Rambo

Aaj kai aise famous army officers hai jo spy agent bankar apne desh ki sewa kar chuke hai bahuto ko hum jaante hai aur bahuto ka toh naam bhi sayad abhi tak humne nhi suna hoga. Jab baat aati hai desh ki sewa ki toh uss waqt hum log bhed-bhaav nhi dekhte lekin jab kisi ko yaad karna ho ya usse itihaas mein darja dena ho toh hum uss shaqs ko kaise bhul jaate hai. Desh ke liye diya gaya chota se chota balidan bhi important hota hai toh kyu log sirf unhi ko yaad rakhte hai jo ya toh bahut bada balidaan diya ho ya jo jiska naam bahut famous ho. Aaj hum aise hi ek deshbhakt Neera Arya ke baare mein jaanenge jinhone pahele toh desh ke liye army officers ke taur par kaam kiya aur phir khushi khushi khud ko spy agent bhi banane ke liye taiyaar ho gayi. Neera ka janam 5 March saal 1902 mein khekra Nagar ke Baghpat ke Uttar Pradesh mein hua tha. Inke pita Seth Chhajjumal ek aache businessman the, inka business puri duniya mein faila hua tha khaas karke Kolkata mei kyuki yahi unka main office tha. Neera ke pitaji ne inki shuruaati padhai Kolkata ke niji school jo bhagwanpur mein tha wahi se karwaya tha. Neera ke pahele teacher jo inko sanskrit padhte the unka naam Bani Ghosh tha. Baad mein aage ki padhai inhone Kolkata seher mein ki jaha inhone hindi, english, bangali aur kai bhaase sikh rakhe the. Neera ko bachpan se hi fauj mein judd kar apne desh ki sewa karne ka bahut shauk hua karta tha, padhai puri karne ke baad unhone Rani Jhansi Regiment of the Azad Hind fauj si judd gayi. Jab Neera ke pitaji ko laga ki ab Neera ki shaadi kar deni chahiye toh unhone British ke ek CID ke adhikari Shrikant Jai Ranjan Das se karwa di. Shaadi ke baad unn dono mein aapas mein koi bhi baat nhi banti thi kyuki dono alag hi party se the aur alag-alag mudo par ladai kar liya karte the, aur toh aur jaha Netaji Neera ke senior the wahi Neera ke pati ko ye kaam saupa gaya tha ki wo Netaji ko kisi bhi haal mein dundhe aur unko jaan se maar de.

Neera apne kartavya ko pura kar rahi thi toh dusre taraf unke pati apne kaam ko krne ki taiyari kar rahe the. Uss waqt spy agent ke director Pavitr Mohan Rai Azad Hind fauj ke the, yaha tak ki unhi ko ye zemedari di gayi thi ki wo women aur men spy agent ka dhiyan rakhenge. Lekin mahilao mein paheli spy agent hone ka gaurav Neera ko mila. Spy banne ki zemedari khud Netaji ne Neera ko di . Neera ne apne sathi Maanwat Arya, Saraswati Rajamani aur Durga Mal Gorkha , ladke mein Daniel kaale ke saath milkar Netaji ke kiye inhone British ki jasusi ki thi. Neera ne apni autobiography mein bataya tha ki unke sath ek aur jasus thi Saraswati Rajamani jo Neera se umar mein kaafi choti thi, wo Burma mein janmi aur wahi ki rehni waali thi. Neera ne ye bhi bataya tha ki unko aur Saraswati ko ek baar British officers ki jasusi ka kaam diya gaya tha. Unn dono ne apna roop badalkar ladko ka roop le liya tha aur British ke officers ke gharo aur military campo mein kaam karna shuru kar diya tha, unhone waha kaam karte karte bahut saari information jama kar li thi, unn dono ka kaam tha ki bas jitna ho sake apna kaam khade kaano ke sath karni hai aur saari jaankari ko dosto ke sath discuss karna hai aur baad mein Netaji tak pahuchana. kabhi-kabhi unke hanth bahut important information mil jaya karti thi , aur jab saari ladkiyo ko jasusi ke liye bheja gaya tha tab unhe clearly bataya gaya tha ki agar wo pakdi jaati hai toh unhe khud ko goli maar leni hai. Waha uss waqt ek ladki aisa karne se chuk gayi aur usse zinda hi pakad liya gaya tha aur ab musibat sirf uske sar par nhi sab ke sar par mandra rahi thi yaha tak ki spy organization ke upar bhi, toh Neera aur Saraswati ne faisla liya ki wo dono milkar apne uss sathi ko chuda laayenge. Unn dono ne apna bhesh badla aur kinner jo naachte hai unka roop lekar wo dono waha pahuch gayi jaha unke saathi ko bandi bana kar rakha gaya tha. Inhone officers ko nashe ki dawa khila di aur apne sathi ko lekar bhaagi yaha tak sab thik thak tha lekin bhaagte waqt hi waha ek incident ho gaya hua ye ki jo officer waha security ke liye the unnme se ek ki banduk se nikli goli Saraswati ke daai taang mein dhas gayi aur bahut khoon bahene laga. Kisi tarah usne dono ke sath uche pedh par chad gayi aur niche officers unko dhundhte rah gaye, khud ki jaan bachane ke liye unn teeno ne uss pedh par bhuke piyaase 3 din bita diye the, jaise taise tisre din baad unhone himmat ki aur waha se bhaag kar wo apna base camp pahuch gaye. Bechari Saraswati 3 din waise hi chot ke sath rehne par uska wo pairr bekaar ho gaya. Iss operation se Netaji khush ho kar unko sabashi diye aur Rani Jhansi Regiment mein Lieutenant ka padh unhe diya aur unko waha ka captain bhi bana diya gaya. Ek din majak majak mein Neera ne Saraswati se pucha ki tu toh ab langdi ho gayi hai ab tere se kon shaadi karega jispar Saraswati ne jawab diya ki Azad Hind ke fauj mein hazaaron ladke hai, unnme se koi ek apne siney aur dono pairo par gooliya kha kar dushmano ko dher karega usse wo shaadi karegi, itna suunte hi Neera ki bolti band ho gayi aur dono ek dusre ko dekh kar hansne lagi.

Ab jab Neera apne khufiya mission se wapas aa chuki thi tab uska uske pati ke sath roj jhagada hota tha lekin ek din toh hadd ho gayi, neera ke pati ne Netaji ko maarne ke liye goli bhi chala di thi lekin Netaji ki kismat aachi thi ki uss waqt wo goli unke driver ko lag gayi thi aur Netaji bach gaye the. Jaise hi ye baat Neera ko pata chali toh wo aag babula ho gayi aur usne ye thaan liya ki wo uska badla jarur lengi aur unhone ussi waqt khanjar nikaal kar unke pet mein ghopkar unhe parlok bhej diya tha. Jab aisa karte Netaji ne Neera ko dekha toh unhone Neera ko naagin keh kar pukara kyuki ki kaaran jo bhi Neera ne apne pati ko hi maar diya tha isliye unhone ye naam se unhe bulaya tha. Jab Azad Hind fauj ne surrender kar diya tha uske baad British officers ne Neera ko unke pati ko maarne ke jurm mein giraftaar kar liya aur kaala pani ki saja unhe mili. Unhe itna torcher kiya gaya ki agar sayad abhi hum unke jagah hotey toh haar maan jaate lekin Neera ne waha bhi bahudari dikhayi. Jab Neera ko saja hui toh unko kaala pani ki saja ke liya Kolkata se Andaman le jaayaga uss jab wo waha pahuchi toh unhone dekha ki waha choti choti rooms hai aur kai aurte pahele se majud hai jo apni saja kaat rahi hai. Uss waqt unke mann mein kai chinta thi ki iss samundar ke bicho bich jail mein unko aazadi mile gi kaise yahi sab sochte sochte raat ho gaya tab unhe yaad aaya ki unke paas toh koi chaadar bhi nhi hai aur nahi kuch khaane ke liye,baad mein Neera jamin par hi so gayi lekin aadhi raat ko sayad kisi guard ne do chaadar unke room mein de gaya. Subha hui toh unhone dekha ki unke liye khaane mein khichdi aayi hai aur sath mein lohar bhi unke bediyon ko kaatne ke liye. Wo jab unki bediyon ko kaat raha tha tab wo kabhi unke hanth mein waar krta toh kabhi pairr par jispar wo chilaa utti aur usse bola ki thoda thik se bediyon ko kaato haanth ya pairr ko nhi. Itna sunte hi guard ne bola tum yaha mujrim hum jo tumhare sath kare wo sab jayaj hai aur hamari marji hai . Itna suntey hi Neera ko gussa aa gaya lekin usne apna gusse ko shant kiya aur usse bola kam se kam aurotoh ki ijazat katna sikho. Guard ne bola tum apne Netaji ka pata bata do hum tumhe chor denge isspar Neera ne jawab diya ki wo plane crash mein maare gaye hai, aur ab wo zinda nhi hai. Itna sunte hi guard ko gussa aa gaya usne phir se pucha toh iss baar Neera ne jawab diya ki Netaji uske dil mein hai, ye sunte hi guard ne do chimpte mangwaye aur unki ek breast kaat di aur bola ki wo jaha bhi hoga hum usse dhund nikaalenge tum shukr manao hamari Maharani Victoria ka jo tum abhi Zinda ho itna boltey hi guards chale gaye aur Neera waha dard mein tadapti rah gayi.

Kuch saalo baad inko chor diya gaya or aazadi ke baad inhone sarkaar se koi sahayta nhi li aur phool bech kar apni zindagi gujari. Saal 1998, 26 July ko bimaari se grasit hone ke kaaran inki maut ho gayi. Kaisi lagi aapko ye bahut spy agent ki kahani jo Rambo movie ki ho sakhti hai jisne apne pati tak ki nhi chora desh ke liye aur kabhi himmat bhi nhi haari, comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Jawan

फिल्म जवान की popularity सारे फिल्मो की popularity को पीछे छोड़ कर एक क़दम आगे बढ़ चुका है और शायद अब ये popularity डायरेक्टर एटली

Read More »
Hera Pheri 3 , Paresh Rawa and Sunil Shetty, Bollygrad Studioz,bollygradstudioz.com

Hera Pheri 3

Online shopping पडी भारी!   Pandemic की लहर चल रहा है। हर कोई अपने घर के अंदर है। लोग घर से बाहर नही निकल सकते,

Read More »
dunki

Dunki

जब भी राजकुमार हिरानी किसी फिल्म को लेकर आते हैं तो वो काफी सोच समझ कर उस मूवी पर कर चुके होते हैं, तभी जाकार

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​