Mr. India ki tarah aadmi ka yu gaayab hona bhale hi scientifically abhi possible nahi hai, lekin ussi ki tarah ek aisi kahani bhi jarur hai jo apne saath rahasya ko bhi saath laati hai. Bermuda Triangle ya “Devil’s triangle” North Atlantic Ocean ke Western part me maujood ek region hai, jaha pe maana jaata hai ki kayi saari ships aur planes, waha pahuch kar rahasmayi tarike se gaayab ho jaate hai. Bermuda Triangle se joodi sabse famous kehani hai “Mary celeste”( मैरी सेलेस्ट) naam ki ek ship ki. Mary celeste ko “Ghost ship” ya “Haunted ship” ke naam se bhi jaana jaata hai. December 4, 1872 ke Portugal ke samudra तट me, Mary celeste naam ki ship, achaanak hi Ocean me prakat ho gayi, jo bina kisi insaan ki madad ke Ocean me ghum rahi thi. Waise Mary celeste naam ki yeh ship humesha se hi rumour me rahi. Logon ka maan’na tha ki, yeh shaitaani ship hai kyunki iss ship ki shuruati daur me isse bahut kuch jhelna pada tha. Yaha tak ki yeh ship Ownership ke liye humesha vivaadon ko invite bhi karti rahi. Kaha jaata hai ki iss ship ka pehla captain itna bimaar padne laga ki, jab bhi woh खाँसता tha toh uske mooh se khoon nikalti thi. (Haa haa hum jaante hai ki yeh tuberculosis ki nishaani hai. par uss wakt iss bimaari ke baare me logon ko pata nhi tha.) Wahi Jab Ship ka captain Mac lenon apni bimaari ki wajah se marr gaya toh uske baad sabhi yahi maan’ne lage ki, Mary celeste Haunted hai. Yaha tak ki jo bhi iss ship ka maalik banta tha woh yaa toh marr jaata tha, ya phir bankrupt ho jaata tha. Mary celeste ke kayi maalik badle, lekin baad me yeh ship Benjamin Bricks naam ke aadmi ko mili. Benjamin ke ship khareedne ke baad hi Mary celeste samudra me gaayab ho gayi. Asal me saal 1872 me Benjamin Bricks apni wife, 2 saal ki beti aur 7 crew members ke saath Italy ki yaatra pe jaa rahe the. Bricks Mary celeste ke saath 7 Nov 1872 ko New York se rawana hui thi, jise Italy pahuchna tha. Lekin achaanak hi ship gaayab ho gayi. koi nahi jaanta ki aakhir ship ke saath uss wakt kya hua tha. Halanki theories ke anusaar jab Benjamin Italy ke liye nikale the toh uss wakt mausam thoda kharaab tha jis wajah se unhone ek samudra kinaare mausam ke thik hone ka intezaar kiya aur uske baad dobara apne pariwaar aur crew members ke saath Mary me baith gaye. Tabhi kuch doori tay karne ke baad, jab Ship North Atlantic ke region ke paas pahuchi, toh mausam ne phir karwat li. Halanki uske baad yaatriyon ke saath kya hua yeh koi nahi jaanta, kyunki uske baad Benjamin ke saath Mary celeste kahi gaayab ho gayi. Mary celeste iss ghatna ke 1 mahine baad, dobara se Ocean me dikhi, halanki checking ke dauran paaya gaya ki usme rakha samaan, chahe woh lifeboat ho ya phir khaane ki cheezen, waisi hi padi hui thi. Aisa lag raha ki uss samaan ko kisi ne touch tak nahi kiya hai. Lekin ship aur samaan toh bhale hi mil gaya, lekin uspe sawaar yaatriyon ka kya hua? yeh aaj bhi rahasya hai. Naa unki dead body mili hai aur naa hi koi suraag. bus aisa laga ki North Atlantic ke region me aane ke baad woh sabhi kahi gaayab ho gaye.
Toh yeh thi Mary celeste naam ki ek Ship ki kahani jo Bermuda Triangle me rahasyamayi tarike se apne yaatriyon ke saath kahi gaayab ho gayi thi.
Blog pasand aaye toh like karna naa bhule.
Dhanyawaad