rahe Captain Jaydev Dangi ko IMA ki training poori hone ke baad Rashtriya Rifles ki 3rd Battalion mein post kar diya jaata hai. June 2014 mein Para Special Forces join karne ke baad, Captain Jaydev Dangi ko Pulawama district ke sub-district Tral mein deploy kar diya jaata hai. Abhi kuch mahine pehle hi 14 February 2014 ke din Captain Jaydev Dangi ki sagaai Ritu ( Sarah Ali Khan ) ke saath hui hoti hai, or ab 2 mahine baad yaani August 2014 mein un dono ki shaadi bhi hone wali hoti hai. Vo dono aksar ek doosre se call par baatein kiya karte the. Ese hi 19 June 2014 ko Captain Dangi ke pass Ritu ka call aata hai, lekin Captain Dangi call pick karke Ritu se thodi der mein call karne ki kehte hai or hadbadi mein call cut kar dete hai. Ye sunne ke baad Ritu kaafi ghabra jaati hai, kyunki jab pichli baar Captain Dangi ne hadbadi mein call cut ki thi to baad mein Ritu ko news se pta chala tha ki Tral mein ek aatankwadi maara gaya hai. Or iss baar bhi Captain Dangi ne badi hadbadi mein call cut ki hoti hai, Yahi kaaran hota hai ki Ritu Captain Dangi ke call cut karne se itna ghabra jaati hai.
Call cut karne ke baad Captain Jaydev Dangi jaldi se apni team ke pass pahunchte hai, unhe khabar mili hoti hai ki Tral ke Buchoo gaon mein ek aatankwadi ghar mein chupa hua hai. Captain Dangi jab iss aatankwadi ka naam jaante hai, to vo kaafi excited ho jaate hai. Kyunki ye aatankwadi koi aam aatanki nhi tha, balki South Kashmir mein aatank ka naam ban chuka Hijbul Mujahideen ka area commander Adil Ahmed Mir ( Mir Sarwar ). Captain Dangi Adil kaafi time se pakadne ki koshish kar rahi thi, lekin Adil kaise na kaise karne bach jaata tha. Adil Ahmed Mir Burhan Wani sahit Hijbul Mujahideen ke kai khoonkhar aatankwadiyon ko training de chuka tha, or iske saath hi Adil kai saare security personnel ki death ke liye bhi jimmedar tha. Captain Jaydev Dangi Adil Ahmed ko jinda ya murda pakadne ke liye apni team ke saath ek armoured vehicle mein bethkar Buchoo gaon ki taraf jaane lagte hai. Vahi doosri taraf, Haryana ke Rohtak mein Ritu Captain Dangi ki call ka wait kar rahi hoti hai or yahi wish kar rahi hoti hai ki Tral mein sab kuch theek ho. Captain Jaydev Dangi Adil Ahmed Mir ko kaafi lambe time se jaante the, isliye vo soch rahe hote hai ki Adil jaisa khoonkhar or experienced aatankwadi itni asaani se security forces ke haath nhi aa sakta hai kahi iske peeche Adil ki koi chaal to nhi hai. Lekin Captain Dangi achee se jaante the ki agar Adil jinda ya murda pakda gaya to ye Hijbul Mujahideen ki kamar toot jaayegi, isliye vo jyada na sochte huye apne seniors ke orders ko follow karte huye seedhe Buchoo gaon jaane lagte hai.
19 June 2014 ko saam 5 baje Captain Dangi apni team ke saath Buchoo gaon ke bahar pahuch jaate hai. Captain Dangi ki team mein Rashtriya Rifles or Jammu & Kashmir ke Special Operation Group ke officers shamil the. Captain Dangi aur unki team apne armoured vehicle se utarkar Buchoo gaon ke us ghar ki taraf badhna shuru karte hai jisme Adil ke chupe hone ki khabar mili hoti hai. Or jab vo apni target location ke pass pahunchte hai, to unhe pta chalta hai ki jis aadmi ke ghar mein Adil Ahmed chupa hua hai, us aadmi ke pass teen ghar hai or vo teeno ghar ek hi compound mein hai or ek-doosre se chupke huye hai. Agar Adil Ahmed vahan par mojood hai, to vo un teeno mein se kisi bhi ek ghar me ho sakta hai. Adil Ahmed ko pakadne wala ye operation pehle se kai guna mushkil ho chuka tha.
Kis ghar mein mojood hai Adil Ahmed Mir ? Kya Captain Dangi Adil Ahmed ko pakadne mein honge safal ? Jaanenge iss blog ke agle part mein.
( To be continued…. Part 1 )