1962 mein Alcatraz Federal Penitentiary naam ki jail kaafi famous hui thi, kyon ki wahan ke kuch kaidi bade ajeeb tarike se jail se bhaag nikle the. Yeh jail “The Rock” ke naam se jaani jaati hai, aur United States ke Alcatraz island par purane architecture ko dhiyan mein rakh kar bani hai. Yeh jail dikhne mein ek kile ke jaise hai, aur bilkul hi alag samundar ke beech bani hai. Iss prison ko island par banane ke bahut se kaaran hain. Ek toh yeh jail itni badi hai ki iske harr gate se nikal pana mushkil hai. Agar koi ek gate naap bhi leta hai, toh dusre gate par kab kaun milega usse nahi pata. Uske alawa yeh jail thande pani se ghire hue island par hai. Isi liye agar koi bhagne ki koshish bhi karega toh paani mein tair kar toh nahi hi jaa paayega.
Lekin yeh sab toh kehne ki baatein hain. 1960 mein kuch alag hi shuru hua tha. Frank Marris naam ke bank chor ne iss escape ko challenge le liya tha. 1960 mein jab usse jail laya gaya tab usne yahi socha ki island par jail, aas paas pani aur aisi hi kathniyon se paar hote kaise nikalna hai zaroor hi ek interesting kahani hogi jail ki. Isiliye usne sochna start kardiya. Woh jail mein din raat issi ke baare mein sochta tha. Apne 3 inmates Allen West aur the Anglin brothers ke saath milkar usne 2 saal tak metals ke upar research ki thi jail ki library ki books padhkar. Iske baad inhone jail ke newspapers aur library mein books ke papers se fake yaaniki nakli heads banana shuru kardiye. Kyonki jail mein unke har hafte baal aur beard kaate jaate the, toh woh yeh baal bhi chupke se bacha liya karte the taaki baad mein bhes badalne mein inhein istemaal kar sakenge. Inhone wahan se nikal kar samundar paar karne ke liye ek raft bhi bana li thi. Aur yeh raft unhone donated raincoats se banayi thi.
Aise mein teeno ko ek ventilation ki shaft mil gayi thi jis par koi guide zyada nahi khadha hota tha. Abb finally woh din agaya tha jab yeh chaaron yaaniki Marris, Allen West aur Anglin brothers bhagne waale the. Shayad yeh inki kismat mein tha. Allen West ke alawa teeno bhaag nikle the, aur bus Allen hi peeche reh gaya tha. Iska Allen ko kaafi bhugatna padha tha, aur ussi se hi yeh kahani bhi pata chaali thi.
Toh bus kya pata Khalnayak 2 mein bhi Ballu apne pehle scene mein aise hi jail se bhag jaaye!
Tab tak bane rahiye Bollygrad Studioz ke saath.
-By Pratima Ratwani.