War me jis tarah se RAW agents khatre se lad kar cases ko solve karte hai kuch usi tarah America ki FBI, yaani ki “Federal Bureau of Investigation” ke agents bhi har khatre se lad kar cases ko suljhaate hai. Halanki FBI ke itihaas me aisi bhi kuch cases hai, jise abhi tak koi solve nahi kar paaya hai. Unhi me se ek hai “D.B Cooper Hijacking.”
D.B Cooper ya Dan Cooperek anjaan aadmi ke liye media dwara diya gaya hai, jisne 24 November 1971 ko USA ke airspace me Northwest Orient Airlines ko highjack kar liya tha. Yeh ghatna hume seedha aaj se thik 51 saal pehle le jaati hai, jab yeh ghatna ghati thi. Thanksgiving festival ko lekar khushi ka mahaul tha. Yeh din tha 24 November 1971. Ek anjaan aadmi apne saath kaale rang ka briefcase liye, Portland International Airport pe Northwest Orient Airlines ke flight counter se contact Uss aadmi ne Flight 305 ka paisa dekar one-way ticket khreeda, jo ki Seattle-Tacoma International Airport tak 30 min ki yaatra thi. Apne ticket pe uss aadmi ne apna naam Dan Cooper likha tha. Waha pe maujood चश्मदीद गवाह ke anusaar, Dan Cooper dikhne me ek White(european) aadmi tha jo ki apne mid 40s me lag raha tha. Cooper ke kaale rang ke baal aur brown rang ki aankhein thi, jo black ya brown rang ka business suit, white shirt , black tie, black pant aur black shoes pehne huye tha. Cooper ke haath me briefcase ke alawa ek brown rang ka paper bag bhi tha. Jaankaari ke anusaar ek normal yaatri ki tarah Cooper Flight-305 pe baith gaya. Cooper ki seat last row me thi. Baithne ke baad aaram se Cooper ne apne liye ek drink order kiya. Uss din flight pe 6 crew members aur 37 passengers maujood the. Flight uss din wakt pe thi aur samay ke anusaar usne Portland Airport se dopehar 2 baje udaan bhari. Plane ne jaise hi udaan bhari Cooper ne Air hostess Florence Schaffner(फ्लोरेंस ) ko ek note diya jo Cooper ke peeche hi jump seat pe baithi hui thi. Schaffner ko laga ki uss note me Dan ka number hoga jo bechara shayad akela hai. Yahi soch kar Schaffner ne uss note ko bina khole apne purse me daal diya. Cooper yeh sab dekh raha tha, jiske baad wo thoda jhuka aur Schaffner ke kaano me kuch fusfusaya. Cooper ki baatein jaise hi Schaffner ke kaano me gayi uske hosh udd gaye. Cooper ne Schaffner se kaha ki, “miss behtar hoga ki aap uss note ko dekhe, mere paas ek bomb hai!” Bina kuch soche Schaffner ne note khola jisme pen se saaf suthare shabdon me Cooper ne likha tha. “miss mere briefcase me bomb hai aur mai chahta hu ki aap mere saath baithe.” Schaffner ne jaise hi note padha woh dang reh gayi. Usne chup-chaap woh note Cooper ko lauta diya aur jaisa ki Cooper ne kaha tha Schaffner uske saath baith gayi. Schaffner ne uske baad Cooper se bomb dikhane ke liye kaha. Cooper ne apna briefcase, Schaffner ki taraf halka sa khol diya. Schaffner ne dekha ki briefcase me 2 rows me 4 cylinders the, jise usne Dynamite samjha. Cylinders ek dusre se wire ke through attached the aur usme ek badi cylindrical battery bhi lagi hui thi. Cooper ne briefcase band kar diya aur Schaffner ko apni demand batayi. Schaffner ne Cooper ki maangon ke saath ek note likha. Schaffner uske baad woh note lekar cockpit me chali gayi aur baaki ke crew members ko situation ki jaankaari di. Captain Scott ne Schaffner ko nirdesh diya ki woh udaan puri hone tak cockpit me hi rahe aur agar maamla ghambhir hota hai, toh turant unhe inform kare. Scott ne iske baad Minnesota(मिनेसोटा) me Northwest Flight operation se contact kiya aur Cooper ke demands ki jaankaari di. Cooper ne demand kiya tha ki, use shaam 5 baje se pehle, ek bag me $200,000 dollars chahiye. Iske alawa wo do front parachutes aur do back parachutes bhi chahta hai, aur usne paison ko American currency me hi hone ki baat bhi kahi. Schaffner cockpit me hi rahi aur uske badle dusri flight attendant Tina Mucklow(टीना मैक्लो) Cooper ke bagal me jaakar baith gayi aur usne aise pretend kiya, jaise ki woh Crew members aur Cooper ke beech ki baaton ko ek dusre tak pahucha rahi ho. Cooper ne iske baad nayi demand ki. Jaise ki, Flight ko Seattle me land karwana aur saare passengers ko tab tak baithe rehna hai, jab tak Macklow paison ko Cooper tak nahi pahucha deti. Cooper ke anusaar jab uske haathon me ek baar paise aa jaayenge, tab woh passengers ko chod dega. Parachutes ko aakhir me Cooper tak pahuchana hai. Captain William. A. Scott ne Seattle-Tacoma Airport ke Air Traffic Control(ATC) ko situation ki jaankaari di. ATC ne iske baad Local police aur FBI se contact kiya. Passengers ko bataya gaya ki choti si mechanical problem ki wajah se unhe Seattle pahuchne me deri hogi. Northwest Orient ke President Donald ne firauti ki maang ko swikaar kar liya aur sabhi crew members se kaha ki woh hijacker, yaani ki Cooper ke saath sahyog kare aur uski demand ko pura kare. Pure 2 ghante tak Flight-305 Puget sound (प्यूगेट) ka chakkar lagati rahi, tab tak FBI aur Seattle Police paise, parachutes aur emergency personnel ka intezaam kar rahe the. Cooper ne Macklow se kaha ki, jab tak Flight Portland se Seattle tak nahi pahuch jaati, tab tak Macklow ko Cooper ke saath hi rehna hoga. Macklow ne dekha ki Cooper aas-paas ke illake से परिचित hai. Jaise hi flight ek shehar ke upar se guzari, waise hi Cooper flight ke khidki se baahar dekhta hai aur kehta hai “Lagta hai Tacoma aa gaya.” Macklow ne baad me Cooper ke behavior ko lekar kaha ki “woh bilkul bhi nervous nahi lag raha tha. Woh kahi se bhi kroor ya bura insaan nahi tha balki woh acche se bartaav kar raha tha. Jab tak plane Seattle ka chakkar laga rahi thi tab tak Macklow, Cooper se baatein kar rahi thi. Macklow ne Cooper se pucha ki “aakhir usne Northwest Airlines ko hi kyun hijack karne ke liye chuna?” ispe Cooper ne bada ajeeb sa jawaab diya. Cooper me kaha ki “aisa issliye nahi hai kyunki mujhe aap ki Airlines ke khilaaf shikaayat hai, yeh sirf issiliye hai kyunki mujhe shikaayat hai.” Cooper ne phir Macklow se pucha ki aakhir “woh kaha se hai?” Macklow ne jawaab diya ki woh mool (मूल) roop se Pennsylvania(पेंसिल्वेनिया)se hai. Lekin philhaal Minneapolis(मिनीपोलिस) me reh rahi hai. Macklow ne phir Cooper se pucha ki, aakhir woh kaha se hai”, iss sawaal pe Cooper udaas ho gaya aur jawaab dene se mana kar diya.
Toh darshakon aapko kya lagta hai aakhir kyun Cooper ne jawaab dene se mana kar diya? Kon hai Dan Cooper? Jaan’ne ke liye bane rahiye humare saath iss blog pe jiska naam hai Bollygrad studioz.
TO BE CONTINUED…
Don 3
13 अक्टूबर की रात को दिल्ली के एक नामचीन five star hotel में Ashish pandey 3 indian और foreign लड़कियों के साथ अपनी BMW car