Jaisa ki hum jaante hai, Ganpath me Tiger Shroff ek Boxer ki bhumika nibhane waale hai, jo martial arts me bhi kaafi maahir hoga. Iss kahani me Tiger ka saath dene ke liye Krti Sanon bhi aane waali hai, jo Tiger ki hi tarah action karte huye film me nazar aayengi. Film me Tiger Shroff ka mukabla kayi international boxers se hone waala hai. par kisi ko yeh nahi pata ki aakhir Tiger ke opponent ki characteristics kaise hogi. Toh aayiye hum aapko batate hai ki aakhir kis tarah ke boxers se Tiger ka hoga saamna.
Archie Moore ka janam, USA ke Mississippi me, 13 December 1913 ko hua tha. Archie ka pura naam Archiebald Lee Wright (आर्चीबाल्ड ली राइट)tha. Archie apne janam ke jagah ko lekar humesha se logon se kehte aaye hai, ki unka janam 1916 me Illinois(इलिनोइस) me hua hai. halanki Archie ki maa ne reports me iss baat ka khandan kiya hai. Archie ki maa ke mutabik Archie ka janam 1913 me hi Mississippi(मिसीसिपी) me hua tha. Jab Archie bahut chote the tabhi unke pita unke pariwaar ko chod kar chale gaye the. Archie ki maa Archie aur unki badi behan ka khayaal rakhne me financially capable nahi thi. issi wajah se unhone Archie aur unki behan ka khyaal rakhne ki zimmedaari unke uncle Cleveland(क्लीवलैंड) aur aunty Willie Pearl Moore ko de di. Yahi se Archie ko surname “Moore” mila. Archie ne St. Louis ke alag alag “all black school” me padhai ki, jisme se “Lincoln High School” bhi shaamil hai. Halanki unhone kabhi graduation nahi kiya. Archie ke uncle aur Aunty ne unhe स्थिर परवरिश di. Lekin 1928 me jab Archie ke uncle ki car accident me maut ho gayi, toh Moore Street gang me shaamil go gaye. Archie Moore ki pehli chori “oil lamps” thi, jise unhone apne hi ghar se churaya tha. Unhone yeh chori issiliye ki, taaki woh lamps ko bech kar usse milne waale paison se boxing gloves khareed sake. Iss baat ko lekar Archie ne kaha “yeh expected tha ki mai pakra jaaunga, mujhe yeh baat pehle se hi pata thi, lekin mere pocket me kuch rupay rehne ki iccha ne hi mera dhyaan inn sab se door rakha.” Ek din Archie ne sadak pe maujood bike sawaar ke box se paise churane ka prayaas kiya, jiske liye unhe 3 saal ki jail ki saza sunayi gayi. Giraftaar kiye jaane ke baad Archie ko Missouri(मिसूरी) ke Booneville(बूनविल) ke ek सुधार स्कूल me rakha gaya. Archie ke acche bartaav ki waajah se, unhe 22 mahine ki saza ke baad सुधार स्कूल se riha kar diya gaya. 1933 ke lagbhag Archie ne “Civilian Conservation Corps” join kar liya tha, jo ki sarkaar dwara chalaya gaya volunteer programme tha. “CCC” me reh kar Archie Missouri ke camp me forestry division ke liye kaam kar rahe the. Archie ko humesha se hi ek boxer banne ki chah thi. issi wajah se unhone camp me kiye jaa rahe kaam ko, apni boxing training ka ek hissa maana. Moore batate hai ki unhe yaad hai ki uss dauran kuch ladke unka mazaak udaate the kyunki woh har din truck pe sawaar hokar khade ho jaate the, jab truck junglon ke raaste se hote huye guzarti thi, toh Moore duck kar ped ki tehniyon se bachte the. Moore ke liye aisa karna unke training ka hissa tha. lekin kuch log unki iss aadat pe unka mazaak udaate the. Iske baad Camp ke captain ne Archie ko sujhaav diya ki woh apni ek boxing team banaye aur southern Missouri me hone waale tournament me hissa le. Archie ki bahut saari fights नस्लीय bhed-bhaav ke vaatavaran me hui. Archie ne bataya ki unhe yaad hai ki unki ek fight, white boxer Bill Richardson ke saath thi. “pehle round me kareeb 1 min tak maine apne punches se use neeche gida diya. Uska bhai referee tha. Referee mujhpe gussa tha aur mujhse keh raha tha ki mai apni punches ko upar rakhu, kyunki mai Bill ke sir pe maar raha tha…Agar mai apne punches ko thoda aur upar karta toh mera nishaana chuk jaata. Lekin referee ne kaha ki Maine ‘foul’ kiya hai. Mai ispe bhadak gaya aur referee se bhi fight karne ki baat kahi. Maine tai kiya ki mai Bill ko uske sid ke alawa aur kahi nahi maarunga. Dusre round me maine Bill ko aise gidaya ki uska sid ek “spinning top” ki tarah ghumte reh gaya. Uss dauran Maine ek aadmi ko kehte suna ki “sirf 2 cent ke liye mai iss aadmi(Moore) ko maar daalunga”. Archie Moore ne iske baad 1941 me 4 fights me hissa liya. Halanki unke pet me huye ulcer aur phir uske operation ki wajah se, unhe Boxing se retired hona pada. Archie ka retirement kaafi chota tha aur woh 1942 me dobara ring me laut aaye. Unhone uss saal apna pehla “six bouts” jeeta tha, jisme second-round-knockout aur 10 round decision bhi shaamil hai. 1943 me Moore ne “7 bouts” khela, bouts ka matlab hai matches. 1943 me khel gaye 7 bouts me se 5 me Moore ki jeet hui. wahi 2 me unhe haar ka saamna karna pada. 1944 me Moore ne 9 bouts khela, jisme se 7 me unki jeet hui. Uss saal ki unki aakhiri bout ke baad Moore ka debut “Atlantic Coast” (tournament) me hua. Iske baad Moore ke fighting style me lagataar sudhaar aaya. 1945 me Moore ne apne career ka pehla 8 bouts jeeta, jiske baad Atlantic coast boxing experts ki nazar Moore pe padi aur unhe Light Heavyweight champion Jimmy Bivins (जिमी बिविंस) ke saath fight karne ka mauka mila. Lekin iss match me Moore ko haar ka saamna karna pada. Halanki iske baad bhi Moore ne haar nahi maani aur woh uss saal ke khatam hone se pehle 5 baar aur matches khele. Iss dauran Moore dusre light heavyweight champion se bhi mile. 1946 tak Moore light-heavyweight champion ban chuke the, lekin woh future world Heavyweight champion Ezzard Charles(एज़्ज़र्ड चार्ल्स) se haar gaye.
Toh darshakon jaisa ki aap dekh rahe hai, Moore ka boxing career kaafi utaar-chaadav se bhada hua tha. Aage unhone kayi aise matches khele, jisme unhe kaafi naam mila lekin kuch matches aise bhi aaye, jinhe woh kabhi yaad nahi rakhna chahte hai. Iska kaaran kya tha, yeh hum aapko apni agli video me batayenge. Tab tak ke liye bane rahiye humare saath iss channel pe jiska naam hai Bollygrad studioz.
TO BE CONTINUED…