Thumbnail question
क्या मां का प्यार है magical ?
Karan Arjun 2 by Lavanya Chaudhary
Ye kahani hai Uttar Pradesh ke ek seher mujaffarnagar ki jaha par badmashi khule amm chalti hai. Isi mujaffarnagar ke ek gav khedipur mai hua. Bete ke peda hone se gharwale bohot khush the. Sadhe teen sal ka Veer Singh apne doston ke sath gali mai Gilli danda khel rha tha or Ghar par uske school mai admission ki baat chal rhi thi, tabhi bahar se zor zor se rone ki awaz ane lagi. Veer ke papa ne dekha toh unka beta roo rha tha or abb yhi se shuru hui thi pareshani darhasal wo roo isliye rha tha ki use apne purane janam ki batein yaad agyi thu or use apne unhi maa baap ke sath rehna tha . Usne btadia ki wo shikarpur ke pandit laxminarayan ka beta hai. Lekin ek baap apna baccha esehi kese Dede. Toh Veer ke is janam ke papa ne use smjhakar chup kra dia. Veer ne har nahi mani or ekdin ye baat pandit laxminarayan ke Kano tak pahuch gayi. Ye sunkar wo khedipur dodhe chale aae . Gav mai panchayat bethi, jaha pahuchte hi Veer, laxminarayan ke gale laga gya or use bohot si purane janam ki batein btai joki koi or Jaan nahi sakta tha. Logo ko ye janne ki bohot iccha thi ki akhir ye sab achanak Veer ki yaad kese aya toh usne btaya ki wo apne doston ke sath khel raha tha tabhi uski pichle janam ki maa uske samne se guzri or use sab yaad agya. Aab sawal ye tha ki Veer aab rahega kaha. Ziddi Veer ne apni purani pehchan ki chuna or laxminarayan ke sath jane ko kaha. Uske is janam ne maa baap uski khushi chahte the islye use nahi roka. Waha jakar Veer ne apne sare bhai behen or rishtedaro ko pehchan lia, aab achambe ki baat ye thi ki usne un bhai or beheno ko bhi pehchan lia jo uske Marne ke baad peda hue the. Sabka sar chakkar kha gya. Tab Veer ne btaya ki uski maut kacchi Umar mai hogyi thi or use na toh mukti mili na sharir isi liye wo ghar ke pass wale peepal ke ped par hi rehta tha. Jab use pyas lagti toh wo kue par Pani pine chla jata or jab bhuk lagti toh maa ke hath ki roti kha leta. Yahi wajah thi ki rotiya jab chahe gayab hojati thi. Usse pucha gya ki usne kabhi kisiko pareshan kyu nahi kia toh usne kaha ki jab kisine mujhe pareshan nahi kia toh Mai kisiko kyu pareshan karta. Veer ne btaya ki wo 2-3 sal nahi balki pure 9 sal is ped par raha or phir ek din use naya janam mil gya or wo khedipur mai yaha peda hogya. Aab bhi Veer ke is janam ke maa baap usse Milne ate hai or use khub pyar karte hai. Veer kabhi kabhi unke ghar nhi chala jata hai jab use chutti milti hai. Veer ko aab phirse log somdutt ke naam se hi janne Lage the, sath hi use 2-2 maa baap ka pyar milta tha. Karan Arjun 2 ki kahani bhi kuch esi ho sakti hai.
By – Lavanya Chaudhary
Description: Aditya Chopra plans to take things to the next level by mounting a two hero action spectacle featuring Tiger and Pathaan. It would be the first proper 2 hero collaboration for the two mighty Khan since the release of Karan Arjun (1995). Aditya has been working on this idea for a while now and he will be extensively working on the script, screenplay and dialogues.
Bye